Search
Poetry / General
Hira Chaudhry
Rishty Kisi Se Kuch Yun Nibha Lo
Rishty kisi se kuch yun nibha lo
Kay usky dil kay saaray gham chura lo
itna asar chhor do kisi par apna
kay har koi kahay hamen bhi apna bana lo
Kay usky dil kay saaray gham chura lo
itna asar chhor do kisi par apna
kay har koi kahay hamen bhi apna bana lo
·
2 Like ·
Feb 07, 2018 at 21:02
Category: general
Poetry / Sad
Hanste Hain Yun Hans Kar Rula Jate Hein Log
Hanste Hain Yun Hans Kar Rula Jate Hein Log,
Milte Hain Yunhi Mil Kar Juda Ho Jate Hein Log,
Pal Do Pal Ki Mohabbat Ko Umar Ka Saath Samjhna,
Mohabbat Bi Karte Hain Or Khafa Bhi Ho Jate Hain Log,
Naseeb Mein Pyar Na Tha Jo Mujhe Mila Hi Nahi,
Kr K Izhaar-E-Mohabbat Bhi Beparwah Ho Jate Hain Log,
Ab Kis Say Shikwa Karen Apni Mohabbat Ka Ay Hasan
Kar K Wafa Ka Vaada Bewafa Ho Jate Hain Log...!

1 Like ·
Nov 24, 2017 at 00:11
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Yun Lagta Hai Usne Mujhe Kuch Yun Dua Di Hai
Yun lagta hai usne mujhe kuch yun dua di hai
Jese kanton main Khuda ne pholon ko panah di hai
Yun aawaz di thi usne bichartay waqt mujhe
Sehra main jese kisi musafir ne sada di hai
Dekh kar qismat ko yun lagta hai ab mujhe
Muqadar ne jese kahin bewaja saza di hai
Ghalat hai agr dunya main kisi ko chahna yaron
To zindagi main hum ne bohat bari khata ki hai
Loutna mumkin nahi ab yahan se kabhi
K kisi ki khatir main ne apni hasti bhula di hai...!

Nov 21, 2017 at 10:11
Category: love
Poetry / Love
Tujh Say Yun Rabta Bahaal Raha
Tujh Say Yun Rabta Bahaal Raha
Lamha Lamha Tera Khayaal Raha
Haath Jab Bhi UthaYE Dua kay Liay
Meray HontoN pay ek Sawaal raha
Jo Bhi Manga Teray Liay Manga
Apnay Daaman Ka Nah Kuch Khayal Raha
Tum Milay Zindagi Main Jan Aai
Dukh Raha Nah Koi Malaal Raha
Teri Yaaden jo chHoo Gaeen Mujh Ko
Phir to Her Lamha Kuch Khayaal Raha
Door Reh Ker Bhi Pass Rehtay Ho
Apnay Rishtay Ka Yeh Kamaal Raha
Lamha Lamha Tera Khayaal Raha
Haath Jab Bhi UthaYE Dua kay Liay
Meray HontoN pay ek Sawaal raha
Jo Bhi Manga Teray Liay Manga
Apnay Daaman Ka Nah Kuch Khayal Raha
Tum Milay Zindagi Main Jan Aai
Dukh Raha Nah Koi Malaal Raha
Teri Yaaden jo chHoo Gaeen Mujh Ko
Phir to Her Lamha Kuch Khayaal Raha
Door Reh Ker Bhi Pass Rehtay Ho
Apnay Rishtay Ka Yeh Kamaal Raha
·
3 Like ·
Jul 18, 2017 at 15:07
Category: love
Poetry / Friendship
Kabhi Yun Jo Ho Kisi Din Agar
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sar raah miley
Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon
Yeh jo gardishain hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain
Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon
Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon
Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon
Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon
Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sar raah miley
Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon
Yeh jo gardishain hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain
Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon
Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon
Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon
Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon
Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
·
1 Like ·
Jul 11, 2017 at 03:07
Category: friendship
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Yun He Umeed Dilatay Hain Zamanay Walay
YUN HE UMEED DILATAY HAIN ZAMANAY WALAY
KAB PALATTAY HAIN BHALA CHOAR JANE WALAY
TU KABHI DAIKH SEHRA MEIN JHULASTAY DARAKHT
KAISE JALTE HAIN WAFAOON KO NIBHANAY WALAY
IN SAY AATI HAI TUMHARAY LAMS KI KHUSHBU
KHAT NIKALAY BETHA HOON TUMHARAY PURANAY WALAY
KUCH TO AANKHON SAY BHI BAYAAN HOTAY HAIN
MUNH SAY HOTAY NHI SUB RAAZ BATANAY WALAY
AAJ NA KOI SITARA HAI NA HAI JUGNU KOI
RAABTAY TOOT GAEY UN SAY MILANAY WALAY

Apr 20, 2017 at 08:04

Apr 19, 2017 at 17:04
Category: love
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Yun Dost Saare Apne Apne Raste Badal Gaye
Yun dost saare apne apne raste badal gaye
kuch peeche ruk gaye to kuch aage nikal gaye
Haalaat ki dhoop zaraa si deir ko tez kya hui
jitne wafaa kay patthar the saare pighal gaye
Waado kay taare raato se baahar na jaa sake
iradon ke din nikalne se pehle hee dhal gaye
Wafaaon ke rang shabnam kay qatroo ne dho diye
mohabbat ke phool jazboo ki 'shiddat' se jal gaye
Tanoo ke teer duniya kee kamaano pe jab chadhe
sabar ke daaman hathoo se ek dum phisal gaye
Aankhein khuli to khowaboo ko bura laga magar
kuch dair wo reh ke khafa humse wo khud hi behal gaye
Pehle pehal to ajeeb lage badle huwe chehre
phir yu huwa k waqt ke saath hum bhi sambhal gaye

Mar 20, 2017 at 06:03
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apne Usool Yun Bhi Kabhi Tornay Parray
Apne usool yun bhi kabhi tornay parray
Uski khata thi hath mujhe jornay parray
Aya na jab qarar dil-e-beqarar ko
Yaadon k rukh tumhari taraf mornay parray
Usko to meri yaad bhi aai na aik din
Apne paraye jis ke liye chornay parray
Mohsin wo shakhs khud bara be usool tha
Apny usool jis k liye hum tornay chalay

Feb 27, 2017 at 17:02
Category: sad
Sponored Video