Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Waqt Nay Wo Khaak Uraii Hay
Waqt Nay Wo Khaak Uraii Hay Dil Kay Dasht Say
Qaaflay Guzartay Hain Phir Bhi Naqsh Pa Koii Nahi
Khud Ko Yon Mehsoor Kar Betha Hoon Apni Zaat Main
Manzelain Charon Taraf Hain Raasta Koii Nahi
Qaaflay Guzartay Hain Phir Bhi Naqsh Pa Koii Nahi
Khud Ko Yon Mehsoor Kar Betha Hoon Apni Zaat Main
Manzelain Charon Taraf Hain Raasta Koii Nahi
·
4 Like ·
Feb 16, 2018 at 02:02
Category: sad
Jokes / Miscellaneous
Asiah Rahi
Unitversity Say Aatey Hoey Sudent Nay Teacher Say
University ki Class off hone ke baat aik student Teacher se Question Kerti Ha.Teacher yeh larke aapas main Mill Kar Kia Baatain Kertain Hai.whoi Jo Larkiyan Kerti Hai.Student Kheti Hai.Hey Hey Hey Larke Kitne Baisaram Hootey Hai.
·
3 Like ·
Nov 03, 2017 at 18:11
Category: miscellaneous
Advertisement
Jokes / Miscellaneous
Gulzar Ahmed
Aik Din Malik Nay Nokar Say Ka
aik din malik nay apnay nokar say kaha kay jab kisi ka naam liya karo toh sahib zaroor lagaya karoor lagaya karo.nokar nay kaha jee bahtar.ek din nokar bagta hua aaya aur kaha aslam sahib kutay sahib nay billi sahiba ko kaat liya hai.
·
7 Like ·
Oct 24, 2017 at 14:10
Category: miscellaneous
Poetry / 24
Aadat Hi Bana Li Hai Es Sheher K Logon Nay
Aadat Hi Bana Li Hai es Sheher k Logon Nay
Andaaz badal lena,awaaz badal lena
Dunia ki muhabbat main atwaar badal lena
Mousam jo naya aaye raftaar badal lena
Agyaar wohi rakhna ahbaab badal lena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay
Rasty main agar milna nazron ko jhuka lena
Awaaz agar do to katra k nikl jana
Har ek say juda rehna har ek say khafa rehna Har ek ka gila karna
Jaty hoye raahi ko manzil ka pata day kar rasty main rula dena
Aadat hi bana li hai es sheher k logon nay...!

2 Like ·
Oct 20, 2017 at 05:10
Category: 24
Poetry / Sad
Uss Nay Khat Main
Uss nay Khat main
Ishq ka Matlab Pooch liya hai
Mein nay Likha hai
Jab Koi Chehra
Dhiyaan Mein Akar
Man Angan mein Phool Khila de
Jab Koi Naam Labon ko Choo kar
Dharkano ki Tarteeb Bhula de
Jab koi Jazba Kar-e-Junoon se
Atish ko Gulzar bana de
Laikin Itna Dhiyaan mein Rakhna
Koi Siraat-e-Ishq se Guzry Tab Khulta hai
ISHQ se Pehle ISHQ ka Matlab kab Khulta hai...!

