Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Suno! Aisa Nahi Karna
Wafa ruswa nahi karna Suno!Aisa nahi karna.
Main pehlay hi akela hoon mujhey tanha nahi karna.
Meri in jheel ankhon ko kabhi sehra nahi karna.
Judai bhi jo ajaye tu dil chota nahi karna.
Bohat masruf ho jana mujhey socha nahi karna.
Bharosa bhi zaruri hai magar sab ka nahi karna.
Muqadar phir muqadar hai koi dawa nahi karna.
Meri takmeel tum se hai mujhey aadha nahi karna.
Jo likha hai wahi ho ga kabhi shikwa nahi karna.
Haqeeqat hai milan apna issey sapna nahi karna.

·
1 Like ·
Nov 04, 2015 at 20:11
Category: sad
Poetry / Sad
Mujhe Rona Nahi Aata
Suno
Mujhe rona nahi ata
Mujhe khona nahi ata
K tum bin jeeena mushkil hai
Jo dard tum dena chahte ho mujhe sehna nahi ata
tum to reh lo gy saath Kisi or k magar
Main kia karon k mujhe rasta badalna nahi ata
tum to waaqif ho andaz-e-guftugo se
Mujhe to baat karne ka salika nahi ata
Tum to jeet jate ho lar jhagar kr bhi
dekho mujhe to larna bhi nahi ata

2 Like ·
Oct 31, 2015 at 20:10
Category: sad
Advertisement
Social Wall / Photos
Muzammil Shahzad
Ghafil Dil Ki Dua Qabool Nahi Hoti
·
0 Like ·
Oct 20, 2015 at 02:10
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ache Nahi Lagte
Kabi Sehra Kabi Sokhay Shjar Ache Nahi Lagte
Mujhe Ab Khwabzaron Ke Safar Ache Nahi Lagte
Jawabi Khat Me Youn Osne Mere Baray Mein Likha Tha
Bura Bi Keh Nahi Sakte Magr Ache Nahi Lagte
Nahi Masrof Me Itna Ke Ghar Ka Rasta Bhulon
Koi Jb Muntazir Na Ho To Ghar Ache Nahi Lagte
Samandr Terti Lehron Se Ye Kehta Raha Shab Bhar
Mujhe Bi Dobnay Walay Bhanwar Ache Nahi Lgtey
Nahi Aisa Ke Ab Parwaz Ki Taqat Nahi Baqi
Meri Umeed Ke Panchi Ko Par Ache Nahi Lgtey

Oct 17, 2015 at 00:10
Category: sad
Poetry / Poetry Sms
Gulzar Ahmed
Bay Laos Mohabbat Nahi Ki Thi
Bay Laos Mohabbat Nahi Ki Thi
So Nafrat Bhi Nahi Ker Sakta
Bin Teray Jeena Mushkil Tha
Bin Teray Main Nahi Mar Sakta
So Nafrat Bhi Nahi Ker Sakta
Bin Teray Jeena Mushkil Tha
Bin Teray Main Nahi Mar Sakta
·
3 Like ·
Oct 12, 2015 at 01:10
Category: poetry-sms
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Waqt Nahi
Har Khushi Hai Logon Ke Daman Mein
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi
Din Raat Dhundhti Duniya Mein
Zindagi Ke Liye Waqt Nahi
Maa Ki Loree Ka Ehsas Toh Hai
Par Maa Ko Maa Kahne Ka Waqt Nahi
Saare Rishton Ko Toh Hum Maar Chuke
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi
Gairon Ki Kya Baat Karein
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi
Aankhon Mein Hai Neend Bari
Par Sone Ke Liye Waqt Nahi
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua
Par Rone Ko Bhi Waqt Nahi
Paiso Ki Daur Mein Aise Daure
K Thakne Ka Bhi Waqt Nahi
Paraye Ehsano Ki Kya Kadar Karein
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi
Tu Hi Bata Ae Zindagi Iss Zindagi Ka Kya Hoga
K Har Pal Marne Waalon Ko Jeene Ke Liye Waqt Nahi

Oct 10, 2015 at 12:10
Category: general
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Aagay Nahi Barha
Qissa Abhi Hijaab Se Aagay Nahin Barha
Main Aap Woh Janab Se Aagay Nahin Barha
Muddat Hui Kitaab-E-Mohabbat Shuroo Kiay
Lekin Main Pehlay Baab Se Aagay Nahin Barha
Lambee Musaafatain Hain, Magar Iss Sawaar Ka
Paaon Abhi Raqaab Se Aagay Nahin Barha
Logon Ne Sang-O-Khisht Kay Qalay Bana Liay
Apna Mehel To Khawab Say Aagay Nahin Barha
Tool-E-Kalam Kay Liay Main Ne Kiay Sawaal
Woh Mukhtasar Jawab Se Aagay Nahin Barha

Oct 01, 2015 at 13:10
Category: love
Poetry / Friendship
Muzammil Shahzad
Wafa Nahi Hoti
Dost Tu Bhut Hain Magar Wafa Nahi Hoti
Har Gire Howe Ghonghat Mai Hiya Nahi Hoti
Apni Ana Ko Har Cheez Pe Qurban Kar Dete Hain
Magar Dosti Se Piyarri Ana Nahi Hoti
Us K Har Sitam Ko Hans K Seh Lete Hain
Jo Dost Sitam De Wo Saza Nahi Hoti
Har Dard Ka Ellaj Majud Hai Is Dunia Mai
Lekin Jo Dost Zakham De Uski Dawa Nahi Hoti
Dil Or Aayene Mai Farq Sirf Itna Sa Hai
Jab Dil Toote Tu Us Ki Sada Nahi Hoti
Sanwal Heewanon Se Bhi Bud Tar Hai Wo Insaan
Jis Mai Apne Doston K Liye Wafa Nahi Hoti

Sep 23, 2015 at 11:09
Category: friendship
Poetry / General
Asma Altaf
Bhooley Say Kabhi Unki Nawaazish Nahi Hogi
Bhooley say kabhi unki nawaazish nahi hogi
Khuddaar hain hum say bhi guzaarish nahi hogi
Hum wo hain jo har derd chupa letay hain dil main
Hum say kabhi zakhmon ki numaiish nahi hogi
Iss dil main kisee aur ka gham terey alaawah
Yeh jurm hai hum say tou yeh saazish nahi hogi
Likhi hai ghazal apni tamanna k lahoo say
Kya gham hai jo sheron ki sataaiish nahi hogi
Jiss dil main faqat Aarzo_e_ yaar basey Mahh
Uss dil ko kisi aur ki Khuwahish nahi hogi

Sep 11, 2015 at 09:09
Category: general
Sponored Video