Social Wall / Text
Ijunoon
Zindagi se yehi gilaa hai mujhe
Tu bahut der se mila hai mujhe
Hamsafar chaahiye, hujoom nahin
Ek musaafir bhi, qaafila hai mujhe
Dil dhadakta nahin sulagtaa hai
Woh jo khwahish thi, aabala hai mujhe
Lab-kusha hoon to is yakiin ke saath
Qatl hone ka hosala hai mujhe
Tu mohabbat se koii chaal to chal
Haar jaane ka hausla hai mujhe
Kaun jaane ki chaahaton maiN FARAZ!
Kya ganwaaya hai, kya mila hai mujhe
Tu bahut der se mila hai mujhe
Hamsafar chaahiye, hujoom nahin
Ek musaafir bhi, qaafila hai mujhe
Dil dhadakta nahin sulagtaa hai
Woh jo khwahish thi, aabala hai mujhe
Lab-kusha hoon to is yakiin ke saath
Qatl hone ka hosala hai mujhe
Tu mohabbat se koii chaal to chal
Haar jaane ka hausla hai mujhe
Kaun jaane ki chaahaton maiN FARAZ!
Kya ganwaaya hai, kya mila hai mujhe
Advertisement
·
6 Like ·
Mar 18, 2018 at 02:03
Category: text
Latest Posts in social-wall
- Loug is sawal mai buhat uljhay rehte hainPosted by : haseeb raza on
- Meri Maa HaiPosted by : kashif qureshi on
- Ba-Wazu SonaPosted by : Muzammil Shahzad on
- Ba-Wazu SonaPosted by : Muzammil Shahzad on
- Ghussa PeenaPosted by : Muhammad Aftab on
- Nafs ki TamannaPosted by : minu malik on
- Dunya mai 3 tarha k mard hoty hain.Posted by : Mohammad Iqbal on
- Dunya mai 3 tarha k mard hoty hain.Posted by : Mohammad Iqbal on
- Dost ne dost se p0chaPosted by : amir rasheed on
- Aey ParwardigarPosted by : samreen anjum on