Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Haan.....kuch Nahi Milta
Kash Hum Samajh Letay,
Manzilon Ki Chahat Mein,
Rasta Badalnay Se,
Fasla Nahi Ghatta,
Do Ghari Ki Qurbat Mein,
Chaar Pal Ki Chahat Mein,
Log Log Rehtay Hain,
Qafila Nahi Banta,
Haath Mein Diya Le Kar,
Hont Pe Dua Le Kar,
Manzilon Ki Janib Ko,
Chal Bhi Dein Toh Kya Hoga?
Khuwashishon K Jungle Mein,
Itni Bheer Hoti Hai,
K,,,,,
Umer Ki Musafat Mein,
Rasta Nahi Milta,
Qafila Nahi Milta,
Shayad,,,
Kuch Nahi Milta....
Haaan,,,,
Kuch Nahi Miltaa.........!!!!
Manzilon Ki Chahat Mein,
Rasta Badalnay Se,
Fasla Nahi Ghatta,
Do Ghari Ki Qurbat Mein,
Chaar Pal Ki Chahat Mein,
Log Log Rehtay Hain,
Qafila Nahi Banta,
Haath Mein Diya Le Kar,
Hont Pe Dua Le Kar,
Manzilon Ki Janib Ko,
Chal Bhi Dein Toh Kya Hoga?
Khuwashishon K Jungle Mein,
Itni Bheer Hoti Hai,
K,,,,,
Umer Ki Musafat Mein,
Rasta Nahi Milta,
Qafila Nahi Milta,
Shayad,,,
Kuch Nahi Milta....
Haaan,,,,
Kuch Nahi Miltaa.........!!!!
·
1 Like ·
Feb 15, 2016 at 22:02
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Muhabbat Mousam Nahi
Muhabbat Mousam Nahi
Apni Muddat Pori Karey
Or Rukhsat Hojaye
Muhabbat Sawan Nahi Toot Kr Barsey
Or Tham Jaye
Muhabbat Aag Nahi, Sulgey Bhar K
Or Bujh Jaye
Muhabbat Aaftaab Nahi, Ubhrey Chamke
Or Dhal Jaye
Muhabbat Tu Chand Ki Manend Hy
Jo Barhta Hy Ghateta Hy
Nikalta Hy Chupta Hy
Magar Kabhi Fana Nahi Hota....
Apni Muddat Pori Karey
Or Rukhsat Hojaye
Muhabbat Sawan Nahi Toot Kr Barsey
Or Tham Jaye
Muhabbat Aag Nahi, Sulgey Bhar K
Or Bujh Jaye
Muhabbat Aaftaab Nahi, Ubhrey Chamke
Or Dhal Jaye
Muhabbat Tu Chand Ki Manend Hy
Jo Barhta Hy Ghateta Hy
Nikalta Hy Chupta Hy
Magar Kabhi Fana Nahi Hota....
·
1 Like ·
Feb 14, 2016 at 15:02
Category: general
Advertisement
Articles / Featured
Ijunoon
Icecream Khaiye Or Khush Rahiye Lakeen Rooz Rooz Nahi
طبی ماہرین کہتے ہیں کہ آئسکریم کھائیے اور خوش رہیے لیکن روز روز نہیں۔ ماہرین کا کہنا ہے کہ آئس کریم کی ٹھنڈک دماغ کے ایک خاص حصے پر اثرانداز ہوکر ذہنی تنائوکو کم کردیتی ہے۔ آئس کریم کے ساتھ ساتھ اگر س...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Feb 14, 2016 at 04:02
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Koi Kissi Ka Nahi Banta Is Duniyan Mein
Humne Yaad Kiya Buhat usay Bhulanay K Baad,
Woh Phir Rooth Gaya Humse Mananay K Baad,
Uskay Dil Mein Thi Adawat Mere Liye,
Main Toh KhusH Tha Usay Apnanay K Baad,
Pehle Toh Karta Tha Buhat Pyaar Ki Baatein,
Phir Rulaya Bhi Buhat Usne Mujhe Hasanay K Baad,
Muhabbat Karta Tha Woh Mujhse Waqat Guzari K Liye,
Apna Liye Kissi Aur Ko Us Ne Mujhe Thukranay K Baad,
Koi Kissi Ka Nahi Banta Is Duniyan Mein,
Darakht Bhi Gira Detay Hain Pattay Sookh Janay K Baad.......!!!!
Woh Phir Rooth Gaya Humse Mananay K Baad,
Uskay Dil Mein Thi Adawat Mere Liye,
Main Toh KhusH Tha Usay Apnanay K Baad,
Pehle Toh Karta Tha Buhat Pyaar Ki Baatein,
Phir Rulaya Bhi Buhat Usne Mujhe Hasanay K Baad,
Muhabbat Karta Tha Woh Mujhse Waqat Guzari K Liye,
Apna Liye Kissi Aur Ko Us Ne Mujhe Thukranay K Baad,
Koi Kissi Ka Nahi Banta Is Duniyan Mein,
Darakht Bhi Gira Detay Hain Pattay Sookh Janay K Baad.......!!!!
·
1 Like ·
Feb 12, 2016 at 02:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Acha Nahi Kia
Usne Mujhe Bhula Dya Acha Nahi Kia
Pyar Ka Ye Sila Dia Acha Nahi Kia
Phool Se Khushboo Juda Nahi Hoti
Phool Shaakh Se Juda Kia Acha Nahi Kia
Khizan Ko Bura Mat Kaho Naveed-E-Bahar Hy
Chaman Se Bulbul Ura Dya Acha Nahi Kia
Bijlyan Gir Rahi Thi Mere Aashiyane Per
Sitam Us Ne Rawa Kia Acha Nahi Kia
Tarasta Raha Mein Ek Ghont K Liye
Ghair Ko Saghar Pila Dia Acha Nahi Kia
Wo Chalta Mere Sath Kuch Door He Sahi
Aehd-E-Wafa Bhula Dia Acha Nahi Kia
Fiza Mein Ab Tak Uski Mehek Baqi Hy
Sham Se Pehle Chala Gaya Acha Nahi Kia
Dil Ko Samjhao ATHAR Dharka Na Kare
Dil Ko Pagal Bana Gaya Acha Nahi Kia
Pyar Ka Ye Sila Dia Acha Nahi Kia
Phool Se Khushboo Juda Nahi Hoti
Phool Shaakh Se Juda Kia Acha Nahi Kia
Khizan Ko Bura Mat Kaho Naveed-E-Bahar Hy
Chaman Se Bulbul Ura Dya Acha Nahi Kia
Bijlyan Gir Rahi Thi Mere Aashiyane Per
Sitam Us Ne Rawa Kia Acha Nahi Kia
Tarasta Raha Mein Ek Ghont K Liye
Ghair Ko Saghar Pila Dia Acha Nahi Kia
Wo Chalta Mere Sath Kuch Door He Sahi
Aehd-E-Wafa Bhula Dia Acha Nahi Kia
Fiza Mein Ab Tak Uski Mehek Baqi Hy
Sham Se Pehle Chala Gaya Acha Nahi Kia
Dil Ko Samjhao ATHAR Dharka Na Kare
Dil Ko Pagal Bana Gaya Acha Nahi Kia
·
1 Like ·
Feb 09, 2016 at 23:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Achi Nahi Nazakat E Ahsas Is Qadar
Aabadiyon Me Dasht Ka Manzar Bhi Aayega
Guzro Gay Shehr Se To Mera Ghar Bhi Aayega
Sairab Ho K Shaad Na Ho Rehrawan-E-Shauq
Rustey Me Tashnagi Ka Samandar Bhi Aayega
Achi Nahi Nazakat-E-Ahsas Is Qadar
Shisha Agar Bano Gay To Pathar Bhi Aayega
Deer-O-Haram Me Khak Uratey Chale Chalo
