Search
Poetry / Sad

Muhabbaton Mein Har Ek Lamha Wisal Hoga Ye Tay Howa Tha

muhabbaton mein har ek lamha wisal hoga ye tay howa tha
bichar ke bhi ek dosrey ka khayal hoga ye tay howa tha
wohi howa na badaltey muosam mein tum ne ham ko bhula dia hey
koi bhi rut ho na chahaton ko zawal hoga ye tay howa tha
ye kia ke sansain ukhar gai hain safar ke aghaz se hi yaro
koi bhi thak kar na rastey mein nidhal hoga ye tay howa tha
juda hoe hain tu kia huwa phir yehi to dastoor-e-zindagi hey
judaiyon mein na qurbaton ka malal hoga ye tay howa tha
chalo ke Faizan kashtiyon ko jala dain gumnam sahilon per
ke ab yahan se na wapsi ka sawal hoga ye tay howa tha...!

·
3 Like ·
Sep 08, 2017 at 17:09
Category: sad
Poetry / Love

Bayaan Mein Thi Wo Chaashni Ke Mehak Raha Tha Harf Harf

Wo khayal tha koi dhanak numa ya koi aks tha merey rubaru
jo mujhey har taraf sey tu laga, woh tu hi tha ya koi hu bahu
bayaan mein thi wo chaashni ke mehak raha tha harf harf
jesey khushbuon ki zubaan meiN koi kar raha ho guftagu
nahi kuch khabar ke kis gharri terey raastoN ka sira miley
terey naqsh-e-pa ki talaash meiN lagi to hey meri justuju
bas deikhna hey kis terha wo ji raha hey merey baghair
yun to dil mein hey wo aaj bhi jisey dhoondta hoon ko ba ko
yeh yaad tha ke duwa karoon par uthay rahey merey haath yun
jese khowishon ke hajoom mein kaheen kho gayi teri aarzu...!

2 Like ·
Sep 06, 2017 at 09:09
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad

Habs E Jaan Aisa Tha Phir Shiddat E Gham Ko Tarsay

Habs-e-jaan aisa tha phir shiddat-e-gham ko tarsay
Be hissi woh thi k deeda e num ko tarsay
Tujh se bichre tou koi raah na manzil koi
Aise bhatkay k tere naqsh-e-qadam ko tarsay
Zakhm aise the jin ka koi dermaan na hua
Umer bher hum tou tere dast-e-karam ko tarsay
Paas reh ker tha jinhain zakhm-e-taghaful ka gila
Tujh se bichray tou tere zulm-o-sitam ko tarsay...!

1 Like ·
Sep 03, 2017 at 21:09
Category: sad
Poetry / Sad

Mujh Se Bichhar K Mujh Ko Rula Kar Udaas Tha

Meri Tarah Wo Khud Ko Jala Kar Udaas Tha,
Aise Ajeeb Dard K Pehrey Thay Chaar Su
Ab K Woh Mere Shehar Mein Aa Kar Udaas Tha,
Mujh Ko Bhi Us Ki Yaad Stati Rahi Bohat
Wo Bhi Diyar-E-Ghair Mein Ja Kar Udaas Tha,
Mere ilawa Bhi Hai Koi Us Ka Shehr Mein
Itni Si Baat Mujh Ko Bata Kar Udaas Tha,
Aitabar Us Ko Udaas Kar Gayi Beety Dinon Ki Yaad
Guzri Rafaqton Ko Ganwa Kar Udaas Tha...!

Sep 03, 2017 at 09:09
Category: sad
Poetry / Sad

Meri Beyrukhi Ka Tha

mein uss kii khamoshi ka sabab jaan na saka
such to yahi hey mein ussey
pahchaan naa saka
buss ab judaii key beqarar lamhoon me
jub bhi mein ussey yaad karta hoon
to uss kii yaad
zakham zakham ban kar
merey wajood koo kaatti rahtii hey
mein laho lahoo ban kar
key judaii key samey
mein ney uss kii khamoshi to mahsoos kar lii thii magar
mein uss kii jal thal aankhoon ko daikh nahi paaya thaa
jahaan sirf gilla hii gilla tha
shikwa hii shikwa thaa
aur yeh shikwa aur gilla
meri beyrukhi ka tha...!

Sep 01, 2017 at 20:09
Category: sad
Poetry / Sad

Maana Har Baar Me Naakam E Wafa Tha Lekin

Jeene ki koi khub soorat wajah ho ye zaruri to nahi
Meri har baat Ana ho ye jaruri to nahi...
Maana har baar me Naakam-e-wafa tha lekin
galati meri hi har dafa ho ye zaruri to nahi...
Me jo yu door ho gaya hu tujhse...
Terii Jaanib hi hawaa ho ye zaruri to nahi...
Tanha hai chand suraj bhi to Aasmano pe
Tanha Rahna bhi sazaa ho ye jaruri to nahi...!

Sep 01, 2017 at 07:09
Category: sad
Poetry / Sad

Woh Humsafar Tha Magar Us Say Ham Nawahi Na Thi

woh humsafar tha magar us say ham nawahi na thi
ke dhoop chaoun ka aalam raha,judaai na thi
na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal
sHab-e-firaq kabhi hum nay youn ganwayi na thi
mohabbatoN ka safar es tarha bhi guzra tha
sHikasta dil thay musaafir sHikasta paayi na thi
adawataiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN
bicHaRnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi
bichartay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal
gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi
kabhi yeh haal k donoN maiN yakdili thi bohat
kabhi yeh marhala jaisay k ashanie na thi
ajeeb hoti hay rah-e-sukHan bhi dekh Naseer
wahaN bhi aa gaye akHir jahaN rasayi na thi....!

Aug 31, 2017 at 06:08
Category: sad
Poetry / Sad

Mujh Se Bicher K Mujh Ko Rula Ker Udaas Tha

Mujh se bicher k mujh ko rula ker udaas tha,
Meri tarah wo khud ko jala ker udaas tha,
Aisay ajeeb dard k pehre thay chaar soo,
Ab k wo mere shehar main aa ker udaas tha,
Mujh ko bhi us ki yaad satati rahi bohat,
Wo Bhi diyaar-e-ghair main ja ker udaas tha,
Mere ilawa bhi hai koi us ka shaher main,
Itni see baat mujh ko bata ker udaas tha,
Us ko udaas ker gayi beete dinon ki yaad,
Guzri rafaqaton ko ganwa ker udaas tha...!!!

Aug 25, 2017 at 19:08
Category: sad
Poetry / Sad

Bohat Naz Tha Us Ki Wafa Pe Kabhi Hum Ko

Meri Zindgi Ko Ek Tamasha Bana Dia Us Ne
Bhari Mehfil Mein Tanha Bitha Dia Us Ne,
Aysi Kya Thi Nafrat Us Ko Es Masoom Dil Se
Khushiyan Chura Kar Gham Thama Dia Us Ne,
Bohat Naz Tha Us Ki Wafa Pe Kabhi Hum Ko
Mujh Ko He Meri Nazron Mein Gira Dia Us Ne,
Khud Be Wafa Tha Meri Wafa Ki Kya Qadar Karta
Anmol Tha Main Khaak Mein Mila Dia Us Ne !
Kisi Ko Yaad Karna To Us Ki Fitrat Mein Shamil Nahi
Hawa Ka Jhonka Samjh Kar Bhula Dia Us Ne...!

Aug 17, 2017 at 12:08
Category: sad
Sponored Video