Search
Poetry / General
Shagufta Yasmeen
Yeh Hum Jo Roz Uthatey Hain Apni Hi Lashain
Yeh hum jo roz uthatey hain apni hi lashain,
Kisi qalam se yeh manzooriyan to hoti hain..
Kisi qalam se yeh manzooriyan to hoti hain..
·
0 Like ·
Aug 01, 2018 at 01:08
Category: general
Advertisement
Poetry / Sad
Qamar Jabbar
Saaqi Roz E Azal Ye Kia Bulaya Tha Mujhe
·
1 Like ·
Jul 11, 2018 at 19:07
Category: sad
Jokes / Miscellaneous
Kashif Yaqoob
Arz hai-roz roz weight check kya karna hai,
Arz hai-roz roz weight check kya karna hai,
ek din to sabne marna hai,
char din ki hai zindagi,
kha lo jee bhar ke,
agle janam to phir 3 kilo se hi start karna hai..
ek din to sabne marna hai,
char din ki hai zindagi,
kha lo jee bhar ke,
agle janam to phir 3 kilo se hi start karna hai..
·
1 Like ·
May 03, 2018 at 09:05
Category: miscellaneous
Jokes / Ustaad Aur Shagird
Abdul Qadeer
Ek Bacha Roz Math K Sir K Ghar Pe Phone Karta.
Ek Bacha Roz Math K Sir K Ghar Pe Phone Karta
Sir Ki Wife: Kitni Baar Kaha Wo Mar Gaye Hain.
Baar Baar Phone Q Karte Ho??
Bacha:
Sun K Acha Lagta Hai.
Sir Ki Wife: Kitni Baar Kaha Wo Mar Gaye Hain.
Baar Baar Phone Q Karte Ho??
Bacha:
Sun K Acha Lagta Hai.
·
1 Like ·
Apr 15, 2018 at 07:04
Category: ustaad-aur-shagird
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Roz Taron Ki Numaish Mein Khalal Parta He
Roz taron ki numaish mein khalal parta he
Chaand pagal he andheray mein nikal parta he
Aik deewana musafir he meri ankhon mein
Waqt be-waqt thehar jata chal parta he
Apni tabeer k chakar mein mera jagta khawab
Roz suraj ki tarah ghar se nikal parta he
Roz pathar ki himayat mein ghazal likhty hein
Roz sheeshon se koi kaam nikal parta he
us ki yaad ayi he sanso zara ahista chalo
Dharkano se bhi ibadat mein khalal parta he
Chaand pagal he andheray mein nikal parta he
Aik deewana musafir he meri ankhon mein
Waqt be-waqt thehar jata chal parta he
Apni tabeer k chakar mein mera jagta khawab
Roz suraj ki tarah ghar se nikal parta he
Roz pathar ki himayat mein ghazal likhty hein
Roz sheeshon se koi kaam nikal parta he
us ki yaad ayi he sanso zara ahista chalo
Dharkano se bhi ibadat mein khalal parta he
·
1 Like ·
Mar 03, 2018 at 22:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujhe Roz O Shab Ki Kitab Mai
Mujhe roz'o'shab ki kiatb me
Koi aisa harf na mil saka
Jisy misl'e'gul ka khitab don
Jisy chandni ki c taab don
Jisy dhond ker jisy khoj ker
Rukh'e'asman pe saja bhi don
Mery khoon'e'dil ki nigarshen
Mri rooh tak k fishaar bhi
Yahan ilm'o'fun ki dukan per
Bary sasty damo sy bik gaye
Mujhe tor ker,Muje phorr ker
Mery dosto ne jala dia
Raah'e'zindagi k ghubar me
Meri raakh tak ko ura dia
Mujhe phir bhi koi gila nhi
Jo mila nhi SO MILA NHI....!!!
Koi aisa harf na mil saka
Jisy misl'e'gul ka khitab don
Jisy chandni ki c taab don
Jisy dhond ker jisy khoj ker
Rukh'e'asman pe saja bhi don
Mery khoon'e'dil ki nigarshen
Mri rooh tak k fishaar bhi
Yahan ilm'o'fun ki dukan per
Bary sasty damo sy bik gaye
Mujhe tor ker,Muje phorr ker
Mery dosto ne jala dia
Raah'e'zindagi k ghubar me
Meri raakh tak ko ura dia
Mujhe phir bhi koi gila nhi
Jo mila nhi SO MILA NHI....!!!
·
1 Like ·
Feb 18, 2018 at 16:02
Category: sad
Poetry / Sad
Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Bohat Dil Tarpey Ga
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hijar Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakhm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamay Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka
Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho...!
Kuch Roz Rahein Gi Nam Aankhein
Kuch Roz rahey Gi Bechaini
Kuch Roz Yeh Seena Sulgey Ga
Pani Mein Safeena Sulgey Ga
Rafta Rafta .........
Dheerey Dheerey .......
Phir Haalat Hijar Gazeeda ki
Ik Roz Sanbhal hi Jaye gi
Ik Zakhm Bharey ga Chahat ka
Ik Dard Thamay Ga Shiddat ka
Ik Diya Bujhey Ga Qurbat ka
Lakin Kya Aisa Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho
Kya Yeh Namumkin, Mumkin Hai ?
Tum Khud Socho...!
·
1 Like ·
Dec 24, 2017 at 20:12
Category: sad
Poetry / Sad
Apne Hi Shab O Roz Main Abad Raha Ker
apne hi shab-o-roz main abad raha ker
hum log burey log hain humse na mila ker
shayad kisi awaz ki khushboo nazar aaey
aankhain hain to khwabon ki tamanna bhi kiya ker
baton key liey shikwoon k mausam hi buhat hain
kuch aur kisi se na kaha ker na suna ker
sone de unhain rang jo soye hain badan main
awara hawaon ko na mehsoos kiya ker
tu subhe baharan ka haseen khwab he phir bhi
aahista zara aus ki boondon pe chala ker...!
hum log burey log hain humse na mila ker
shayad kisi awaz ki khushboo nazar aaey
aankhain hain to khwabon ki tamanna bhi kiya ker
baton key liey shikwoon k mausam hi buhat hain
kuch aur kisi se na kaha ker na suna ker
sone de unhain rang jo soye hain badan main
awara hawaon ko na mehsoos kiya ker
tu subhe baharan ka haseen khwab he phir bhi
aahista zara aus ki boondon pe chala ker...!
·
1 Like ·
Dec 03, 2017 at 00:12
Category: sad
Poetry / Love
Kisi Roz Sham K Waqt
Kisi roz sham k waqt,
Suraj k aram k waqt,
Mil jaye sath tera,
Hath men le kar hath tera,
Door kahin tanhai men,
Duniya se judai men,
Apne sung bithaon tuje,
Dil ka haal sunao tuje,
Tere hath ki lakiron men,
Talash apna naam karon,
Usi waqt irada kren,
Phir milne ka wada kren,
Kisi roz sham k waqt,
Suraj k aram k waqt...
Suraj k aram k waqt,
Mil jaye sath tera,
Hath men le kar hath tera,
Door kahin tanhai men,
Duniya se judai men,
Apne sung bithaon tuje,
Dil ka haal sunao tuje,
Tere hath ki lakiron men,
Talash apna naam karon,
Usi waqt irada kren,
Phir milne ka wada kren,
Kisi roz sham k waqt,
Suraj k aram k waqt...
·
2 Like ·
Nov 12, 2017 at 18:11
Category: love
Sponored Video