Tum Jiski Justajoo Me Ho Wo Ghar Bhi Aayega
Is Wastey Uthatey Hen Kanton K Naaz Ham
Ik Din To Apne Hath Gul-E-Tar Bhi Aayega
Rudad-E-Ishq Iss Liye Ab Tak Na Ki Bayan
Dil Me Jo Dard He Wo Zaban Par Bhi Aayega
Baitha Hun Kab Se Kucha-E-Qaatil Me Sar Nigun
Qaatil K Hath Me Kabhi Khanjar Bhi Aayega
Jiss Din Ka Muddaton Se Hy Naushad Intezar
Kia Janey Din Hamen Wo Mayassar Bhi Aayega
Guzro Gay Shehr Se To Mera Ghar Bhi Aayega
Sairab Ho K Shaad Na Ho Rehrawan-E-Shauq
Rustey Me Tashnagi Ka Samandar Bhi Aayega
Achi Nahi Nazakat-E-Ahsas Is Qadar
Shisha Agar Bano Gay To Pathar Bhi Aayega
Deer-O-Haram Me Khak Uratey Chale Chalo
Tum Jiski Justajoo Me Ho Wo Ghar Bhi Aayega
Is Wastey Uthatey Hen Kanton K Naaz Ham
Ik Din To Apne Hath Gul-E-Tar Bhi Aayega
Rudad-E-Ishq Iss Liye Ab Tak Na Ki Bayan
Dil Me Jo Dard He Wo Zaban Par Bhi Aayega
Baitha Hun Kab Se Kucha-E-Qaatil Me Sar Nigun
Qaatil K Hath Me Kabhi Khanjar Bhi Aayega
Jiss Din Ka Muddaton Se Hy Naushad Intezar
Kia Janey Din Hamen Wo Mayassar Bhi Aayega
·
1 Like ·
Feb 02, 2016 at 11:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Wo Jo Geet Tum Ne Suna Nahi
Jo Uter K Zeena_E_Sham Say
Teri Chashm_E_Ter Mein Sama Gaye
Wohe Jaltay Bujhtay Charagh Say
Mere Baam_O_Dar Ko Saja Gaye
Wo Ajeeb Phool Say Lafz Thay
Teray Hont Jin Say Mehak Uthay
Meray Sehn_E_Dil Mein Door Tak
Kai Baagh_E_Dil Laga Gaye
Ye Ajeeb Khail Hai Pyar Ka
Main Ne Aap Dekha Ye Mo'ajza
Wo Jo Lafz Meray Gumaan Mein Thay
Wo Teri Zubaan Pe Aa Gaye
Wo Jo Geet Tum Ne Suna Nahi
Meri Umer Bhar Ka Raiz Tha
Meray Ghum Ki Thi Wo Dastaan
Jisay Tum Hansi Mein Urra Gaye....
Teri Chashm_E_Ter Mein Sama Gaye
Wohe Jaltay Bujhtay Charagh Say
Mere Baam_O_Dar Ko Saja Gaye
Wo Ajeeb Phool Say Lafz Thay
Teray Hont Jin Say Mehak Uthay
Meray Sehn_E_Dil Mein Door Tak
Kai Baagh_E_Dil Laga Gaye
Ye Ajeeb Khail Hai Pyar Ka
Main Ne Aap Dekha Ye Mo'ajza
Wo Jo Lafz Meray Gumaan Mein Thay
Wo Teri Zubaan Pe Aa Gaye
Wo Jo Geet Tum Ne Suna Nahi
Meri Umer Bhar Ka Raiz Tha
Meray Ghum Ki Thi Wo Dastaan
Jisay Tum Hansi Mein Urra Gaye....
