Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Har Aik Baat Na Kiyon Zeher Si Hamari Lagey
har aik baat na kiyon zeher si hamari lagey
keh hum ko dastay zamana kay zakhm kaari lagey
udaasiyaan hon musalsal، tou dil nahi rota
kabhi kabhi ho tou yeh kefiyat bhi pyari lagey
bazahir aik he shab hai, firaq-e-yaar magar
koi guzarne baithy tou umr saari lagey
ilaj, iss dlِ dard aashna ka kya kijiye?
keh teer ban kay jise harf-e-ghum-gasari lagey
hamare paas bhi betho، bas itna chahtay hain
hamaray saath tabiyat agar tumhari lagey
faraz tairay Junoon ka khayaal hai warna
yeh kya zaroori woh surat sabhi ko pyari lagey

·
1 Like ·
Oct 10, 2016 at 23:10
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Phir Aaj Koi Ghazal Us K Naam Na Ho Jaye
Phir Aaj Koi Ghazal Us k Naam Na Ho Jaye
Aaj Kahin Likhte Likhte Sham Na Ho Jaye
Kar Rahe Hain Intezar Us k Izhar-e-Mohabbat ka
Isi Intezar Mien Kahin umar tamam Na Ho Jaye
Nahi Laite Hain Uska Naam Sar-e-Aam Is Darr Se
Kahin Naam Uska Badnaam Na Ho Jaye
Mangtay Hain Dua Jab Wo Yaad Atay Hain
K Judai Mere Pyar Ka Anjam Na Ho Jaye
Sochte Hain Aksar Darte Hain Tanhai Mien
Uske Dil Mai Kisi Aur Ka Mukam Na Ho Jaye

Oct 03, 2016 at 08:10
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Na Tujhe Chhor Saktey Hain Tere Ho Bhi Nahi Saktey
Na Tujhe Chhor Saktey Hain Tere Ho Bhi Nahi Saktey
Yeh Kaisi Bebasi Hai Aaj Hum Roo Bhi Nahi Saktey
Yeh Kaisa Dard Hai Pal Pal Hamen Tarpaye Rakhta Hai
Tumhari Yaad Aati Hai Tou Phir Soo Bhi Nahi Saktey
Chupa Saktey Hain Aur Na Dikha Saktey Hain Logun Ko
Kuch Aise Dagh Hain Dil Par Jo Hum Dho Bhi Nahi Saktey
Kaha Tou Tha Chhor Denge Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Lekin
Tumhe Paa Tou Nahi Saktey Magar Kho Bhi Nahi Sakte
Hamara Ek Hona Bhi Nahi Mumkin Raha Ab Tou
Jeeyein Kaise Kh Tum Sey Door Reh Bhi Nahi Saktey

2 Like ·
Sep 28, 2016 at 18:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Taskeen Na Ho Jis Se Woh Raaz Badal Dalo
Taskeen Na Ho Jis Se Woh Raaz Badal Dalo
Jo Raaz Na Rakh Paye Hamraaz Badal Dalo
Tum Ne Bhi Suni Ho Gi Bari Aam Kahawat Hai
Anjaam Ka Ho Khatra Aaghaz Badal Dalo
Pur Soz Dilo Ko Jo, Muskan Na De Paye
Sur Hi Na Mile Jis Se Woh Saaz Badal Dalo
Dushman Ke Irado Ko Hai Zahir Agar Karna Ho
Tum Khel Wohi Khelo Andaaz Badal Dalo
Ay Dost Karo Himmat Kuch Door Sawera Hai
Gar Chahte Ho Manzil To Parwaz Badal Dalo

