Search
Poetry / Sad
Yuun Na Mil Mujh Se Khafaa Ho Jaise
yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahein
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai Danish
ek bejurm sazaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahein
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai Danish
ek bejurm sazaa ho jaise
·
1 Like ·
Nov 09, 2016 at 11:11
Category: sad
Poetry / Sad
Paida Raah E Khulus Mein,dushwarian Na Kr,
Paida Raah-e-Khulus Mein,Dushwarian Na Kr,
Chahat Nhi To Hm Se Ada karrian Na kr,
Lafzon Se Khelne Ki Zarurt Nhi Tujhe,
Sada Dilo K Sath Ye fankarian Na kr,
Jin Se Nhi Lgao Unhai Munh Bhi Na Lga,
Be Wja Hr Dukan Se Kharedarian Na Kr,
Tu Shak-e-Gul Ha Koe Amr Bail To Nhi,
Wabasta Har Shajar Se Wafadarian Na Kr,
Taza Ha Dil Py Daagh Agar Phli Maat ka,
Phir Dosri Shikast Ki Tayyarian Na Kr!!!

Nov 07, 2016 at 19:11
Category: sad
Advertisement
Articles / Health
Ijunoon
Khamsoh Stroke Na Qabil E Talafi Nuqsan
طبی اعتبار سے خاموش عارضوں میں دل اور دماغ پر چپکے سے کسی بیماری کے اٹیک کو شامل کیا جا سکتا ہے۔ ان کو ’سائلنٹ اسٹروک‘ بھی کہا جاتا ہے۔ یہ ڈھلتی عمر کے افراد میں یادداشت کی کمزوری کا سبب بنتے ہیں۔
...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Oct 23, 2016 at 14:10
Category: health
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ujrre Hue Logon Say Gorezan Na Howa Kar
Ujrre Hue Logon Say Gorezan Na Howa Kar
Halaat Ki Qabron Kay Yeh Kutbay Bhi Parha Kar
Har Waqt Ka Hansna Tujhay Barbaad Na Karday
Tanhaaee Kay Lamhoon Mein Kabhi Ro Bhi Liya Kar
Ae Dil Tujhay Dushman Ki Bhi Pehchan Kahan Hai
Tou Halqa-E-Yaran Mein Bhi Mohtaat Raha Kar
Kya Janye Kiyon Taiz Hawa Soch Mein Gum Hai
Khwabedaa Parindon Ko Darakhton Say Ura Kar
Uss Shakhs Kay Tum Say Bhi Marasim Hain Tou Hongay
Woh Jhoot Na Bolay Ga Marey Samnay Aakar
Pehla Sa Kahan Ab Meree Raftaar Ka Aalam
Ae Gardish Dauraa Zara Tham Tham Kay Chala Kar
Ik Rooh Ki Faryaad Nay Chonka Diya Mujhkoo
Tou Ab Tou Mujahe Jisam Kay Zandan Say Raha Kar
Ab Thokrain Khaye Ga Kahan A Gham Ahbaab
Mein Nay Tou Kaha Tha Keh Marey Dil Mein Raha Qr
Iss Shab Kay Muqaddar Mein Sehar He Nahi Mohsin
Dekha Hai Kayi Baar Chraghon Ko Bhuja Qr

Oct 20, 2016 at 06:10
Category: sad
Social Wall / Photos
Sehar Saeed
Jin Lamhon Mein Aap Muskuratay Ho Woh Lamhe Kabi Khtam Na Ho
·
2 Like ·
Oct 19, 2016 at 13:10
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hujoom Mein Tha Voh Khul Kar Na Ro Saka Hoga
Hujoom Mein Tha Voh Khul Kar Na Ro Saka Hoga
Magar Yaqeen Hai Kh Shab Bhar Na So Saka Hoga
Voh Shakhs Jis Ko Samajhney Mein Mujhko Umar Lagi
Bichar K Muj Se Kisi Ka Na Ho Saka Hoga
Laraztey Haath, Shikasta Si Dor Saanson Ki
Voh Khushak Phool Kahan Tak Piro Saka Hoga ?
Boht Ujaarr Thy Pataal Uski Ankhon K
Voh Ansuon Se Na Daman Bhigo Saka Hoga
Merey Liye Voh Qabeeley Ko Chhor Kar Ata
Muje Yaqeen Hai Yeh Uss Sey Na Ho Saka Hoga

Oct 19, 2016 at 11:10
Category: sad
Social Wall / Photos
Sehar Saeed
Jin Lamhon Mein Aap Muskuratay Ho Woh Lamhe Kabi Khtam Na Ho
·
2 Like ·
Oct 19, 2016 at 03:10
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Na Ghubar Main Na Gulab Main Mujhe Dekhana
Na Ghubar Main Na Gulab Main Mujhe Dekhana
Mere Dard Ki Aab-O-Taab Main Mujhe Dekhana
Kisi Waqt Sham Malal Main Mujhe Sochna
Kabhi Apne Dil Ki Kitab Main Mujhe Dekhana
Kisi Dhun Main Tum Bhi Jo Bastiyon Ko Tyag Do
Isi Rah-E-Khanakharab Main Mujhe Dekhana
Kisi Rat Mah-O-Najoom Se Mujhe Puchhana
Kabhi Apani Chashm Purab Main Mujhe Dekhana
Isi Dil Se Ho Kar Guzar Gaye Kai Karavan
Ki Hijraton Ke Zab Main Mujhe Dekhana
Main Na Mil Sakun Bhi To Kya Hua Ke Fasana Hun
Nai Dastan Naye Bab Main Mujhe Dekhana
Mere Khar Khar Saval Main Mujhe Dhundna
Mere Geet Main Mere Khvab Main Mujhe Dekhana
Mere Ansuon Ne Bujhai Thi Meri Tashnagi
Isi Bargzida Sahab Main Mujhe Dekhanaa
Wohe Ik Lamha Deed Tha Ke Ruka Raha
Mere Roz-O-Shab Ke Hisab Main Mujhe Dekhana
Jo Tarap Tujhe Kisi Aine Main Na Mil Sake
To Phir Aine Ke Javab Main Mujhe Dekhana

Oct 17, 2016 at 13:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ab Na Woh Mai, Na Woh Tu
Abke Hum Bichre To Shayad Kabhi Khwabon Main Mile
Jaise Sokhay Hue Phool Kitabon Main Mile.
Dhoond Ujre Hue Logon Main Wafa Ke Moti
Ye Khazane Tujhe Mumkin Hain Kharabon Mai Mile.
Ghum-E-Duniya Bhi Ghum-E-Yaar Main Shamil Kerlo
Nasha Barhta Hai Sharabain Jo Sharabon Main Mile.
Na Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hai To Kyon Itne Hijaboon Main Mile.
Ab Na Woh Mai, Na Woh Tu, Na Woh Maazi Hai 'Faraaz'
Jaise Do Saaye Tamanna Ke Sarabon Mai Mile.

Oct 12, 2016 at 16:10
Category: sad
Sponored Video