Search
Poetry / Sad
Bas Yehi Mera Asaasa Hy
kuch waaday qasmain yadain theen
kuch qehqahay they faryadain theen
kuch aansu thay jo behay thay
kuch dhokay thy jo khaye thay
ab paas hamaray kuch bhe nhi
bas yadoon ki zanjerain hain
kuch rang urri taswerain hain
kuch lafz miti tehrirain hain
ek dil jo deed ka pyaasa hy
bas yehi mera asaasa hy....
kuch qehqahay they faryadain theen
kuch aansu thay jo behay thay
kuch dhokay thy jo khaye thay
ab paas hamaray kuch bhe nhi
bas yadoon ki zanjerain hain
kuch rang urri taswerain hain
kuch lafz miti tehrirain hain
ek dil jo deed ka pyaasa hy
bas yehi mera asaasa hy....
·
1 Like ·
Jun 04, 2017 at 23:06
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Chehra Mera Tha Nigaahain Uski
CHEHRA MERA THA NIGAAHAIN USKI
KHAMOSHI MEI BHI WO BAATAIN USKI
MERAY CHEHRAY PAY GHAZAL LIKHTI GAEEN
SHAIR KEHTI HUI AANKHEN USKI
SHOKH LAMHON KE PATA DENAY LAGEEN
TAIZ HOTI HUI SAANSEN USKI
AISAY MOUSAM BHI GUZARAY HUM NAY
SUBHAIN JAB APNI THEEN SHAAMEN USKI
KHUD PAY BHI KHULTI NA HO JISKI NAZAR
JAANTA KAUN ZUBANAIN USKI
NEEND ES SOCH SAY TOOTI AKSAR
KIS TARHA KATTI HAIN RAATEN USKI
DOOR REH KAR BHI SADAA REHTI HAIN
MUJH KO THAMAY HUAY BAANHAIN USKI
KHAMOSHI MEI BHI WO BAATAIN USKI
MERAY CHEHRAY PAY GHAZAL LIKHTI GAEEN
SHAIR KEHTI HUI AANKHEN USKI
SHOKH LAMHON KE PATA DENAY LAGEEN
TAIZ HOTI HUI SAANSEN USKI
AISAY MOUSAM BHI GUZARAY HUM NAY
SUBHAIN JAB APNI THEEN SHAAMEN USKI
KHUD PAY BHI KHULTI NA HO JISKI NAZAR
JAANTA KAUN ZUBANAIN USKI
NEEND ES SOCH SAY TOOTI AKSAR
KIS TARHA KATTI HAIN RAATEN USKI
DOOR REH KAR BHI SADAA REHTI HAIN
MUJH KO THAMAY HUAY BAANHAIN USKI
·
1 Like ·
Apr 30, 2017 at 05:04
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Naam Le Le Ker Na Mera Shehar Ki Nazron Mein Aa
Naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa
mujh se milna hai to mere dil ke sehraon mein aa
us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan
mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa
log tujh ko gungunayein meri khuwahish ki tarah
ik achhote shehar ki soorat meri gazal mein aa
be hunar logon ne phir maanga mere fun ka saboot
aa meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa
ghar ke darwaze pe aakar kion qadam rakhne lage
aa meri tanhayi, meri muntazir bahon mein aa

Apr 28, 2017 at 01:04
Category: love
Poetry / 0
Ijunoon
Mera Aaina Mera Aks Bhi
Mera Aaina, Mera Aks Bhi
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan
Meri Aarzu, Meri Justajoo
Meri Chashm-e-Tar
Mera Har Safar
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya
Meri Hastiyan, Meri Bastiyaan
Meri Shairy, Meri Raagni
Mere Saath Jinka Guzar Howa
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa!!
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan
Meri Aarzu, Meri Justajoo
Meri Chashm-e-Tar
Mera Har Safar
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya
Meri Hastiyan, Meri Bastiyaan
Meri Shairy, Meri Raagni
Mere Saath Jinka Guzar Howa
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa!!
·
1 Like ·
Apr 02, 2017 at 23:04
Category: 0
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Dharak Raha Hay Mera Dil Teray Tasawur Se
Dharak Raha hay Mera Dil Teray Tasawur se
k ek pal nahi Ghafil Teray Tasawur se
wagarna aur toh kuch bhi nahi hay duniya main
Sajaye baithay hain Mehfil Teray Tasawur se
har aik dard zamanay ka heech lagta hay
k ghum hoe hain woh haasil Teray Tasawur se
humari zeest main kantay thay har taraf Jana
k phool ho gaye shaamil Teray Tasawur se
Main sochta tha shab e wasl kaisi hoti hay
so hal hoyi hay yeh mushkil Teray Tasawur se
har aik lamha Tujhay baykhudi se sochtay hain
mili hay hum ko yeh manzil Teray Tasawur se
shab e firaaq k sab dard jhail letay hain
hoye hain Hum kisi Qaabil Teray Tasawur se
Sakoot e marg Mere chaar su tha chaya huwa
Main jee utha Meray Qaatil! Teray Tasawur se
yeh iss tarah mujhay apna kabhi khayaal na tha
huwa hon khud pe bhi mayel Teray Tasawur se