Sep 25, 2016 at 20:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Rooth Jao Mugh se
Aisa Kabhi Na Karna
Main Ek Nazr Ko Tarsun
Aisa Kabhi Na Krna
Main Puch Puch Haarun
So So Sawal Kar k
Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Karna
Mugh se Hi Mil K Hasna
Mugh Hi Mil K Rona
Mujh se Bichar K Jee Lo
Aisa KABHI Na Karna
Tum CHAND Ban K Chamko
Me Dekhti Rahun Gi
KISI ROZ Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Door Jao Jab Bhi
Dekhon TUMHARA Rasta
Tum LOUT Kr Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna
Aisa Kabhi Na Karna
Main Ek Nazr Ko Tarsun
Aisa Kabhi Na Krna
Main Puch Puch Haarun
So So Sawal Kar k
Tum Kuch Jawab Na Do
Aisa Kabhi Na Karna
Mugh se Hi Mil K Hasna
Mugh Hi Mil K Rona
Mujh se Bichar K Jee Lo
Aisa KABHI Na Karna
Tum CHAND Ban K Chamko
Me Dekhti Rahun Gi
KISI ROZ Tum Na Niklo
Aisa Kabhi Na Karna
Tum Door Jao Jab Bhi
Dekhon TUMHARA Rasta
Tum LOUT Kr Na Aao
Aisa Kabhi Na Karna
·
1 Like ·
Sep 24, 2016 at 18:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jo Chaha Wo Na Mil Saka
Jo Chaha Wo Na Mil Saka
Jo Na Chaha Wo Mil Gaya
Aj Bethi Hoon Is Soch Mai
K Khuda Ko Is Se Kia Mil Gaya
Wo Jo Chala Gaya
Wo Na A Saka
Wo Jo A Gaya
Wo Na Ja Saka
Meray Husn Ka Gr Kamal Tha
Mujhay Hr Ghum Kion Mil Gaya
Daikho..!!
Phir Se Mai Sochti Hoon
K Khuda Ko Is Se Kia Mil Gea..!!
Jo Na Chaha Wo Mil Gaya
Aj Bethi Hoon Is Soch Mai
K Khuda Ko Is Se Kia Mil Gaya
Wo Jo Chala Gaya
Wo Na A Saka
Wo Jo A Gaya
Wo Na Ja Saka
Meray Husn Ka Gr Kamal Tha
Mujhay Hr Ghum Kion Mil Gaya
Daikho..!!
Phir Se Mai Sochti Hoon
K Khuda Ko Is Se Kia Mil Gea..!!
·
1 Like ·
Sep 24, 2016 at 10:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Na Yeh Chahat Hai Meri
Na Yeh Chahat Hai Meri
Na Ye Muhabat Hai Meri
Her Kisi Ko Sahara Daina
Bus Yeh Adat Hai Meri
Kash K Tum Samjho
Meray Dard Ki Shiddat Ko
Jis Roz Chand Pora Ho
Chandni Chehray Ko Chhotii Ho
Tum Bus Itna Samjh Laina
K Aj Phr Hawaon Nay
Mera Anchal Uraya Hai
Na Ye Muhabat Hai Meri
Her Kisi Ko Sahara Daina
Bus Yeh Adat Hai Meri
Kash K Tum Samjho
Meray Dard Ki Shiddat Ko
Jis Roz Chand Pora Ho
Chandni Chehray Ko Chhotii Ho
Tum Bus Itna Samjh Laina
K Aj Phr Hawaon Nay
Mera Anchal Uraya Hai
·
1 Like ·
Sep 23, 2016 at 20:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Daikho Phir Se Na Yun Kehna
Daikho Phir Se Na Yun Kehna
K Yeh Sher Acha Hai
Mujhay Acha Nahi Lagta
K Meray Dard Ki Shiddat Ko
Koi Ghazal Samjh Baithay
Suno..!
Mai Phir Se Ye Kehti Hoon
Kabhi Aisay Na Yun Kehna
K Buhat Tum Khoob Likhti Ho
Ye Tumnay Kahan Se Seekha Hai
Ye Ghazal Buhat Hi Achi Hai
Suno Ye Batain Na Phir Kehna.!!
K Yeh Sher Acha Hai
Mujhay Acha Nahi Lagta
K Meray Dard Ki Shiddat Ko
Koi Ghazal Samjh Baithay
Suno..!
Mai Phir Se Ye Kehti Hoon
Kabhi Aisay Na Yun Kehna
K Buhat Tum Khoob Likhti Ho
Ye Tumnay Kahan Se Seekha Hai
Ye Ghazal Buhat Hi Achi Hai
Suno Ye Batain Na Phir Kehna.!!
·
1 Like ·
Sep 22, 2016 at 06:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Paida Raah E Khalos May Dushwariyan Na Kar
Paida Raah-E-Khalos May Dushwariyan Na Kar...
Chahat Nahi Hai Tu Hum Se Adakariyan Na Kar...
Lafzon Se Khailnay Ki Zarurat Nahi Tujhay...
Saada Dilon K Saath Fankaariyan Na Kar...
Jin Se Nahi Lagao Unhain Mu Bhi Na Laga..
Be-wajah Har Dukaan Se Kharidariyaan Na Kar..
Tu Shakh-E-Gul Hai, Koi Amar Bail Tu Nahi....
Wabasta Har Shajar Se Wafadaariyan Na Kar...
Taza Hai Dil Peh Daagh Agar Pehli Muhabbat Ka...
Phir Dosri Shikast Ki Tayariyaan Na Kar...

Sep 19, 2016 at 14:09
Category: sad
Sponored Video