Poetry / Love

Abdul Waheed

Zamana Ghareeb Ho Jaye

Aik tum ko agar chura loon mai
Yeh Zamana ghareeb ho jaye

· 1 Like · Jul 16, 2018 at 11:07
Category: love
 
Poetry / Sad

Abdul Qadeer

Dar

Dil ko teri chaht pe bharosa bhi buhat hai
Aur tujhse bichar jane ka dar bhi nahi jata

· 0 Like · Jul 16, 2018 at 05:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mehreen Ali

Kam Nahin Meri Zindagi K Liye.

kam nahin meri zindagi k liye
chain mil jaye do ghari k liye
ai dil-e-zar kaun hai tera
kyon tarapta hai yun kisi ke liye
kitne saman kar liye paida
itni choti si zindagi ke liye
aisa ''Faiyyaz'' gham ne ghera hai
lab taras hi gaye hansi ke liye...

· 1 Like · Jul 15, 2018 at 23:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muhammad Aftab

Vahashat E Dil Sila E Abalapai Le Le.

vahashat-e-dil sila-e-abalapai le le
mujh se ya rab mere lafzon ke kamai le le
aql har bar dikhati thi jale hath apne
dil ne har bar kaha aag parai le le
main to us subah-e-darakhshan ko tavangar janun
jo mere shahar se kashkol-e-gadai le le
tu gani hai magar itni hain sharayat meri
ye mohabbat jo hamen ras na aayi le le
apne divan ko galiyon me liye phirta hun
hai koi jo hunar-e-zakhmnumai le le.

· 0 Like · Jul 15, 2018 at 16:07
Category: sad
 
Poetry / General

Sanam Baloch

Jhera Matlab Non Milay Sangi Saathi.

· 0 Like · Jul 15, 2018 at 09:07
Category: general
 
Poetry / General

Sanam Baloch

Jhera Matlab Non Milay Sangi Saathi.

· 0 Like · Jul 14, 2018 at 23:07
Category: general
 
Poetry / General

Luqman Mali

Umer Bhar Hum Yunhi Galti Karte Rahai.


· 1 Like · Jul 14, 2018 at 14:07
Category: general
 
Poetry / Sad

Haseeb Raza

Aansuon Ke Jahan Payamali Rahi.

aansuon ke jahan payamali rahi
aisi basti charagon se khali rahi
dushmanon ke tarah us se ladate rahe
apani chahat bhi kitni nirali rahi
jab kabhi bhi tumhara khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi
lab tarasate rahe ik hansi ke liye
meri kashti musafir se khali rahi
chand tare sabhi ham-safar the magar
zindagi raat thi raat kali rahi
mere sine pe khushbu ne sar rakh diya
meri banhon mein pulon ke dali rahi.

· 0 Like · Jul 14, 2018 at 07:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Haseeb Raza

Aansuon Ke Jahan Payamali Rahi.

aansuon ke jahan payamali rahi
aisi basti charagon se khali rahi
dushmanon ke tarah us se ladate rahe
apani chahat bhi kitni nirali rahi
jab kabhi bhi tumhara khayal aa gaya
phir kai roz tak bekhayali rahi
lab tarasate rahe ik hansi ke liye
meri kashti musafir se khali rahi
chand tare sabhi ham-safar the magar
zindagi raat thi raat kali rahi
mere sine pe khushbu ne sar rakh diya
meri banhon mein pulon ke dali rahi.

· 0 Like · Jul 14, 2018 at 07:07
Category: sad
 
I Wish
Posted by amir rasheed
Posted on : Sep 16, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS