Search
Poetry / View
Muzammil Shahzad
Us Ka Chehra Bhi Sunata Hai Kahani Us Ki
Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki..
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki..
Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki..
Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki..
Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki..
Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko,
Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki..
Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena,
Samne sab ke sunaa dena kahani us ki..

·
1 Like ·
Jan 09, 2018 at 11:01
Category: view
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Jaane Us Shaks Ko Kesa Yeh Hunar Aata Hai
Jaane us shaks ko kesa yeh hunar aata hai
Raat hote hi aankhon mein utar jata hai
Mein Us kay khayal se nikaloon to kahan jaon
Wo meri soch kay har raste pe nazar aata hai...!
Raat hote hi aankhon mein utar jata hai
Mein Us kay khayal se nikaloon to kahan jaon
Wo meri soch kay har raste pe nazar aata hai...!
·
1 Like ·
Jan 07, 2018 at 16:01
Category: love
Advertisement
Social Wall / Videos
Funny Videos
Things Dogs Teach Us
·
3 Like ·
Dec 29, 2017 at 12:12
Category: videos
Poetry / Humorous
Voh Sarak Ke Us Paar Thi
Voh Sarak Ke Us Paar Thi
Hum Sarak Ke es Paar Thay
Kuch Hum Aage Barhay, Kuch Voh Aage Barhi
Hum Kuch Aur Aage Barhe, Voh Bhi Kuch Aur Aage Barhi
Hum Aur Bhi Aage Barhay, Voh Bhi Aur Aage Barhi
Ab Hum Sarak Ke Us Paar Hein,
Aur Voh Sarak Ke es Paar Hein...!

Dec 22, 2017 at 18:12
Category: humorous
Poetry / Love
Mujhey Us Shakhs Ki Parwa Boht Hai
Mujhey us shakhs ki parwa boht hai
Jo samjho to yehi rishta boht hai
Wohi aik baat jo sub se chupai
Usi ek baat ka charcha boht hai
Meri khuwahish kabhi poori na hogi
Mujhey es baat ka sadma boht hai
Kisi ko bhoolna mumkin nahiN hai
Wagarna hum ney to chaha boht hai
KahaN tak aur mera saath dega
Woh pehley hi yahaN ruswa boht hai
Terey jaisa koi milta nahiN hai
Terey jaisa magar DhoonDa boht hai
Chalo ab mout ka samaan kar leN
K jeena to yahaN mehnga boht hai
Woh merey paas kab Thehra hai aakhir
Jo merey paas sey guzra boht hai...!
Jo samjho to yehi rishta boht hai
Wohi aik baat jo sub se chupai
Usi ek baat ka charcha boht hai
Meri khuwahish kabhi poori na hogi
Mujhey es baat ka sadma boht hai
Kisi ko bhoolna mumkin nahiN hai
Wagarna hum ney to chaha boht hai
KahaN tak aur mera saath dega
Woh pehley hi yahaN ruswa boht hai
Terey jaisa koi milta nahiN hai
Terey jaisa magar DhoonDa boht hai
Chalo ab mout ka samaan kar leN
K jeena to yahaN mehnga boht hai
Woh merey paas kab Thehra hai aakhir
Jo merey paas sey guzra boht hai...!
·
1 Like ·
Dec 17, 2017 at 20:12
Category: love
Poetry / Love
Main Raastay Mey Har Pal Khara Rehta Tha Us K
Main Raastay Mey Har Pal Khara Rehta Tha Us K
Kahbi Us Nay Meri Taraf Daikha Nahi
Mey Us Say Pyar Karta Tha
Kahbi Us Nay Ya Jana Nahi
Meray Jazbaat Rooz Barhnay Lagay
Maray Dost Mujhay Pagal Kehnay Lagay
Ik Din Himat Kar K Izhar Kar Diya
Jawab Denay Ka Us Nay Kuch Waqt Lay Lia
Ya Sun Kar Meri Khushi ke Intha Na Rahi
Aglay Din Wo Maray Paas Aagai
Us Nay Mohabat Ka Izhar Kar Diya
Meri Mohabt Mujay Mil Gai
Meri Mohabat Mujhay Mil Gai...!
Kahbi Us Nay Meri Taraf Daikha Nahi
Mey Us Say Pyar Karta Tha
Kahbi Us Nay Ya Jana Nahi
Meray Jazbaat Rooz Barhnay Lagay
Maray Dost Mujhay Pagal Kehnay Lagay
Ik Din Himat Kar K Izhar Kar Diya
Jawab Denay Ka Us Nay Kuch Waqt Lay Lia
Ya Sun Kar Meri Khushi ke Intha Na Rahi
Aglay Din Wo Maray Paas Aagai
Us Nay Mohabat Ka Izhar Kar Diya
Meri Mohabt Mujay Mil Gai
Meri Mohabat Mujhay Mil Gai...!
·
0 Like ·
Dec 11, 2017 at 19:12
Category: love
Poetry / Sad
Us Ki Nazar Ne Yoon Kiya Gard E Malal E Jaan Ko Saaf
Kya kya hamare khawb thay, jane kahan pe kho gaye,
Tum bhi kisi ke sath ho, Hum bhi kisi ke ho gaye,
Jane woh kyon thay, Kaun thay? aaye thay kis liye yahan,
Woh jo fashaar-e-waqt mein, Bojh sa aik dhoo gaye,
Us ki nazar ne yoon kiya gard-e-malal-e-jaan ko saaf,
Abar baras ke jis tarah, Saarey chaman ko dho gaye,
Katne se aur barhti hai uthey huye saroo ki faseel,
Apne lahu se ahl-e-dil, Beej yeh kese bo gaye,
Jin ke bagher ik pal, Jeena bhi muhaal tha,
Shaklain bhi un ki bujh gayin, Naam bi un ke kho gaye,
Ankhon mein bhar ke rat jagay, Raston ko de ke duriyan,
Amjad woh apne hamsafar, Kese mazey se so gaye...!

