Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Baarish

BaRish!

To Na AAya Ker

Kay Tere Aanay Say

Aur Janay Kay BaaD Bhi

Koi

Buhat Dair Tak UdaSs RahTaa Hay!!!!

· 2 Like · Oct 25, 2015 at 00:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Es Ajeeb Mausam Main

Aaj sarmaa kee pahlee barish hay
Har soo andhera chaya hay
Mairee amawas zindgee kee tarah
Rastey sunsaan aur soonay hain
Mairey khali ghar kee tarah
Badil bhee khul kay barsaa hay
Mairee bheegee aankhon kee tarah
Hawaa kitnee yakh basta hay
Honton pay aaney walee
Sard aahon kee tarah
Dil main rah janey walee
Kuch duaaon kee tarah
Es ajeeb mosam main
Ajab hay dil kaa haal mairey
Yaad tumharee aatee hay
Jaisey sarmaa kee pahlee barish
Saath main sardee laatee hay
Kuch waisey hee tere yaad kay juloo main
Ek gahraa sanataa aayaa hay
Ab dil kay barf zaron main
Har aahat madoom howee hay
Har umeed mohoom howee hay
Ab tairee yaad kee shidat main
Ab tairey hijar kee hidat main
Hum chup chaap phighaltey hain !!!

· 1 Like · Oct 24, 2015 at 16:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Aaj Buhat Din Baad

aaj bohat din baad suni hai BARISH ki awaz
aaj bohat din baad kissi manzar nay rusta roka hai
rim jhim ka malboos pahan kar yaad kissi ki aayi hai
aaj bohat din baaad achanak aankh younhi bhar aayi hai
Ankh aur manzir ki wusat mein charon janib barish hai
Aur barish mein, duur kahin ik ghar hai jis ki
Ek ek eent pe terey merey khwab likhey hain
Aur us ghar ko janey wali kuch galiyan hain
Jin mein hum dono ke saye tanha tanha bheeg rahey hain
Darwazey per qufl para hai aur dareechey sooney hain
Deewaron per jami hui kai mein chhup kar
Mausam humko dekh rahe hain
Kitney badil, hum dono ki ankh se ojhal
Baras baras kar guzar chukey hain...

Ek kami si,
Ek nami si,
Chaaron janib phail rahi hai,
Kai zamaney ek hi pal mein
Baham mil kar bheeg rahey hain
Andar yaaden sookh rahi hain
Bahir manzir bheeg rahey hain!!!

· 1 Like · Oct 24, 2015 at 04:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Tohfa E Deed

Kash yeh salgirah mujhe
Ek musarrat mazed day jaye
Zindagi ki naveed day jaye
Kash.....
woh aaye aur aa kar mujhe
kuch aur nahin
sirf tohfa-e-deed day jaye

· 1 Like · Oct 23, 2015 at 19:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Chahat Ho, Khushi Ho

Chahat Ho, Khushi Ho, Tere Daman Me Wafa Ho,
Mehaki Hoi Ik Shaam Teri SaalGiraaH Ho.

Is Din K Tasawur Se Sanwar Jaain Nazaarey
Is Din Tere Qadmoon Me Bikhar Jain Sitarey
Is Din Pe Meri Zeest Ka Hr Lamha Fida Ho
Mehaki Hoi Ik Shaam Teri SaalGiraaH Ho.

Hai Aaj K Din Meri Dua Ab Na Kabhi Hun
Afsurda Meri Jaan! Tere Lab Na Kabhi Hun
Gham Ki Na Kabhi Chehra e Janaa Pe Ghata Ho
Mehaki Hoi Ik Shaam Teri SaalGiraaH Ho.

Pur Zor Hawa Me Diaya Jalta Huwa Rakhe
Allah Jahaan Me Tujhe Hansta Huwa Rakhe
Bojhal Na Kabhi Num Teri Palkun Ki Rida Ho
Mehaki Hoi Ik Shaam Teri SaalGiraaH Ho.

Tu Bhe Na Ho Meri Trha Nakaam e Muhbt
Acha Ho Meri Jaan! Tera Anjaam e Muhbt
Mehboob Ki Aankhun Me Tumhari He Zia Ho
Mehaki Hoi Ik Shaam Teri SaalGiraaH Ho.

Chahet K Diloon Se Kabhi Jazbaat Na Kam Hun,
Aise He Ager Hun To Ye Din Raat Na Kam Hun
Allah Karey Umar Meri Tujh Ko Ataa Ho
Mehaki Hoi Ik Shaam Teri SaalGiraaH Ho.

· 2 Like · Oct 23, 2015 at 08:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Jo Khushi Tumahray Qareeb Ho

jo khushi tumahray qareeb ho
woh sada tumhein naseeb ho
tujhay woh khuloos milay keh
jo teri zindagi peh muheet ho
jo khayaal dil mein aseer ho
aur dua mein bhi taseer ho
tujhay woh jahan milay
jidhar gamoon ka nah guzar ho
jidhar roshni ho khuloos ki
aur nafratoon ko khabar nah ho

· 1 Like · Oct 22, 2015 at 21:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Tumhari Saalgirah Peh

tumhari saalgirah peh yeh dua hai meri
keh aisa roz-e- mubarak hazaar baar aaye .
tumhari hansti hui zindagi ki raahon mein
hazaron phool lutati hui bahaar aaye ! ! ! ! !

· 2 Like · Oct 22, 2015 at 15:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Saalgirah Mubarak

yeh bay khudi yeh laboo ki hansi mubarak ho
tumhein yeh saalgirah ki khushi mubarak ho
kabhi nah aaye koi gham qareeb tumahray
jahan mein sab say achay hon naseeb tumahray
khuloos ، pyar bhari dosti mubarak ho
tumhein yeh saalgirah ki khushi mubarak ho

· 2 Like · Oct 22, 2015 at 08:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Mubarak Tujhay Teri Saalgirah Ho

mubarak tujhay teri saalgirah ho
anne wala har saal khoshion say bhara ho
tairay ird gird baharon ka raqs ho
aayine teri khubsoorti ka aks ho
manzilain khud tairay qadmon main aieen
tujhay kabhi koi nah museebat milay
sab log tairay gun ganay lageen
tu ghar sab kay deloon mein bananay lagey
bulandion tairay qadam chumen
musarraten chaar soo ghumain
teri poori har koi khwahish ho
jannat teri agli rahaish ho
mubarak tujhay teri saalgirah ho
anne wala har saal khushiyon say bhara ho

· 1 Like · Oct 22, 2015 at 00:10
Category: occassional-events
 
karkardagi ki nai bulandiyan
Posted by iJunoon
Posted on : May 24, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS