Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Nahi Ruka

Lambay Safar Ki Oat Mein Pal Bhar Nahin Ruka
Mein Waqt K Fareeb Mein Aa Kar Nahin Ruka

Phir Aa Gaya Aik Naya Sal Dosto...
Is Bar Bi Kisi Say December Nahin Ruka

Lay Kar Kisi Nain Haath Mein Kashkol-E-Waqt
Aisa Safar Kia K Kahin Per Nahin Ruka

Manzar Kay Aks Mein Koi Chehra Chatakh Gaya
Sheshay Kay Paas Aa Kay Jo Pathar Nahin Ruka

Chalta Raha Adoo Ki Safhein Rondta Howa
Lakhon Ka Khoun-E-Jigar Kar K Bhi Lashkar Nahin Ruka

Bas Yeh Howa K Akhri Lamha Bi Aa Gaya
Dil Ka Tawaf Koocha-E-Dilbar Nahin Ruka

· 1 Like · Nov 15, 2015 at 11:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Suna Hai Nayaa Saal Phir Aaraha Hai

Khushian Bhi Hongi , Baharain Bhi Hongi
Mager Hum Tou Guzray December Ki Sochoon Mein Gum Hain
K Jab Tu Meray Pass Thi
Hath Tiara Meray Hath Mein Tha
Aur Khushian Char Soo Hamaray Sath Theen
Mager Ab Akelay Tumhain Sochtay Hain
Yahi Khoof Daman Say Lepta Howa Hai
K Aisa Na Ho Es Baras Bhi December
Tumharay Bina He Kaheen Beet Jae
December To Her Saal Ata Rahay Ga
Mager Tum Na Hogay Tu Kuch Bhi Na Hoga
Suna Hai Nayaa Saal Phir Aaraha Hai

· 2 Like · Nov 15, 2015 at 05:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Aaney Wale Naye Saal Ka Dukh

Neya Saal Aya...!!
Veeran Subhon Ki Neeli Tehon Se Obhrta..
Kheyyaban-O-Dasht-O-Jabal Ki Thatharti Khamoshi Mein
Barfeeli Seeti Bajata..
Dabey Paaon Aya..
Yukh Aalooda Shamon Ki Khamoshian..
Oss Ke Qadmon Ki Aahat Sametey...
Guzr-Gahon Per, Saybanon Mein, Noha Kinan Hain..
Der Ati Hy Sham Ko, Darichon Ki Dararon Se...
Pur-Shor Jhonkon Ki Be-Mohar Thandak..
Brodat Zada Panion Per, Prindey..
Kinaron Per Aistaadah Pairon Ki Gham-Nak...
Shakhon Ki Janib Orey Ja Rahey Hen...
Makeen Aanganon Mein, Chatton Per..
Dharktey Dilon Me Hazaron Kheyyalon Ki Shmaien Jalaye..
Dabey Paaon Atey Hoye Saal Ko Dekhtey Hain...!!

· 1 Like · Nov 14, 2015 at 23:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December

Osey Kehna December Aa Gia Hy..
December Ke Guzarty He..
Bars Aik Aur Mazi Ki Chhaaon Me Doob Jaye Ga..
Osey Kehna December Laot Aye Ga..
Mgr Jo Khoon So Jaye Ga Jismon Me..
Na Jagey Ga..!
Osey Kehna Hawaien Sard Hen, Aur Zindagi Ke Kuhrey..
Dewaron Me Larzaan Hen..
Osey Kehna Shagofey Tehnion Mein So Rahy Hen..
Aur Un Peh Barrf Ki Chaadr Bichi Hy..
Osey Kehna Agr Suraj Na Nikley Ga...
To Kaisy Barf Piglay Gi..
Osey Kehna Laot Aaye..
Osey Kehna Laot Aaye..
Osey Kehna December Aa Gia Hy....!

· 1 Like · Nov 14, 2015 at 16:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December

Socha tha jee Loon ga tanha

Per katta nahi hai ik Decamber Akeley

· 1 Like · Nov 14, 2015 at 09:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Guzar Gaya

Yeh saal bhi udaas raha rooth ker gaya
Tujh se mile baghair December guzar gaya

· 2 Like · Nov 14, 2015 at 03:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Aglay Saal

Jab Aglay Saal Yahi Wakt Aa Raha Ho Ga
Ye Kon Janta Hay Kon Kis Jagah Ho Ga

Ham Apnay Apnay Bakhairon Main Phans Chukay Hon Gay
Tujhay Na Maira Na Mujh Ko Taira Pata Ho

· 1 Like · Nov 13, 2015 at 21:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Aan Pohancha Hai

Abhi Hijr Ka Qayaam Hai Aur December Aan Pahuncha Hai
Ye Khabr Shahar Mein Aam Hai December Aan Pahuncha Hai

Aangan Mein Utar Aayi Hai Manoos Si Khushboo
Yadon Ka Asdaham Hai December Aan Pahuncha Hai

Khamoshiyon Ka Raaj Hai Khizaan Taak Mein Hai
Udasi Bhi Bahot Aam Hai December Aan Pahuncha Hai

Tere Aanay Ki Ummid Bhi Ho Chuki Maadoom
Naye Saal Ka Ahtamaam Hai December Aan Pahuncha Hai

Khunak Rut Mein Udasi Bhi Chaukhat Pe Khadi Hai
Jaday Ki Udaas Shaam Hai December Aan Pahuncha Hai

Tum Aao Tou Mere Mausamon Ki Bhi Takmeel Ho Jaye
Nayi Rut Tou Sar-E-Baam Hai December Aan Pahuncha Hai

· 1 Like · Nov 13, 2015 at 15:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Bus Itna Yaad Hai

Chandni shab thi..
Hawa bhi sard thi…
Kuch bhi zehn mein nahi
Bus itna yaad hai…
Tumharay kaandhay per mera sar tha
Aur mere kaandhay per tumharay bazoo….!

· 1 Like · Nov 13, 2015 at 08:11
Category: occassional-events
 
Allah
Posted by mooria ul ain
Posted on : Jun 21, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS