Search
Poetry / Sad
Tere Binaa (Pak Old)
Tere binaa yun ghariyaan biteen
jaise sadiyaan beet gayeen
Khud manzil ko thukraya hay
majbori k saye hain
Tarikhi main hum ne apne
dil k dag jalaye hain
Har gaye do pyaar bhare dil
Zalim rasmeen jeet gayeen
Luut liya halaat ne hum ko
Tera jahan abaad rahe
Kaash humeen tu bhuul hi jaye
pyaar na tuj ko yaad rahe
patjhar hi anjaam tha jin ka
Ab woh bahareen beet gayeen!!!
jaise sadiyaan beet gayeen
Khud manzil ko thukraya hay
majbori k saye hain
Tarikhi main hum ne apne
dil k dag jalaye hain
Har gaye do pyaar bhare dil
Zalim rasmeen jeet gayeen
Luut liya halaat ne hum ko
Tera jahan abaad rahe
Kaash humeen tu bhuul hi jaye
pyaar na tuj ko yaad rahe
patjhar hi anjaam tha jin ka
Ab woh bahareen beet gayeen!!!
·
1 Like ·
Oct 03, 2015 at 10:10
Category: sad
Poetry / Sad
Ashkoon main dhal gayi (Pak Old)
Hoti hay tere name se wehisht kabhi kabhi
Barhum huy hay yun bhi tabiyat kabhi kabhi
Aye dil kise naseeb yeh tofeq azteraab
Milti hay zindagi main yeh rahat kabhi kabhi
Josh jannon main dard ki tagyanio k sath
Ashkoon main dhal gayi teri surat kabhi kabhi
Tere kareb reh k bhi dil mutmaen na tha
Guzri hay muj pe yeh bhi qiyamat kabhi kabhi
Kuch apna hosh tha na tumara khiyal
Yun bhi guzar gaye shab e furkat kabhi kabhi
Aye dost hum ne tark e mohabbat k bawajood
Mehsoos ki hay teri zarorat kabhi kabhi!!!
Barhum huy hay yun bhi tabiyat kabhi kabhi
Aye dil kise naseeb yeh tofeq azteraab
Milti hay zindagi main yeh rahat kabhi kabhi
Josh jannon main dard ki tagyanio k sath
Ashkoon main dhal gayi teri surat kabhi kabhi
Tere kareb reh k bhi dil mutmaen na tha
Guzri hay muj pe yeh bhi qiyamat kabhi kabhi
Kuch apna hosh tha na tumara khiyal
Yun bhi guzar gaye shab e furkat kabhi kabhi
Aye dost hum ne tark e mohabbat k bawajood
Mehsoos ki hay teri zarorat kabhi kabhi!!!
·
1 Like ·
Oct 02, 2015 at 19:10
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Egraz k bandoon se (Pak Old)
Ab dil main mahkey huwe jazbe naheen milte
Ujre huwe gulshan main parende naheen milte
Kyun chupke se woh loog utar jate hain dil main
jin logon se kismat k sitare naheen milte
Egraz k bandoon se na ikhlas talab kar
sehra main ghane peiroon k sayee naheen milte
Ujre huwe gulshan main parende naheen milte
Kyun chupke se woh loog utar jate hain dil main
jin logon se kismat k sitare naheen milte
Egraz k bandoon se na ikhlas talab kar
sehra main ghane peiroon k sayee naheen milte
·
1 Like ·
Oct 02, 2015 at 11:10
Category: sad
Poetry / Love
Ek halki halki (Pak Old)
Ek halki halki ahat hay
Ek mehka mehka saya hay
Yeh kon muj ko khiyalon main
Diwana banane aya hay
Kuch kehti hui woh un ki nazar
Bijli bhi naheen sholah bhi naheen
Is par bhi magar dil ko hum ne
Sene main sulagta paya hay
Mehsos huwa dunia main
Andhra koy naheen
Aankhon main diye se jalne lage
Jab dil se dil takraya hay
Zulfoon main chupa kar chehre ko
Hum apne aap se sharmayee
Bhule se humare honton par
Jab naam tumara aya hay
Ek mehka mehka saya hay
Yeh kon muj ko khiyalon main
Diwana banane aya hay
Kuch kehti hui woh un ki nazar
Bijli bhi naheen sholah bhi naheen
Is par bhi magar dil ko hum ne
Sene main sulagta paya hay
Mehsos huwa dunia main
Andhra koy naheen
Aankhon main diye se jalne lage
Jab dil se dil takraya hay
Zulfoon main chupa kar chehre ko
Hum apne aap se sharmayee
Bhule se humare honton par
Jab naam tumara aya hay
·
2 Like ·
Oct 02, 2015 at 04:10
Category: love
Poetry / General
DIL KASHI (Pak Old)
Dil kashi hay tumari zaat k sath
Warna dukh dard hain hayaat k sath
Saaz dil ka bara shikasta hay
Cheirna is ko ahetiyat k sath
Rooz jata hoon haal dil kahne
Lout ata hoon dil ki baat k sath
Rang bharna the bhar gayi tanha
Zindagi talkh waqiyat k sath...
Warna dukh dard hain hayaat k sath
Saaz dil ka bara shikasta hay
Cheirna is ko ahetiyat k sath
Rooz jata hoon haal dil kahne
Lout ata hoon dil ki baat k sath
Rang bharna the bhar gayi tanha
Zindagi talkh waqiyat k sath...
·
1 Like ·
Oct 01, 2015 at 20:10
Category: general
Poetry / Relegious
Muzammil Shahzad
Tere (s.a.w.w) Zikre Pak Se
Tere(S.A.W.W) Zikre Pak Se Ya Nabi(S.A.A.W)
Muje Mil Gayee Nayee Zindagi
Terra Zikar Zikar e Kareem Hai
Tera Khulak Kitna Azeem Hai
Teri Shan Hai Shan e Sarwari
Tere Kadam Hain Jahan Parey
Sahra Ho Gaye Sab Harey
Teri Zat Ki Hai Ye Jadoo Ghari
Tere Hilam Se Pather Pighal Gaye
Dushman Dushamani Se Nikal Gaye
Tere Lehje Mein Thi Kitni Shaistaghi
Jab Bhi Khali Daman Hai Uthaya
Tu Ne Rahmatoo Ka Sawan Barsaya
Nahi Tujh Sa Koi Bhi Sakhi
Teri Yad Mera Aizaz Hai
Wabasta Is Se Kamyabi Ka Raz Hai
Nisa Ki Zindagi Hai Teri Bandgi
Muje Mil Gayee Nayee Zindagi
Terra Zikar Zikar e Kareem Hai
Tera Khulak Kitna Azeem Hai
Teri Shan Hai Shan e Sarwari
Tere Kadam Hain Jahan Parey
Sahra Ho Gaye Sab Harey
Teri Zat Ki Hai Ye Jadoo Ghari
Tere Hilam Se Pather Pighal Gaye
Dushman Dushamani Se Nikal Gaye
Tere Lehje Mein Thi Kitni Shaistaghi
Jab Bhi Khali Daman Hai Uthaya
Tu Ne Rahmatoo Ka Sawan Barsaya
Nahi Tujh Sa Koi Bhi Sakhi
Teri Yad Mera Aizaz Hai
Wabasta Is Se Kamyabi Ka Raz Hai
Nisa Ki Zindagi Hai Teri Bandgi
·
1 Like ·
Sep 22, 2015 at 13:09
Category: relegious
Poetry / Sad
Woh kisi ka ho chuka tha (Pak Old)
Jis ka naam naheen liya tha
Main ne jis ko shaam kaha tha
Aaj kaheen woh shaam naheen hay
Yaad mujhay woh naam naheen hay
Jis ki aankheen dekh k main ne
Apne khuwab trashe
Aaj mujhay kyun lagty hain woh
Sare kheel tamashe
Woh jeta main haar gaya tha
Haar gaya tha
Woh bichra to main ne us ki ahat ko apnaya
Najane kiya dekha main ne rastoon se lout aya
Woh kisi ka ho chuka tha
Ho chuka tha
Main ne jis ko shaam kaha tha
Aaj kaheen woh shaam naheen hay
Yaad mujhay woh naam naheen hay
Jis ki aankheen dekh k main ne
Apne khuwab trashe
Aaj mujhay kyun lagty hain woh
Sare kheel tamashe
Woh jeta main haar gaya tha
Haar gaya tha
Woh bichra to main ne us ki ahat ko apnaya
Najane kiya dekha main ne rastoon se lout aya
Woh kisi ka ho chuka tha
Ho chuka tha
·
1 Like ·
Aug 21, 2015 at 17:08
Category: sad
Poetry / Love
Tum Ho (Pak Old)
JIS SIMT BHI DEKOON NAZAR ATA HY K TUM HO
AEY JAN-E-JAHAN YE KOI TUMSA HY K TUM HO
YE KHWAB HY , KHOSHBOO HY K JHONKA HY K PAL HY
YE DHUND HY , BAADAL HY K SAYA HY K TUM HO
IS DEED KI SAAT ME KAI RANG HEN LARZAA
ME HOON K KOI OR HY , DONYA HY K TUM HO
DEKO YE KISI OR KI AANKHIEN HEN K MERI
DEKOON YE KISI OR KA CHEHRA HY K TUM HO
YE OMRE GOREZAN KAHEEN THERY TO YE JANOO
HAR SANS ME MOJH KO YEHI LAGTA HY K TUM HO
IK DARD KA PHELA HOWA SEHRA HY K ME HOON
IK MOJ ME AYA HOWA DARYA HY K TUM HO
WO WAQT NA AAYE K DILZAR BHI SOCHY
IS SHEHER ME TANHA KOI HAMSA HY K TUM HO
AY JAN ITNI BHI TOFEEQ KISY THI
HAM KO GHAME HASTI BHI GAWARA THI K TUM HO
AEY JAN-E-JAHAN YE KOI TUMSA HY K TUM HO
YE KHWAB HY , KHOSHBOO HY K JHONKA HY K PAL HY
YE DHUND HY , BAADAL HY K SAYA HY K TUM HO
IS DEED KI SAAT ME KAI RANG HEN LARZAA
ME HOON K KOI OR HY , DONYA HY K TUM HO
DEKO YE KISI OR KI AANKHIEN HEN K MERI
DEKOON YE KISI OR KA CHEHRA HY K TUM HO
YE OMRE GOREZAN KAHEEN THERY TO YE JANOO
HAR SANS ME MOJH KO YEHI LAGTA HY K TUM HO
IK DARD KA PHELA HOWA SEHRA HY K ME HOON
IK MOJ ME AYA HOWA DARYA HY K TUM HO
WO WAQT NA AAYE K DILZAR BHI SOCHY
IS SHEHER ME TANHA KOI HAMSA HY K TUM HO
AY JAN ITNI BHI TOFEEQ KISY THI
HAM KO GHAME HASTI BHI GAWARA THI K TUM HO
·
1 Like ·
Aug 21, 2015 at 04:08
Category: love
Poetry / General
Mere Paas Kya Raha Hay (Pak Old)
Main khushi se kyun na gaoun
Mera dil bhi gaa raha hay
Yeh faza haseen hay etni
K nasha sa chaa raha hay
Mere humnasheen mubarak
Tujhaye pyaar ki yeh manzil
Tujhaye mil gayi woh dolat
Jo hay zindagi ka hasil
Woh gumaan tha ek haqeqat
Yeh yaqeen a raha hay
Yeh khushi bhi kiya khushi hay
K nikal pare hain aansou
Kaheen dil na baith jaye
K naheen hay dil pe kabuu
Tujhaye nazar doon to kiya don
Mere paas kiya rahaa hay
Mera dil bhi gaa raha hay
Yeh faza haseen hay etni
K nasha sa chaa raha hay
Mere humnasheen mubarak
Tujhaye pyaar ki yeh manzil
Tujhaye mil gayi woh dolat
Jo hay zindagi ka hasil
Woh gumaan tha ek haqeqat
Yeh yaqeen a raha hay
Yeh khushi bhi kiya khushi hay
K nikal pare hain aansou
Kaheen dil na baith jaye
K naheen hay dil pe kabuu
Tujhaye nazar doon to kiya don
Mere paas kiya rahaa hay
·
1 Like ·
Aug 20, 2015 at 21:08
Category: general
Sponored Video