Search
Advertisement
Poetry / Relegious
Muzammil Shahzad
Rooh Ko Jism Kay Pinjray Se Rehai De De
Rooh Ko Jism Kay Pinjray Se Rehai De De
Charah Gar, Aisi Mujhay Ab Kay Dawai De De
Zulmaten Sari Mita Don Ga, Main Mazloom Sahi
Meray Maabood Zara Apni Khudaii De De
Teray Honay Peh Bhi, Ab Loog Jirah Kertay Hain
Apni Makhlooq Ko Tu Ab Tu Dikhai De De
Ashk Aankhoon Mai Nahi, Harf-E-Dua Bhi Napaid
Waqt-E-Rukhsat Ko Nai, Rusm-E-Judaii De De
Muflison Peh Ju Lutao Tu Kabhi Khatm Na Ho
Paalnay Walay Mujhay Aisy Kamai De De

·
2 Like ·
Feb 25, 2018 at 05:02
Category: relegious
Poetry / Poetry Sms
Rumana Shahzad
Badan Se Rooh Jati Hai To Bichti Hai Saf E Matam
Badan se rooh jati hai to bichti hai saf-e-matam,
Magar kirdar mar jae to kiyo matam nhi hota?.

4 Like ·
Feb 02, 2018 at 04:02
Category: poetry-sms
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Rooh K Zakhm Bohat Gehry Hain
rooh k zakhm bohat gehry haiN
pyaas behti hay lahoo ban k inhi zakhmoN se
dard k taar banaty haiN ajab naqsh rafu kaari key
aag hi aag rag-o-pay meiN utar jaati hay
aadmi apny hi sholoN se sulag uThta hay
zindgi moat k maino se ulajh jati hy
aur phir youNhi achanak
koi chupky se nazar Daalta hay zakhmoN pr
aankh bhar deti sab naqsh rafoo kaari key
honT barsatay haiN kuch harf-e-tasalli in pr
haath ban jaty haiN marham
dard miT jata hay lehjay k asar sey yakdam
pyaas bujhti hay to bhar jaty haiN sab rooh k zakhm....

1 Like ·
Jun 03, 2017 at 02:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Rooh Mei Teri Muhabbat Ka Asar Hai Ab Tak
ROOH MEI TERI MUHABBAT KA ASAR HAI AB TAK
JISM TO KHAAK HUA AANKH TO TAR HAI AB TAK
RANG JO CHHOR GAEE HAATH PAY MERAY TITLI
MERAY NAGHMON MEI WOHI RANG E HUNAR HAI AB TAK
CHAND KA TUKRA KAHA THA TUJHAY MAIN NAY IK SHAB
JUSTAJU MEI TERI SARKARDAAN QAMAR HAI AB TAK
BUN GAEY FARISHTAY SUB HE JO THAY INSAAN YAHAN
DAR PAR TERAY JO KHARRA HAI WO BASHAR HAI AB TAK
CHHOR K JA BHI CHUKA MUJHKO WO TANHA LEKIN
DEKHTA HOON TO TA HAD E NAZAR HAI AB TAK

May 26, 2017 at 21:05
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Rooh K Ander Utar Kar Aaina Daita Hai Koun
khirkiyon ko khol karr taza hawa daita hai kaun
hath main barish k mausam ka pata daita hai koun
meri aankhain band hain aur dhyan k rastay khule
rooh k ander utar kar aaina daita hai koun
tum mujhe ye kon se waqton main aa kar mill gaye
umr k es morh par kise ko sada daita hai koun
koun hai jiss k liye ikk umr se be chain hoon
umr bhar ki be kali pal mai barha daita hai koun
koun hai jo raat bhar aawaz daita hai mujhey
aur din bhar apni khamoshi suna daita hai koun
koun hai jo khowab rakkh daita hai sooni aankh mai
nind mai bhi jagtey manzar dikha daita hai koun
koun hai jis key liye nazmain kahey jaati ho tum
es zamane mai kisi ko youn dua deta hai koun

May 03, 2017 at 00:05
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Khatm Ye Rooh Ka Aazaar Krna Chahta Hun
khatm ye rooh ka aazaar krna chahta hun
mein apni zaat ka inkaar krna chahta hun
mujhey khabar hae terey raastey ka pathar hun
so teri raah ko hamwaar krna chahta hun
wafa k zikr se honay lagi hae wahshat si
ab apney jhoot ka iqraar krna chahta hun
mein apni ghaat me betha hua hun muddat se
per aaj khul ke zra waar krna chahta hun
mein terey saamney aya hun le kr aaina
ye dekh tujh ko shramsaar krna chahta hun
meri majaal kahan aap ko ghalat keh dun
bus ik khyaal ka izhaar krna chahta hun
agar gunah yehi hae ke sach kaha mein ne
to phir gunaah bar bar krna chahta hun

Apr 30, 2017 at 20:04
Category: sad
Poetry / Poetry Sms
Rooh
Hum Apni Rooh Tere Jism Main Hi Chhoor Aaye FARAZ
Tujhey Galy Sy Lagana To Ek Bahana Tha
Tujhey Galy Sy Lagana To Ek Bahana Tha
·
1 Like ·
Jul 01, 2015 at 18:07
Category: poetry-sms
Poetry / Love
Jo Rooh Leiti Hay Aksar Woh
JO ROOH LEITI HAY AKSAR WOH SISKIYAN SUNAYI NAHI DEITIEN
JEEWAN MEIN HEIN KUCH AISI JO TALKHIYAN DIKHAYI NAHI DEITEIN
TANHAYI K GHUP ANDHeRON MEIN AASeiB ZADA DIL K MAKAN MEIN
KISI KI YAD SAY JO HOTI HEIN WOH ROSHNIYAN DIKHAYI NAHI DEITIEN
IK BEy NAAM SI KHALISH HO TO DARD BHI HuD SAY SIWA HOTA HAY
KISI SE MILNE K BAAD JO MILEIN WOH BEy CHAINIAn DIKHAYI NAHI DEITEN
BUHAT UJLE UJLE ROSHAN CHEHRON K ANDER DOuR KAHIN PAR
JO CHUPPI HOTI HEIN WOH TAREEKIYAN DIKHAYI NAHI DEITIEN
BUHAT HABAS K BaaD JAB PYAR KI BARISHEIN BARASTI HEIN TO JO
DIL MEIN YAK DAM WAA HOTI HUYI KHIDKIYAN DIKHAYI NAHI DEITIEN
IK HIJR E MUSALSAL SAY JO DIL MEIN UTTAR GAYYEIN SADA K LIYE SHAZ
USS KO MUJH MEIN BASSI WOHI VEERANIYAN DIKHAYI NAHI DEITIEN

Nov 20, 2014 at 13:11
Category: love
Sponored Video