Search
Poetry / 0
YUNHI KYA KAL BHI MERE GHAR ME ANDHERA HOGA
RAAT K BAAD SUNA HAI K SAWERA HOGA
MAI TO LUT JAONGA LEKIN MERE LUT JAANE K BAAD
KHUD HI LUT JAANE KO BETAAB LUTERA HOGA
SHAMA EK MUAM K PEAKAR K SIWA KUCH BHI NAHI
AAG JUB TAN ME LAGTI HAI TU JAAN AATI HAI
HUM SAMNDAR KI TARAH ZARF E WASEE RAKHTE HAIN
DIL ME TUFAAN HU CHEHRE PE SUKOON RAKHTE HAIN
BAITHE HUYE DETE HAIN WO DAMAN SE HAWAAYEEN
ALLAH KARE HUM NA KABHI HOSH ME AAYEEN
SAB K HONTO PE TABSSUM THA MERE QATAL K BAAD
JANE KYA SOCH KAR ROTA RAHA QATIL TANHA
TALKHI E GHAM NA CHALAK JAAYE KAHIN AANKHON SE
MUSKURATA HUN YAHI RAAZ CHUPANE K LIYE
YE KYA HUA TERI DUNIYA KO AYE KHUDA E KAREEM
K ZINDA LOG TARSTAY HAIN ZINDAGI K LIYE
RAHA YUNHI NAMUKAMAL MERE ISHQ KA FASANA
KABHI MUJH KO NEEND AAYIE KABHI SO GAYA ZAMANA
ZAMANA BADE SHAOQ SE SUN RAHA THA
HUME SO GAYE DASTAN KAHTE KAHTE
SHAMA NE JAN LI IS WAHAM ME PARWANE KI
SUBAH KO AAM NA HU JAAYE KAHI RAAT KI BAAT
HADSOO KA KYA HAI YE TO ZINDAGI KA SAATH HAIN
EK SE BACH KER CHALOGE TO DUSRA MIL JAYEEGA
DAMAN KO HAATH ME LIYE KAHTA THA YE QATIL
KAB TAK ISE DHOTA RAHON LALI NAHI JAATI
DIL NE EK CHEEZ BE BAHA MAANGI HAI
HUSN E MAGROOR KI FITRAT SE WAFA MANGI HAI
Yunhi Kya Kal Bhi Mere Ghar Me Andhera Hoga
YUNHI KYA KAL BHI MERE GHAR ME ANDHERA HOGA
RAAT K BAAD SUNA HAI K SAWERA HOGA
MAI TO LUT JAONGA LEKIN MERE LUT JAANE K BAAD
KHUD HI LUT JAANE KO BETAAB LUTERA HOGA
SHAMA EK MUAM K PEAKAR K SIWA KUCH BHI NAHI
AAG JUB TAN ME LAGTI HAI TU JAAN AATI HAI
HUM SAMNDAR KI TARAH ZARF E WASEE RAKHTE HAIN
DIL ME TUFAAN HU CHEHRE PE SUKOON RAKHTE HAIN
BAITHE HUYE DETE HAIN WO DAMAN SE HAWAAYEEN
ALLAH KARE HUM NA KABHI HOSH ME AAYEEN
SAB K HONTO PE TABSSUM THA MERE QATAL K BAAD
JANE KYA SOCH KAR ROTA RAHA QATIL TANHA
TALKHI E GHAM NA CHALAK JAAYE KAHIN AANKHON SE
MUSKURATA HUN YAHI RAAZ CHUPANE K LIYE
YE KYA HUA TERI DUNIYA KO AYE KHUDA E KAREEM
K ZINDA LOG TARSTAY HAIN ZINDAGI K LIYE
RAHA YUNHI NAMUKAMAL MERE ISHQ KA FASANA
KABHI MUJH KO NEEND AAYIE KABHI SO GAYA ZAMANA
ZAMANA BADE SHAOQ SE SUN RAHA THA
HUME SO GAYE DASTAN KAHTE KAHTE
SHAMA NE JAN LI IS WAHAM ME PARWANE KI
SUBAH KO AAM NA HU JAAYE KAHI RAAT KI BAAT
HADSOO KA KYA HAI YE TO ZINDAGI KA SAATH HAIN
EK SE BACH KER CHALOGE TO DUSRA MIL JAYEEGA
DAMAN KO HAATH ME LIYE KAHTA THA YE QATIL
KAB TAK ISE DHOTA RAHON LALI NAHI JAATI
DIL NE EK CHEEZ BE BAHA MAANGI HAI
HUSN E MAGROOR KI FITRAT SE WAFA MANGI HAI
·
1 Like ·
May 10, 2015 at 00:05
Category: 0
Poetry / 0
Ebrahim Ali Ali
Kya Kya Na Karenge
Duniya mein tere ishq ka charcha na karenge,
Mar jayenge lekin tujhe ruswa na karenge.
Qurban karenge kabhi dil, jaan kabhi sadqe,
Tum apna bana logi to kya kya na karenge.
Gustakh nigaahon se agar tumko gila hai,
Hum door se bhi ab tumhe dekha na karenge.
Mar jayenge lekin tujhe ruswa na karenge.
Qurban karenge kabhi dil, jaan kabhi sadqe,
Tum apna bana logi to kya kya na karenge.
Gustakh nigaahon se agar tumko gila hai,
Hum door se bhi ab tumhe dekha na karenge.
·
1 Like ·
Mar 20, 2015 at 07:03
Category: 0
Advertisement
Poetry / 0
Naila Ahmed
Kya Farq Parta Hai
Hawa ban kar bikharney se
Usey kya farq parta hai
Mere jeeney ya marney se
Usey kya farq parta hai
Usey to apni khushiyon se
Zara bhi fursat nahi milti
Mere gham ke ubharney se
Usey kya farq parta hai
us shaks ki yaadon mein
chahe rotey raho lekin
Tumhare aisa karney se
Usey kya farq parta hai......
Usey kya farq parta hai
Mere jeeney ya marney se
Usey kya farq parta hai
Usey to apni khushiyon se
Zara bhi fursat nahi milti
Mere gham ke ubharney se
Usey kya farq parta hai
us shaks ki yaadon mein
chahe rotey raho lekin
Tumhare aisa karney se
Usey kya farq parta hai......
·
1 Like ·
Mar 16, 2015 at 23:03
Category: 0
Poetry / Relegious
Muzammil Shahzad
Zulmat Me Kya Ujala
zulmat mein kya ujala app nay
toheed ka kya bol baala app nay
jhote khudaon ki pujari thi duniya
deloon say booton ko nikala app nay
jo bhatkay thay siraat mustaqim say
unhain seedhi raah peh dala app nay
yatimon o miskeeno ka koi tha nahi
aisay ghareebon ko sanbhala app nay
har janib andhera tha jahaalat ka
islam mein sab ko dhala app nay
toheed ka kya bol baala app nay
jhote khudaon ki pujari thi duniya
deloon say booton ko nikala app nay
jo bhatkay thay siraat mustaqim say
unhain seedhi raah peh dala app nay
yatimon o miskeeno ka koi tha nahi
aisay ghareebon ko sanbhala app nay
har janib andhera tha jahaalat ka
islam mein sab ko dhala app nay
·
2 Like ·
Feb 02, 2015 at 16:02
Category: relegious
Sms / Dard
Abid Abi
Aakar Tu Dekh Ja Kya Mera Haal Hai
Aakar tu dekh ja kya mera haal hai
Saans chal rahi hai jeena mahaal hai.
Mere dil mein sirf tera hi khyal hai
Teri ek nazar ki baat hai meri zindgi ka sawal hai.
Saans chal rahi hai jeena mahaal hai.
Mere dil mein sirf tera hi khyal hai
Teri ek nazar ki baat hai meri zindgi ka sawal hai.
·
4 Like ·
Jan 08, 2015 at 19:01
Category: dard
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kya Aah Bhare Koi
Kya aah bharay koi
Jab aah nahin jati
Dil main bhi zara gehri
Aur arsh se kuch oonchi
Kya nazm likhay koi
Jab khawab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkol gadaei ka
Shaair ko diya jaye
Aur rook liya jaye
Jab shaer utarnay say
Baadal say zara oopar
Taaron say zara neechay
Kya khaak likhay koi
Jab khaak ke medaan par
Ungli ko hilanay se
Toofan nahin uthta
Jab shaakh peh imkan ki
Is dasht_e_tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Jab dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik dour ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata
Basti mein koi aurat
Raaton ko nahin soti
Jaagi huwi aurat ki
Soi hui qismat par
Jab koi bhi deewana
Bey chain nahin hota
Dehleez ke pathar se
Takra ke jabeen apni
Ik shakhas nahin rota
Jab neend ke shedaei
Khawabon ko tarastay hain
Aur dekhnay ke aadi
Binaei se dartay hain
Reh Reh ke andheray sayy
Aankhon mein utartay hain
In phool se bachoon say
Keh do keh na ab nangay
Paaon se chalein ghar mein
Is farsh peh mitti ke
Ab ghaas nahin ugti
Ab Saanp nikaltay hain
Deewar se aur darr se
Ab noor ki boondon se
Mehki hui mitti mein
Anmol ujalay ke
Woh phool nahin khiltay
Ab jheel kanaray par
Bichhray bhi nahin miltay
Rahbar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Ab noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti
Basti mein koi aurat
Raton ko nahin soti
Aur jagnay walon say
Ab nazm nahin hoti
Kya nazm likhay koi
Jab jagnay, sonay mein
Paa lenay mein, khonay mein
Jab baat ke honay mein
Aur baat na honay mein
Kuch farq na reh jaey
Kya baat karay koi !
Jab aah nahin jati
Dil main bhi zara gehri
Aur arsh se kuch oonchi
Kya nazm likhay koi
Jab khawab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkol gadaei ka
Shaair ko diya jaye
Aur rook liya jaye
Jab shaer utarnay say
Baadal say zara oopar
Taaron say zara neechay
Kya khaak likhay koi
Jab khaak ke medaan par
Ungli ko hilanay se
Toofan nahin uthta
Jab shaakh peh imkan ki
Is dasht_e_tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Jab dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik dour ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata
Basti mein koi aurat
Raaton ko nahin soti
Jaagi huwi aurat ki
Soi hui qismat par
Jab koi bhi deewana
Bey chain nahin hota
Dehleez ke pathar se
Takra ke jabeen apni
Ik shakhas nahin rota
Jab neend ke shedaei
Khawabon ko tarastay hain
Aur dekhnay ke aadi
Binaei se dartay hain
Reh Reh ke andheray sayy
Aankhon mein utartay hain
In phool se bachoon say
Keh do keh na ab nangay
Paaon se chalein ghar mein
Is farsh peh mitti ke
Ab ghaas nahin ugti
Ab Saanp nikaltay hain
Deewar se aur darr se
Ab noor ki boondon se
Mehki hui mitti mein
Anmol ujalay ke
Woh phool nahin khiltay
Ab jheel kanaray par
Bichhray bhi nahin miltay
Rahbar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Ab noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti
Basti mein koi aurat
Raton ko nahin soti
Aur jagnay walon say
Ab nazm nahin hoti
Kya nazm likhay koi
Jab jagnay, sonay mein
Paa lenay mein, khonay mein
Jab baat ke honay mein
Aur baat na honay mein
Kuch farq na reh jaey
Kya baat karay koi !
·
1 Like ·
Jan 02, 2015 at 00:01
Category: sad
Poetry / Poetry Sms
Yasir Khan
Tumse Kya Kahoon Jana
Zindagi k railay main
khushion k melay main
tumse kya kahoon jana
isqadr jhamailay main
waqt ki rawani hai
bakht ki nigrani hai
tum ko jo sunani hai
baat jo zara si hai
rastey main kehtey ho
baat takhliey ki hai
takhliey ki baton main guftgu izafi hai
pyar karnay walon ko ik nigah kafi hai
ho sakay tou sun jana aik din akelay main
tum se kya kahoon jana isqadr jhamelay main
khushion k melay main
tumse kya kahoon jana
isqadr jhamailay main
waqt ki rawani hai
bakht ki nigrani hai
tum ko jo sunani hai
baat jo zara si hai
rastey main kehtey ho
baat takhliey ki hai
takhliey ki baton main guftgu izafi hai
pyar karnay walon ko ik nigah kafi hai
ho sakay tou sun jana aik din akelay main
tum se kya kahoon jana isqadr jhamelay main
·
1 Like ·
Dec 29, 2014 at 07:12
Category: poetry-sms
Poetry / Poetry Sms
Yasir Khan
Or Kya Dete
tumhe bakhshi hay dil pe hukmrani or kya dete
yehi thi sirf apni rajdhani or kya dete
sitaron se kisi ki maang bhrna ik fasana hay
tumharay naam likh di zindgani or kya dete
bichartay waqt tumhe koi ik na ik tohfa tou dena tha
humary pass tha aankhon main paani or kya dete
yehi thi sirf apni rajdhani or kya dete
sitaron se kisi ki maang bhrna ik fasana hay
tumharay naam likh di zindgani or kya dete
bichartay waqt tumhe koi ik na ik tohfa tou dena tha
humary pass tha aankhon main paani or kya dete
·
1 Like ·
Dec 28, 2014 at 12:12
Category: poetry-sms
Poetry / Love
Ijunoon
Bhool Jau Kay Apnay Maazi Mein Rakha Kya Hai
bhool jau ke apnay maazi mein rakha kya hai
yahi na !
dou chaar mulakaatein
adhooray shikway
adhuri baatein
aur udaas shamen
chand toty hui
phone ki bay rabt callen
aur kya hai apnay maazi mein
bhool jaau . . .
yahi na !
dou chaar mulakaatein
adhooray shikway
adhuri baatein
aur udaas shamen
chand toty hui
phone ki bay rabt callen
aur kya hai apnay maazi mein
bhool jaau . . .
·
1 Like ·
Dec 25, 2014 at 13:12
Category: love
Sponored Video