Nov 02, 2017 at 04:11
Category: sad
Poetry / Occassional Events
Aaj Apni Muhabat Ko Naya Morr Diya Us Ne
Aaj apni Muhabat ko naya morr diya us ne,
Mere liye baalon ko khula chorr diya us ne!
Pehle hansta tha main muh khol k,
Ab to Aage wala hi dant torr diya us ne!
Us ne sargoshi ka kaha main betaab ho gaya,
Kaan paas kiya to maror diya us ne!
Sardiyan aaeen to laya maaltay mehboob k liye,
Malta kha k chilka ankhon main nichor diya us ne!
Bewafai ki had b dikha di ik din us zalim ne,
Milne ghar gaya to pechay kutta chor diya usny...!

Oct 17, 2017 at 12:10
Category: occassional-events
Poetry / Love
Koi Zanjeer Ho Us Ka Mohabat Torr Sakti He
koii zaNjeer ho,
aahan kii, chaandi ki, rivaayat kii,
muhabbat toRR sakti hai!
yeh aisii Dhaal hai jis par
zamanay ki kisi talwaar kaa loha nahi chalta!
yeh aisaa shehar hai jis meN
kisi ameer, kisi sultan ka sika nahi chalta!
agar chashm-e-tamasha me zara si bhi milavat ho
yeh aaina nahi chaltaa!
yeh aise aag hai jis me
badan sholoN me jaltey hain, to roohain muskurati hain
yeh voh sailaab hai jis ko
diloN kii bastiyaN awaz dey kar Khud bulati hain
yeh jab chaahey kisi bhi Khowab ko tabir mil jay
jo manzar bhuj chukey haiN, un ko bhii tasveer mil jaaye
dua, jo beThikana thi, usay taseer mil jay
kisii rastey meN rastaa pochti taqdeer mil jaaye
muhabbat rok sakti hai samay k tez dhaaray ko!
kisii jaltey shararay ko, fanaa k istaaray ko!
muhabbat rok sakti hai kisi girtey sitarey ko!
ye chakna choor aainey k raizay joRR sakti hai
jidhar chahay yeh lagam mousam ki morr sakti hai!
koii zanjeer ho, us ko muhabbat toRR sakti hai...!

Oct 14, 2017 at 09:10
Category: love
Sponored Video