Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Barishon Ki Raat Main

Khuwahishein Hoti Hain Kiya Kiya, Barishon Ki Raat Mein,
Main Hun Aur Lams Tera, Barishon Ki Raat Mein,

Mangtay Hain Bheegi Rut K Saray Manzar Qurb,
Ab Inhein Samajhaon Kiya, Barishon Ki Raat Mein,

Teergi Mein Gham Ki Saya Bhi Kahan Hota Hai Sath,
Main Agar Hoti Hun Tanha, Barishon Ki Raat Mein,

Main yeh Samajhi Yeh Bhi Maara Hai Kissi K Hijr Ka,
Phoot Kar Badal Roya Hai, Barishon Ki Raat Mein,

Din Toh Jaise Taisay Duniya K Jhamailon Mein Kata,
Hijr Ne Tere Rulaya, Barishon Ki Raat Mein,

Mun Chupaye Aik Konay Mein pari Thi Dam Bakhud,
Meri Tanhai BHi Tanha, Barishon Ki Raat Mein,

Daman-e-Qaatil Pe Koi Chheent Tak Aayi Nahi,
Yun Hua Khoon-e-Tamanna, Barishon Ki Raat Mein.....!!!!!!

· 1 Like · Feb 06, 2016 at 02:02
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Buhat Door Chali Jaongi

December Ki Kisi Srd Raat
Aisa Bhi Hoga...
Tere Na Aany Ka Sun Kr
Meri Aah Srd Hojaygi..
Hr Daali Zrd Hojaygi..
Aur Main
Ankhon Mein
Munjamid Yaqeen Liye
Bohht Door Chli Jaaoongi..!!
Bohht Door Chli Jaaoongi..!!

· 1 Like · Dec 19, 2015 at 06:12
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Abhi Tu Baqi Hain Mere Armaan

Suno December...!!!

Zara Sa Tehro...
Abhi To Baqi Hain Mere Arma'n
Mujhey Bitaney Hain Chnd Lamhey
Tumhari Thandi Panahon Main Ab....

Suno December Ki Sard Ratoon....!!!

Zara Sa Tehro...
Guzartey Mah-O-Din Ki Raten
Akeley Pan Main Guzar Chuki Hain..
Suno In Jagti Si Ratoon Ko
Chnd Aik Sapney Udhar Dey Do....

Suno December Ki Bhegi Shamoon...!!!

Zara Sa Tehro
Tumhari Thandi Thandi Chaya Main
Ajub Sukoo'n Sa Basa Huwa Hai
Ye Bheegey Bheegey Shajar Hain Aisey
Hon Merey Jeevan Ka Aks Jesey....

Suno December Ki Ae Hawaon
Mujhey Bikharney Ka Darr Laga Hai
Zara Sa Aa K Mujhey Sambhalo
K Ab K Thandi Hawaon Main Hi
Main Apna Jeevan Guzaar Daloon

Suno December...!!!

Abhi Na Guzro...

Abhi To Baqi Hain Mere Arma'n...


· 1 Like · Dec 19, 2015 at 00:12
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Mujhe Bhool Jana

Woh December Ki Udas Sham Thi

Jab Gali K Sunsan Morr Peh

Us Ne Mera Hath Thama Tha

Kitney Aram Say Us Na Kaha Tha

"MUJEH BHOOL JANA"

Me Tu Aj Bhi Heran Hon

Kaisey Sooch Liya Usne

K Itnaa Asaan Hota Hai

Roh K Rishtoon Ko Tor Kar

Rasta Badal Lena

Kisi Ko Chhor Dena

Faqat

Yeah Kah Kar

K

"MUJEH BHOOL JANA"

· 1 Like · Dec 18, 2015 at 16:12
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Mohabbat Lafz Likha Tha

December K Mahine Ka
Wo Shayd Panchwa Din Tha

Baras Guzray Kaee
Main Ne "MOHABBAT''
Lafz Likha Tha


Kisi Kaghaz K Tukray Par
Achanak Yad Aya Hey

Kisi Se Baat Karni Thi
Usay Kehna Tha Jaan-E-Jaan

Mujhey Tum Se MOHABBAT Hai
Magar Main Keh Nahi Paya

Wo Kaghaz Aj Tak Lipta Para Hai Dhool Main Lekin
Kisi Ko De Nahi Paya..,,

Doobara Chah Kar Bhi Me
Muhabbat Kar Nahi Paya

· 1 Like · Dec 18, 2015 at 10:12
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Hussain(r.a) Pe Lakhon Salam

Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya
Jin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya
Jin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Kaun Shabbir Woh Jin Ka Nana Nabi
Jin Ki Maa Fatima Jin Ka Baba Ali
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Karliya Jis Ne Naush Shahadat Ka Jam
Us Hussain Ibne Haider Lakhon Salam
Jin Ka Jhula Farishtey Jhulate Rahe
Lohrian De Ke Noori Sulaate Rahe
Us Hussain Ibn E Haider Pe Lakhon
Jis Ne Nana Ka Wada Wafa Kar Dia
Jis Ne Haq Karbala Mein Ada Kar Diya
Apne Ghar Ko Suparde Khuda Kar Diya
Jis Ne Neze Par Bhi Quran Par Diya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Ya Elahi Sadqa E Ahle Rasool
Yeh Salaam E Ajizana Ho Kubool

· 2 Like · Dec 18, 2015 at 04:12
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Hussain(r.a) Pe Lakhon Salam

Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya
Jin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya
Jin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Kaun Shabbir Woh Jin Ka Nana Nabi
Jin Ki Maa Fatima Jin Ka Baba Ali
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Karliya Jis Ne Naush Shahadat Ka Jam
Us Hussain Ibne Haider Lakhon Salam
Jin Ka Jhula Farishtey Jhulate Rahe
Lohrian De Ke Noori Sulaate Rahe
Us Hussain Ibn E Haider Pe Lakhon
Jis Ne Nana Ka Wada Wafa Kar Dia
Jis Ne Haq Karbala Mein Ada Kar Diya
Apne Ghar Ko Suparde Khuda Kar Diya
Jis Ne Neze Par Bhi Quran Par Diya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Ya Elahi Sadqa E Ahle Rasool
Yeh Salaam E Ajizana Ho Kubool

· 1 Like · Dec 17, 2015 at 22:12
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Mera Hussain

Dil e Zehra ka chain Zinda hai
syed e mashriqen zinda hai

kucch to bolo kahan hai qabr e yazeed
ab bhi mera Hussain(R.A) zinda hai

· 1 Like · Dec 17, 2015 at 14:12
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

تم كو اك تلخ حقیقت بھی بتا دیتے ہیں

تم كو اك تلخ حقیقت بھی بتا دیتے ہیں
جس كو اكثر یہ لوگ بھلا دیتے ہیں

تم نے گرتے ہوے پتوں كو تو دیكھا ہوگا
اپنی ہر سانس وہ ٹہنی پہ گنوا دیتے ہیں

كیا خوب سجاتے ہیں بہاروں میں شجر كو
كڑی دھوپ میں اپنا آپ جلا دیتے ہیں

كتنے بے رحم شجر ہیں ن? پتوں كی خوشی میں
پہلے پتوں كو خزاؤں میں گرا دیتے ہیں

پھر جو گرتے ہیں قدموں میں شجر كے پتے
لوگ انہیں پتوں كو پیروں میں دبا دیتے ہیں

· 1 Like · Dec 16, 2015 at 08:12
Category: occassional-events
 
Namaz
Posted by moona malik
Posted on : Aug 21, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS