Search
Poetry / Sad

Samajh Jana K Wo Hoon Main

Agar main door ho jaaun
To palkon ko jhapak daina
Agar aansu koi giray
Samajh jana k wo hoon main
Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu girain us main
Jo ruk jaye ga honton per
Samajh jana k wo hoon main
Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
K phir baadal bhi aa jaaye
Samajh jana k woh hoon main
Jo chal jaaye hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho sab say
Samajh jana k wo hoon main
Jo zayada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi aaye
Samaj jana k wo hoon main
Agar tum bhoolna chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh jana k wo hoon main.....!!
To palkon ko jhapak daina
Agar aansu koi giray
Samajh jana k wo hoon main
Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu girain us main
Jo ruk jaye ga honton per
Samajh jana k wo hoon main
Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
K phir baadal bhi aa jaaye
Samajh jana k woh hoon main
Jo chal jaaye hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho sab say
Samajh jana k wo hoon main
Jo zayada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi aaye
Samaj jana k wo hoon main
Agar tum bhoolna chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh jana k wo hoon main.....!!
·
1 Like ·
Jun 16, 2017 at 07:06
Category: sad
Poetry / Love

Muzammil Shahzad
Samajh Mein Nhi Aata Falsafa Mohabbat Ka

Sabhi nay yun to kiya tajziya Mohabbat ka
Kisi say hal na hua masla Mohabbat ka
Woh jis kay hijr mein rona, usey dua deyna
Samajh mein nhi aata falsafa Mohabbat ka
Na janey kitni hi ankhein chalak jati hain
kisi bazam mein ho ager tazkara Mohabbat ka
Tammam umer tum khushi ko tarsoo ge
Na azmana kabhi hosla Mohabbat ka

May 28, 2017 at 22:05
Category: love
Advertisement
Social Wall / Photos
Farooq Ahmed
Kisi Ko Kuch Samajh Aya To Mujhe Bhi Samjhao
·
0 Like ·
Apr 06, 2016 at 10:04
Category: photos
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad
Apna Samajh K Jis K Liye

Daita raha faraib koi saadgi k sath
Itna bara mazaak meri zindagi k saath
Shayad mili saza es jurm ki mujhay
K tha mujhay pyaar ek ajnabi k saath
Wo zehar bhi dety rhy dawa ki trha
itna bura slook meri sadgi k sath
Apna smjh k jis k liye ham ujr gaye
Kal sham ja rha tha kisi ajnbi k sath
Itna bara mazaak meri zindagi k saath
Shayad mili saza es jurm ki mujhay
K tha mujhay pyaar ek ajnabi k saath
Wo zehar bhi dety rhy dawa ki trha
itna bura slook meri sadgi k sath
Apna smjh k jis k liye ham ujr gaye
Kal sham ja rha tha kisi ajnbi k sath
·
1 Like ·
Feb 20, 2016 at 21:02
Category: sad
Poetry / Love

Muzammil Shahzad
Samajh Jana K Woh Hun Main

Hatheli samny rakhna,
K sub aanso girain us mein,
Jo ruk jayega honton pr,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
kabhi jo chand ko dekho,
To tum yun muskura dena,
Jo chal jaye hawa thandi,
To aankhein bund kr lena,
Jo jhonka tez ho sub sy,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
Jo zyada yaad aaon main,
To tum ro lena g bhar k,
Agar hichki koi aye,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
Agar tum bholna chaho mujhay,
Shayed bhula do tum,
Magar jub sans lena,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
K sub aanso girain us mein,
Jo ruk jayega honton pr,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
kabhi jo chand ko dekho,
To tum yun muskura dena,
Jo chal jaye hawa thandi,
To aankhein bund kr lena,
Jo jhonka tez ho sub sy,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
Jo zyada yaad aaon main,
To tum ro lena g bhar k,
Agar hichki koi aye,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
Agar tum bholna chaho mujhay,
Shayed bhula do tum,
Magar jub sans lena,
SAMJH JANA K WO HON MAIN..
·
1 Like ·
Dec 28, 2015 at 10:12
Category: love
Poetry / Love

Muzammil Shahzad
Samajh Lena Muhabbat Hai

agar sansen mehak jayen
agar ankhien chhalak jayen
agar khawabon ki khwahish ho
agar phoolon ki barish ho
agar hanstay huay ronay ko ji chahay akailey mein
agar koi daikh ko kahin kho jaye melay mein
poochnay jao ke akhar kya haqeeqat hai
aur iss ka yeh jawaab aaye
mujahe tum say nafrat hai
samajh lena muhabbat hai

Nov 29, 2015 at 20:11
Category: love
Poetry / General

Muzammil Shahzad
Samajh Mein Ye Nahin Aata

Samajh Mein Ye Nahin Aata K Dil Kii Kho Kya Thi
Safar To Aath Pehar Kaa Tha Justaju Kya Thi
Vo Aabshaar Ke Paani Si Taba Rakhta Tha
Magar Thake Huye Lahaje Ki Guftagu Kya Thi
Hui Shikast Jahaan Fateh Ka Yaqin Hua
Koii Chupa Hua Dushman Tha Aarzu Kya Thi
Talaash Karte Ho Kis Shay Ko Is Kharaabe Mein
Darakht Hi Na Rahe Shaakh-E-Rang-O-Bu Kya Thi
Tu Aaftab Agar Tha To Kyon Ghuroob Hua
Ye Roushni Si Tere Baad Chaar Su Kya Thi
Darakht Pukhta Chhatain Tor Kar Nikal Aaye
Ye Ik Azaab Hi Thaa Quuvat-E-Namu Kya Thi

Oct 16, 2015 at 05:10
Category: general
Poetry / Friendship

Muzammil Shahzad
Soch Samajh Lena

Soch Samajh Lena Qadam Utha Ne Se Phahlay
Kahein Kho Na Jaao Manzil Aanay Se Phahlay
Moukhlis Dost Se Mahroom Ho Na Jao Kahein
Ye Soch Lena Usay Azmanay Se Phahlay
Tumharay Seenay Mein Bhi Dharkta Hai Aik Dil
Ye Soch Lena Kisi Ka Dil Dukhane Se Phahlay

3 Like ·
Sep 26, 2015 at 11:09
Category: friendship

Sep 26, 2015 at 03:09
Category: friendship
Sponored Video