·
1 Like ·
Jan 28, 2016 at 23:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Wafa Ruswa Nahi Karna
Wafa Ruswa Nahi Karna Suno! Aisa Nahi Karna
Main Pehlay Hi Akela Hon Mujhe Tanha Nahi Karna
Meri In Jheel Ankhon Ko Kabhi Sehra Nahi Karna
Judai Bhi Jo Aa Jaye To Dil Chota Nahi Karna
Bohat Masrof Ho Jana Mujhy Socha Nahi Karna
Bharosa Bhi Zarori Hai Magar Sab Ka Nahi Karna
Muqadar Phir Muqadar Hai Koi Dawa Nahi Karna
Meri Takmeel Tum Se Hai Mujhe Aadha Nahi Karna
Main Pehlay Hi Akela Hon Mujhe Tanha Nahi Karna
Meri In Jheel Ankhon Ko Kabhi Sehra Nahi Karna
Judai Bhi Jo Aa Jaye To Dil Chota Nahi Karna
Bohat Masrof Ho Jana Mujhy Socha Nahi Karna
Bharosa Bhi Zarori Hai Magar Sab Ka Nahi Karna
Muqadar Phir Muqadar Hai Koi Dawa Nahi Karna
Meri Takmeel Tum Se Hai Mujhe Aadha Nahi Karna
·
1 Like ·
Dec 26, 2015 at 00:12
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Muhabbat Shairi Hurgiz Nahi Hay
Theek Kehtey Hain
Mohabbat To Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Per Woh Nassb Katba Hay
Key Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-e-Raah-e-Ulfat
Ashiq-e-Nakaam Ka Marqad
Mohabbat Aik Katba Hay
Laga Hota Hay Jo Aksar
Kabhi Layla Kay Marqad Per
Kabhi Majnoo Ki Hasrat Per
Kabhi Soni Kay Matkay Per
Kabhi Ranjhay Kay Teeron Per
Mohabbat Aik Katba Hay…
Kay Jis Per Saaf Likha Ho…
Mohabbat Maot Ki Aghoosh May Sir Rakh Kay Sona Hay
Mohabbat Dil Pay Laahaq Roag Hay
Taa Umer Rona Hay
Mohabbat Raat Bhar Ka Jagna
Aur Jaan Khona Hay
Muhabbat Arzoo-o-Hasrat-o-Arman-o-Kuwahish Ki
Kisi Maydan May Rakhee Hui Aik Aysee Mayyat Hai
Kay Jis Ko Kandha Dayney Kay Liye
Koi Nahi Aata
Mager Phir Bhi
Laboon Per Her Kisi Insan Kay Rakha Hay Ye Jumla
MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY
Koi Mujh Say Ager Kah Day
Mujhey Tum Say Mohabbat Hai
To Dar Jata Hon Main Bayhad
Yeh Dil Main Wehem Aata Hay
Kay Ye Izhar Ka Jumla
Muhabbat Ka Yah Ik Katba
Phir Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Ki
Zeenat Na Ban Jaey
Mohabbat Ka Yah Katba
Phir Naee Aafat Na Ban Jaye
Wohee Katba
Kay Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-e- Raah-e-Ulfat
Ashiq-E-Nakaam Ka Marqad
Mohabbat To Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Per Woh Nassb Katba Hay
Key Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-e-Raah-e-Ulfat
Ashiq-e-Nakaam Ka Marqad
Mohabbat Aik Katba Hay
Laga Hota Hay Jo Aksar
Kabhi Layla Kay Marqad Per
Kabhi Majnoo Ki Hasrat Per
Kabhi Soni Kay Matkay Per
Kabhi Ranjhay Kay Teeron Per
Mohabbat Aik Katba Hay…
Kay Jis Per Saaf Likha Ho…
Mohabbat Maot Ki Aghoosh May Sir Rakh Kay Sona Hay
Mohabbat Dil Pay Laahaq Roag Hay
Taa Umer Rona Hay
Mohabbat Raat Bhar Ka Jagna
Aur Jaan Khona Hay
Muhabbat Arzoo-o-Hasrat-o-Arman-o-Kuwahish Ki
Kisi Maydan May Rakhee Hui Aik Aysee Mayyat Hai
Kay Jis Ko Kandha Dayney Kay Liye
Koi Nahi Aata
Mager Phir Bhi
Laboon Per Her Kisi Insan Kay Rakha Hay Ye Jumla
MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY
Koi Mujh Say Ager Kah Day
Mujhey Tum Say Mohabbat Hai
To Dar Jata Hon Main Bayhad
Yeh Dil Main Wehem Aata Hay
Kay Ye Izhar Ka Jumla
Muhabbat Ka Yah Ik Katba
Phir Kisi Bay Deep Qabristaan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Ki
Zeenat Na Ban Jaey
Mohabbat Ka Yah Katba
Phir Naee Aafat Na Ban Jaye
Wohee Katba
Kay Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-e- Raah-e-Ulfat
Ashiq-E-Nakaam Ka Marqad
·
1 Like ·
Dec 19, 2015 at 12:12
Category: love
Sponored Video