Sms / Love

Shahbaz Ishaq

Wo Karte Hen Baat Mohabbat Ki

Wo Karte Hen Baat Mohabbat Ki,
Per Mohabbat K Dard Ka Unhe Ehsas Nahi,
Mohabbat Wo Chand Hai Jo Dikhta Hai Sab Ko,
Par Usy Pana Sab K Bus Ki Baat Nhi...!

· 1 Like · Feb 24, 2012 at 15:02
Category: love Tags: Mohabbat
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Sard Shaam

Aaj phir tum yaad Aa rahey ho,
Main samandar k beech jahaz k arshey peh khara,
Tumhain soch raha hon,
Woh aisi hi ake shaam thi yehi sama tha,
Jab hum pehli baar miley thay,
Tumhara jism sard hawa se kapkapa raha tha,
Aur mast huwa ka jhonka
tumhari shareer laton ko cheir deta tha,
Chndni ki neeli roshni main tum,
neelam se tarashi hui murat lag rahi thi,
Tab tum nai
Ek ada se mujhe dekha tha,
Aur phir humari mulakatain barhti gai'
Dosti aur dosti se mohabbat ka safar,
Hum nai mil ke teh kia,
Leken kise khabar thi k dil ake ho jain to,
Manzalain juda ho jati hain,
Rastay kho jatay hain,
Jaise chupke se tum nai dil k darwaze pe
Dastak de,
Aise hi ake shaam chupke se
Juda ho gai,
Tab se lekar Aaj tak,
Main tumhain khoj raha hon,
Samadar ki yeh sard sham
Mera dard barha rahi hai,
Aur main zakhmi jigar is se nabard azma,
Tumhain soch raha hon,
Apni zaat main tujhe khoj raha hon.

· 1 Like · Feb 03, 2012 at 15:02
Category: ghazal Tags: Mohabbat
 
Advertisement
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Jab Hum Pehli Baar Miley Thay

Jab hum pehli baar miley thay'.
Tum park k banch pe bethi'.
Udasi se nazrain jhukaye'.
Kuch soch rahi thi'.
Aur main kuch faslay pe khara'.
Tumhain dekh raha tha'.
Phir jab tum nai'.
Palkain utha kar'.
Meri jaanib dekha'.
Aur humari nazrain takrai'.
Woh lamha qayamat tha'.
Us lamhe main ake ajab se khushi thi'.
Phir hum roz isi jagah atay'.
Door se ake dojay ko'.
Dekhtay aur chalay jatay'.
Leken dil ki halat ajab rahi'.
Ake khushi aur ake udasi'.
Kushi tum se milne ki'.
Aur udasi k tum bichar na jao'.
Par aaj main himat kar k'.
Dil pe hath rakh k'.
Tum se'.
Kehta hon'.
Mujhe tum se mohabbat hai'.
Mujhe tum se mohabbat hai'.

· 1 Like · Feb 03, 2012 at 15:02
Category: ghazal Tags: Mohabbat
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Dushman E Jaan

hum bhi khud dushman-e jaaN thay pehle'

tum magar dost kahaN thay pehle'

ab wahaN khaak ooratee hai khizaaN'

phool hi phool jahaaN thay pehle'

ab jo deewar bunay baithay hain'

soorat-e mooj rawaaN thay pehle'

kuch sharabee keh hein ab rah nasheeN'.

ronaq-e buzm-e maghaaN thay pehle'

hum keh hein aaj ghobaar puss-e ro'

munzil hum sufraaN thay pehle'

ab kise waza-e mohabbat ka khayal'

aur hi loag yahaan thay pehle'

ab to khudh per bhi nahin zaam-e wafa'

tujh se hum shikwa kinaaN thay pehle'

bun gya kafla chaltay chaltay '

wurna tunha hi rawaan thay pehle'

dolat-e ghum tau moyashar thi Faraz'

itne muflis bhi kahaan thay pehle'''

· 1 Like · Jan 18, 2012 at 13:01
Category: ghazal Tags: Mohabbat
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Badnam Zamane Main

Badnam Zamane main Mohabbat Nahen Karte,
Dil Waly Tu Dushman Se Bhi Nafrat Nahen Karte,
Ek Bar Jisy Chaha Sada Uss K Rahe Phir,
Ham Log Amanat Main Khianat Nahen Karte,
Tanhai Main Karlete Hain Yaad Aansoo Baha Kar,
Zahir Kabhi Ham Apni Ebadat Nahen Karte,
Waqt Aane Par Maaloom Yeh Ho Jaiy Ga Tum Ko,
Ham Sirf Dekhawe Ki Mohabbat Nahen Karte,
Lekhte Hain FAQAT Ek Tumhare Liy Ghazlain,
Har Shakhs Pe ham Aise Enayat Nahen Karte.

· 1 Like · Jan 12, 2012 at 10:01
Category: ghazal Tags: Mohabbat
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Dil Lagi Thi Usy Hum Se

Dil Lagi Thi Usy Hum Se Mohabbat Kab Thi !!

Mehfil-e-Gair Se Sitamgar Ko Fursat Kab Thi !!

Hum Thy Mohabbat Mein Lut Jane Ke Qaayil !!

Hamari Khatir Kisi Ko Chornay Ki Us Mein Himmat Kab Thi !!

Wo Tu Waqt Guzarnay Ke Liye Karta Tha Pyar Ki Baatain !!

Warna Meri Khatir Us Ke Dil Mein Chahat Kab Thi !!

Bohut Roka Phir Bhi Nikal Aaye Kambakht Aansu !!

Warna Bazm-e-Yaar Mein Ansu Bahanay Ki Ijazat Kab Thi !!

· 1 Like · Jan 12, 2012 at 10:01
Category: ghazal Tags: Ijazat Mohabbat
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Fasana Hay

Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hay,
Kaghaz ki Hawaili hay aur Baarish ka Zamana hay...
Kya shart-e-mohabbat hay, kya shart-e-zamana hay,
Awaz bhi Zakhmi hay aur Geet bhi gaana hay...
Us paar utarnay ki Umeed bohat kam hay,
Kashti bhi Puraani hay aur Toofan ko bhi aana hay...
Samjhay ya na samjhay wo Andaaz Mohabbat kay,
Aik shakhs ko Aankhon say Shair sunana hay...
Bholi si Adaa koi phir 'Ishq' ki, zidd par hay,
Phir 'Aag ka Darya' hay or dooob' kay jana hay...!!!

· 1 Like · Jan 10, 2012 at 10:01
Category: ghazal Tags: Mohabbat
 
Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Mohabbat Bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho

Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho.

· 1 Like · Jan 10, 2012 at 10:01
Category: ghazal Tags: Mohabbat
 
Sms / Dard

Shahbaz Ishaq

Maana Ki Kuch Dilo

MAANA KI KUCH DILO ME NAFART HOTI H,PER HAR DIL ME KOI HASRAT HOTI HAI H, INSAN USKA AAGE KYU MAJBUR HO JATA H, JISSE USE BEPANAH MOHABBAT HOTI H.

· 1 Like · Oct 27, 2011 at 09:10
Category: dard Tags: Mohabbat
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS