Search
Jokes / Miscellaneous
Ijunoon
Aesi Zindigi Ka Karna Bhi Kya Hai..
Teacher: Bachon wada kro kabhi sharab,
cigrette nahi piyo ge
Bachey: Nahi piyenge
Teacher: Girls ka peecha nahi karoge
Bachey: Nahi karenge
Teacher: Unn par awaaze nai kaso ge
Bachey: nahi kasenge
Teacher: Watan par zindigi qurbaan karo ge
Bachey: Kardenge, Aesi zindigi ka karna bhi kya hai..

·
1 Like ·
Dec 03, 2017 at 17:12
Category: miscellaneous
Poetry / 24
Nasir Kya Kahta Phirta Hai Kuch Na Suno To Behtar Hai
Nasir kya kahta phirta hai kuch na suno to behtar hai
diwana hai diwane k muh na lago to behtar hai
kal jo tha wo aj nahi jo aj hai kal mit jayega
rokhi sokhi jo mil jaye shukr karo to behtar hai
kal ye taab o tawan na rahegi thanda ho jayega lahu
naam-e-Khuda ho jawan abhi kuch kar guzro to behtar hai
kya jane kya rut badle halat k koi thik nahi
ab k safar main tum bhi hamare sath chalo to behtar hai
kapre badal kar baal bana kar kahan chale ho kis k liye
raat bahut kali hai Nasir ghar main raho to behtar hai....!

Nov 18, 2017 at 05:11
Category: 24
Advertisement
Poetry / General
Maine Kaha Mere Lye Bhi Dua Kya Kro
Maine kaha mere lye Bhi dua kya kro
Us ne kaha es ki na fikar kya kro
Me ne kaha mere zehan pe rehta hai bojh sa
Us ne kaha chuup k kahin ro lya kro
Maine kaha teray khwab jaga dete hen
Us ne kaha raaton ko socha na kro
Me ne kaha raaton ko neend nhi aati
Us ne kaha sone ki koshish to kya kro
Me ne kaha dil me teri yaaden hen
Usne kaha k dil ko samjhaya kro
Me ne kaha teray milne ki umeed hai kya?
Usne kaha qismat pe bharosa kya kro...!

Nov 11, 2017 at 03:11
Category: general
Poetry / Sad
Kya Bohat Zaroori Tha
Khuwab posh aankhon mein,
Aansuon ka bhar jana,
Hasraton k sahil pr,
Titlion ka mar jana,
Habs ki hawaon men,
Khushbuon ka darr jana,
Dil k garm sehra men,
Hashar he barpa hona,
Dard la dwa hona,
Kya bohat zaroori tha,
Ab tera judaa hona...?
Aansuon ka bhar jana,
Hasraton k sahil pr,
Titlion ka mar jana,
Habs ki hawaon men,
Khushbuon ka darr jana,
Dil k garm sehra men,
Hashar he barpa hona,
Dard la dwa hona,
Kya bohat zaroori tha,
Ab tera judaa hona...?
·
1 Like ·
Oct 27, 2017 at 01:10
Category: sad
Poetry / 24
Tooti Hai Meri Neend Mgar Tum Ko Es Sy Kya
Tooti hai meri Neend Mgar tum ko es sy kya
Bajtay rahe hawaoon say dar tum ko es sy kya
Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomtay raho
Kat jaen meri soch k par, tum ko es sy kya
Oron ka hath thamo, unhen rasta dikhao
Mein bhool jaoon apna hi ghar, tum ko es sy kya
Lay jaein Mujhay Mal-e-Ganeemat k sath
Tum nay to daal di hai sipar, tum ko es sy kya
Tum nay to thak k dasht mein khaimay laga liyee
tanha kattay kisi ka safar,tum ko es sy kya...!

Oct 19, 2017 at 09:10
Category: 24
Poetry / Sad
Tum Say Bichar Kar Kya Huun Main
Tum say bichar kar kya huun main
Ek adhoori nazam ka misra !!
Ya koi beemar parinda !!
kita men ek zinda titli !!
Ya ek murda peela patta !!
Aankh hoon koi khowab zada si !!
Ya aankhon mai toota sapna !
Palkon ki deewar k peechay !
Pagal qaidi....ya ek aansu !
Dhoop men lipta lamba sehraa !
Tooti hui chorri ka tukra !
Ya koi bhoola hoa waada !
Tum hi batao
Tum say bichar kar aya huun main
Ek purani qabar ka katba
ya
Ek matrook dua...!
Ek adhoori nazam ka misra !!
Ya koi beemar parinda !!
kita men ek zinda titli !!
Ya ek murda peela patta !!
Aankh hoon koi khowab zada si !!
Ya aankhon mai toota sapna !
Palkon ki deewar k peechay !
Pagal qaidi....ya ek aansu !
Dhoop men lipta lamba sehraa !
Tooti hui chorri ka tukra !
Ya koi bhoola hoa waada !
Tum hi batao
Tum say bichar kar aya huun main
Ek purani qabar ka katba
ya
Ek matrook dua...!
·
2 Like ·
Oct 18, 2017 at 01:10
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Kya Passport Maazi Ka Hissa Ban Jayega?
لگتا ہے کہ بہت جلد لوگوں کو بیرون ملک سفر کے لیے پاسپورٹ کی ضرورت نہیں ہوگی بلکہ یہ کام چہرہ شناخت کرنے والی ٹیکنالوجی کرے گی، کم ازکم دبئی کی حد تک تو ایسا بہت جلد ہونے والا ہے۔
دبئی انٹرنیشنل ائی...
مزید پڑھیں
·
0 Like ·
Oct 12, 2017 at 08:10
Category: featured
Poetry / Sad
Hai Aur Kya Jisay Dekhien Teray Jamaal Key Bad
hai aur kya jisay dekhien teray jamaal key bad
tamam umr katti intezar mein apnii
koii bhi dukh na milla phir teray malal key bad
jawaab mil gya mujhey teri khamoshi sey
tumharey lafz kyoun khoye meray sawaal key bad
tumharey meray taaluq pey youn khizaan chaye
kabhi urooj nahi hai jisay zawaal key bad
main teri yaad key chehray ko dhaanp doon lekin
bachay ga kya meri jholi mein es kamaal key bad
wo ab kii baar milla es qadar takaluf sey
k kuch bhii na pooch paya main us sey haal key bad...!

Sep 02, 2017 at 14:09
Category: sad
Poetry / Sad
Aey Naye Saal Bata Tujh Main Naya Kya Hai
Aey Naye Saal Bata Tujh Main Naya Kya Hai
Har Taraf Khalq Ne Kyun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ko Wohi Taaron Bhar Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar Ati Hai Har Baat Wo Hi
Aasmaan Badla Hai Na Afsos Badli Hai Zameen
Eik Hindsay Ka Badalna Koi Jiddat To Nahi
Agley Barson Ki Tarah Hongey Qarennay Terey
Kisey Maloom Nahi Baraan Mahenay Terey
January,Feburary,Aur March Main Parray gi Sardi
Aur April,May,June Me Hogi Garmi
Tu Naya Hai To Dikha Subha Nayee,Shaam Nayi
Warna In Ankhon Ney Dekhey Hain Saal Kayee!!
Aur Bhi Besabab Detey Hain kyu Log Mubarakbadain!!
Galiban Bhool Gaye Waqt Ki karvi Yaadein!
Teri Aamad Sey Ghatti Umer Jahan Main Sab Ki!!
Faiz Ney Likhi Hey Ye Nazam Niralay Dhang Ki...!

Sep 02, 2017 at 08:09
Category: sad
Sponored Video