2 Like ·
Mar 13, 2017 at 09:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mera Dil Bahut Udaas Hai
Mera Dil Bahut Udaas Hai
Ye Raatein Be Sukoon Hai
Ye Din Be Araam Hai
Mujhe Mohabbat Ki Pyaas Hai
Mera Dil Bahut Udaas Hai
Ab Jo Tu Mujhse Bichhad Gaya
Mera Chain Bhi Mujhse Kho Gaya
Na Jane Kyon Phir Teri Aas Hai
Mera Dil Bahut Udaas Hai
Tujhe Bhulne ki Jab Koshish Kari
HaQeeQat Ko Samajhne ki Koshish Kari
Yun Laga Tu Kahin Aas Paas Hai
Mera Dil Bahut Udaas Hai
Zindagi Aise Dourahay Par Aayi Hai
Ke Sirf Main Aur Meri Tanhayi Hai
Na Jaane Ye Kaisa Ajeeb Ehsaas Hai
Mera Dil Bahut Udaas Hai
Ye Raatein Be Sukoon Hai
Ye Din Be Araam Hai
Mujhe Mohabbat Ki Pyaas Hai
Mera Dil Bahut Udaas Hai
Ab Jo Tu Mujhse Bichhad Gaya
Mera Chain Bhi Mujhse Kho Gaya
Na Jane Kyon Phir Teri Aas Hai
Mera Dil Bahut Udaas Hai
Tujhe Bhulne ki Jab Koshish Kari
HaQeeQat Ko Samajhne ki Koshish Kari
Yun Laga Tu Kahin Aas Paas Hai
Mera Dil Bahut Udaas Hai
Zindagi Aise Dourahay Par Aayi Hai
Ke Sirf Main Aur Meri Tanhayi Hai
Na Jaane Ye Kaisa Ajeeb Ehsaas Hai
Mera Dil Bahut Udaas Hai
·
1 Like ·
Mar 08, 2017 at 18:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meri Soch Musafir Mera Qalam Rahgir Hai
Meri Soch Musafir Mera QalaM Rahgir Hai
Mera Andaz-E-Bayan Mera ZoQ-E-Aagahi Ki Tafseer Hai
Khaak Hoon Manzil Bhi Meri Khak Magar Sach Hai
Duniya Kuch Nahi FaQat Mere Khwabon Ki Tafseer Hai
Main Rond Gaya Hota Kab Se Dar-E-Wahshat
Meri Wafa Magar Mere Paon Ki Zanjeer Hai
Mere Andaz-E-Bayan Se Nala youn Na Hona Ke
Mera Sach Hi Mera MujasaM Meri Tasveer Hai
Bhatakti Chahat Par Pehre Bithana Kab Aasan Hua
Ye Chahat Ye Ulfat To Zindagi Ka Safar Hai
Mere Warison Mein Wirasat Ka Zikr Hai Asfer
Kya Bataun? Chahat Poonji Chahat Hi Jagir Hai

Feb 23, 2017 at 15:02
Category: love
Poetry / Love
Ijunoon
Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki
chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki
mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki
shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki
aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shaamain us ki
dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki
faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki
nind is soch se tuti aksar
kis tarah katti hain raten us ki
door reh kar bhi sada rahti hai
mujh ko thamay hue bahain us ki
khamushi main bhi wo baten us ki
mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki
shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki
aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shaamain us ki
dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki
faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki
nind is soch se tuti aksar
kis tarah katti hain raten us ki
door reh kar bhi sada rahti hai
mujh ko thamay hue bahain us ki
·
1 Like ·
Feb 20, 2017 at 13:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mera Aaina, Mera Aks Bhi
Mera Aaina, Mera Aks Bhi,
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa,
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan,
Meri Aarzu, Meri Justajoo,
Meri Chashm-e-Tar,
Mera Har Safar,
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye,
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya,
Meri Hastiyan, Meri Bastiyan,
Meri Shairy, Meri Raagni,
Mere Saath Jinka Guzar Howa,
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa,
Meri Siskiyaan, Meri Hichkiyaan,
Meri Aarzu, Meri Justajoo,
Meri Chashm-e-Tar,
Mera Har Safar,
Meri Soch Kay Sabhi Zaviye,
Woh Diya Jo Usnay Bhujha Diya,
Meri Hastiyan, Meri Bastiyan,
Meri Shairy, Meri Raagni,
Mere Saath Jinka Guzar Howa,
Mere Meharbaan Ki Nazar Howa
·
2 Like ·
Feb 07, 2017 at 16:02
Category: love
Sponored Video