Search
Poetry / Sad
Moiz Arshad
Log Toot Jate Hain Ek Ghar Banane Mein.
Log toot jate hain ek ghar banane mein
tum taras nahi khate bastiyan jalne mein
aur jam tutenge is sharab-khane mein
mausamon ke aane mein mausamon ke jane mein
har dhadakate pathar ko log dil samajhate hain
umr bit jati hai dil ko dil banane mein
fakhta ke majboori ye bhi kah nahi sakati
kon sanp rakhta hai usake aashiyane mein.

·
1 Like ·
Jul 12, 2018 at 13:07
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Sana Dimple
Bohat Hi Toot Ke Tum Yaad Mujh Ko Aye Ho
bohat hi toot ke tum yaad mujh ko aye ho
agarchay sardion ki pehli pehli barish he
agarchay sardion ki pehli pehli barish he
·
1 Like ·
Apr 30, 2018 at 08:04
Category: love
Poetry / Love
Sana Dimple
Jab Kabhi Toot Kar Bikhro To Batadena Mujh Ko
·
1 Like ·
Apr 06, 2018 at 07:04
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Toot Jaye Na Bharam Hont Hilaon Kaise
Toot jaye na bharam hont hilaon kaise,
Hal jaisa bhi ho logon ko sunaon kaise,
Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai,
Mai us k gham ko zamane se chupaon kaise,
Phool hota to mai us k dar pe saja bhi deta,
Zakham le k uski dehleez pe jaon kaise,
Wo rulati hai to jee bhar k rulaye mujhe,
WO meri aankhen hai, Mai usko rulaaon kaise

Feb 24, 2018 at 16:02
Category: love
Poetry / Sad
Toot Kar Zara Dekho
toot kar zara dekho,
tum agar bikhar jao,
bay basi me ghir jao,
dil say ik sada dena,
bus mujay bula lena,
mein tumhe sanbhaal longa,
zindagi me chalnay ka,
rasta badalnay ka,
ik hunar sikha donga,
tumko hosla donga,
or jab,
sambhal jao,
roshni me dhal jao,
mujko yun sila dena,
tum mujay bhula dena...!
tum agar bikhar jao,
bay basi me ghir jao,
dil say ik sada dena,
bus mujay bula lena,
mein tumhe sanbhaal longa,
zindagi me chalnay ka,
rasta badalnay ka,
ik hunar sikha donga,
tumko hosla donga,
or jab,
sambhal jao,
roshni me dhal jao,
mujko yun sila dena,
tum mujay bhula dena...!
·
1 Like ·
Nov 24, 2017 at 13:11
Category: sad
Poetry / Love
Chouri Toot Gai
Kitni saada
Kitni pyari
Kaanch ki chouri jesi larhki
College k kamry mein bethi
Janay kya kuch soch rahi thi
Main bhe Oss k paas hee betha
us ko ghoor se dekh raha thaa
Kiya Qissa hai?
Main ne pocha?
us ki ankhein bheeg gayeen
Dheemi si awaaz mein boli
Dekho?.. ?
Chouri toot gai…
Kitni pyari
Kaanch ki chouri jesi larhki
College k kamry mein bethi
Janay kya kuch soch rahi thi
Main bhe Oss k paas hee betha
us ko ghoor se dekh raha thaa
Kiya Qissa hai?
Main ne pocha?
us ki ankhein bheeg gayeen
Dheemi si awaaz mein boli
Dekho?.. ?
Chouri toot gai…
·
1 Like ·
Jul 13, 2017 at 13:07
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mein Raat Toot Kar Roya To Chain Se Soya
ajab junoon-e-musafat main ghar se nikla tha
khabar nahi ke sooraj kidhar se nikla tha
ye kon phir se mujhy raston main choar gaya
abhi abhi to azaab-e-safar se nikla tha
ye teer dil main magar be sabab nahi utra
koi to hurf lub-e-charagar se nikla tha
mein raat toot kar roya to chain se soya
ke dil ka zahar meri chasm-e-tar se nikla tha
wo qais ab jisay majnoo pukarty hen log
meri terha koi deewana ghar se nikla tha

May 28, 2017 at 10:05
Category: sad
Social Wall / Text
Abdul Khaliq
Kisi Aurat Ka Dil Asal Mein Kab Toot Ta Hai?
·
1 Like ·
Apr 27, 2017 at 07:04
Category: text
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bharosa Toot Janay Se Zara Pahlay Bata Daina
Bharosa toot janay se zara pahlay bata daina
Mujhay tum azmanay se zara pahlay bata daina
Kisi heelay bahanay se zara pahlay bata daina
K mujh ko tum bholanay se zara pahlay bata daina
Zamin ki rait pe tum ne mohabbat se likhi thi jo
Woh tahrerain mitanay se zara pahlay bata daina
Mairay dilber k es dil per main rakh loon zabt ka pathar
Suno daman churranay se zara pahlay bata daina
Kisi bhi mor pe Mohsin bura pao agar mujh ko

Apr 27, 2017 at 05:04
Category: sad
Sponored Video