1 Like ·
Oct 02, 2017 at 00:10
Category: sad
Poetry / Sad
Hum Nay Soch Rakha Hai
Hum Nay Soch Rakha Hai
Chahay Dil Ki Har Khowish
Zindagi Ke Aankhoon Say
Ashk Ban Kay Beeh Jaye
Ghar Ke Sari Dewarain
Chatt Samait Gir Jaye
Or Be Muqaddar Ham
Khud He Kyun Na Dab Jaye
Tum Say Kuch Nahi Kehna
Kese Neend Thi Apni
Kesay Khowab Thay Apnay
Or Ab Gulaboon Per
Neend Wali Aankhoon Per
Naram Khoo Say Khowaboo Per
Kyun Azaab Tootay Hain
Tum Say Kuch Nahi Kehna
Ghir Gaye Hain Ratoon Main
Be Libas Batoon Main
es Tarah Ki Ratoon main
Kab Charag Jaltay Hain
Kab Azaab Taltay Hain
Ab Tu In Azaboon Say
Bach K Bhi Nikalnay Ka
Rasta Nahi Jana !
Jis Tarah Tum Ko Bhi
La Zawaal Lamhoo Say
Wasta Nahi Jana !
Ham Nay Soch Rakha Hai
Tum Say Kuch Nahi Kehna...!
Chahay Dil Ki Har Khowish
Zindagi Ke Aankhoon Say
Ashk Ban Kay Beeh Jaye
Ghar Ke Sari Dewarain
Chatt Samait Gir Jaye
Or Be Muqaddar Ham
Khud He Kyun Na Dab Jaye
Tum Say Kuch Nahi Kehna
Kese Neend Thi Apni
Kesay Khowab Thay Apnay
Or Ab Gulaboon Per
Neend Wali Aankhoon Per
Naram Khoo Say Khowaboo Per
Kyun Azaab Tootay Hain
Tum Say Kuch Nahi Kehna
Ghir Gaye Hain Ratoon Main
Be Libas Batoon Main
es Tarah Ki Ratoon main
Kab Charag Jaltay Hain
Kab Azaab Taltay Hain
Ab Tu In Azaboon Say
Bach K Bhi Nikalnay Ka
Rasta Nahi Jana !
Jis Tarah Tum Ko Bhi
La Zawaal Lamhoo Say
Wasta Nahi Jana !
Ham Nay Soch Rakha Hai
Tum Say Kuch Nahi Kehna...!
·
1 Like ·
Sep 16, 2017 at 14:09
Category: sad
Poetry / Sad
Ajab Hawa E Baharaan Nay Chara Saazi Ki
ye kaun doob gya aur ubhar gaya mujh main
ye kaun saye ki soorat guzar gaya mujh main
ye kis kay sog mai shorida haal phirta hon
woh kon shakhs tha aisa kay mar gaya mujh main
ajab hawa-e-baharaan nay chara saazi ki
woh zakhm jis ko na bharna tha bhar gaya mujh main
woh admi kay jo pathar tha jee raha hai abhi
jo ainna tha woh bikhar gayaa mujh main
misaal kya kay woh jab bhi kareeb say guzara
vo youn laga kay koi raqs kar gaya mujh main
woh sath tha to ajab dhuup chaoun rehti thi
bas ab to ek hi mausam tehar gaya mujh main....!

Aug 31, 2017 at 19:08
Category: sad
Poetry / Sad
Nahi Baikar Ikk Pal Bhi Guzari Zindagi Hamm Nay
saharay torh kar saray, saharay dhoondhne niklay
qadam rakkh kar bhanwar mai ham kinaray dhoondhne niklay
nahi baikar ikk pal bhi guzari zindagi hamm nay
kisi k naam say apnay sitaray dhoondhne niklay
hamaray houslon ne hi nibhaai umr bhar ham say
milay hain haadsay hamko, nazaray dhoondhne niklay
bhala kaisay na hota harr qadam par saamna unn ka
hamain jab chaar soo dushman hamaray dhoondhne niklay
sila apni wafaon ka mila hamko magar aisay
gaye jab chhorh kar dunya to pyaray dhoondhne niklay
nahi KHURSHEED dunya mai koi bhi aik ham jaisa
bhula kar faiday saray khasaray dhoondhne niklay...!

Aug 30, 2017 at 08:08
Category: sad
Poetry / Sad
Tu Nay Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Kay Bad
TU NAY DEKHA HAI KABHI EK NAZAR SHAAM KAY BAD
KITNAY CHUP CHAAP SAY LAGTAY HAIN SHAJAR SHAAM KAY BAD
ITNAY CHUP CHAAP KAY RASTAY BHI RAHAIN GAY LA ILM
CHOR JAIN GAY KISI ROZ NAGAR SHAAM KAY BAD
MAI NAY AISAY HI GUNAAH TERI JUDAAI MAI KIYE
JAISE TOOFAAN MAI KOI CHOR DE GHAR SHAAM KAY BAD
SHAAM SAY PEHLAY WO MAST APNI URANOON MAI RAHA
JIS KAY HAATH MAI THAY TOOTAY HUWAY PAR SHAAM KAY BAD
RAAT BEETI TAU GINNAY AABLAY AUR SOCHA
KAUN THA BAES AGHAAZ-E-SAFAR SHAAM KAY BAD
TU HAI SOORAJ,TUJHAY MALOUM KAHAN RAAT KA DUKH
TU KISI ROZ MERAY GHAR MAI UTTAR SHAAM KAY BAD....!

Aug 18, 2017 at 20:08
Category: sad
Sponored Video