Search
Poetry / Sad
Dil Mein Hum Aik Hi Jazbe Ko Samoyen Kese
Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoye kese,
Zehen chhalni jo kiya hai, To yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,
Hum ne maana ke bohat dair hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,
Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rotay,
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne roye kese...!

·
1 Like ·
Oct 31, 2017 at 04:10
Category: sad
Poetry / Love
Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko
Apni Haseen Ankhon Me Chupa Lo Mjh Ko
Mohabat Agr Krty Ho To Chura Lo Mujh Ko
Khony Ka Agr Khoaf Hy To
Dil Ki Hr Dharkan Me Basa Lo Mjh Ko
Dhoop Ho Ya Sehra Ho Tairay Sath Chalain Gy
Yaqeen Na Aaye To Aazma Lo MjhKo
Tere Dukh Ko Seh Lain Gy Hans Kr
Apny Badan Ki Chadar Bna LO Mjh Ko
Sahil Se Pehle Choar To Na Do Gy
Abhi Aghaaz-e-Safar Me Bta Do Mjh Ko
Zindgi Bhi Tere Naam Kr Dain Gy
Apny Baazo Mein Chupa Lo Mjh Ko...!

Oct 26, 2017 at 19:10
Category: love
Advertisement
Poetry / General
Seeny Se Laga K Kaha Kerti Thi Maa Mujh Ko
Seeny se laga k kaha kerti thi maa mujh ko
to laal hai na sata mujh ko
pachtaye ga ik din jab main chali jaun gi
na chahty hue bhi akela choar jaun gi
zamana dikhaye ga garmi ki shiddat tujh ko
yaad kerke roye ga tu phir mujh ko
mudat se meri maa ne seeny se nahin lagaya
ab so gayi khaak main jab kuch kehny ka waqt aya...!

Oct 26, 2017 at 00:10
Category: general
Poetry / Sad
Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne
Jab Kisi Jaam Ko Honton Se Lagaya Mein Ne
Raqs Karta Howa Dekha Tera Saaya Mein Ne
Mujh se Mut Pooch Mere Mohtasib-e-sheher Se Pooch
Kiyoon Teri Aankh Po Paimaana Banaaya Mein Ne ?
Loog Kehte Hein Qasida Woh Tere Husn Ka Tha
Aam Sa Geet Jo Mehfil Mein Sunaya Mein Ne
Maikada Band Tha Laikin Joon Hee Garja Baadal
Apni Tauba Ko Chatakhta Howa Paya Mein Ne
Shair o Naghmaat Ka Rishta Kabhi Toota Na Qateel
Jab Ghazal Bun Ke Woh Aaya Usay Gaaya Mein Ne...!

Oct 25, 2017 at 05:10
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Zameen Ko Mumkina Shamsi Tufan Ka Khatra
خبر رساں ادارے روئٹرز کے مطابق اگلے دو سالوں کے دوران اس بات کے امکانات موجود ہیں کہ کوئی شمسی طوفان دنیا بھر کے سیٹلائٹس، پاور گرڈز اور مواصلاتی نظاموں کو متاثر کرے یا پھر ناکارہ بنا دے۔
سورج ہر ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Oct 23, 2017 at 21:10
Category: featured
Poetry / 24
Tooti Hai Meri Neend Mgar Tum Ko Es Sy Kya
Tooti hai meri Neend Mgar tum ko es sy kya
Bajtay rahe hawaoon say dar tum ko es sy kya
Tum moj moj Misl-e-Saba Ghoomtay raho
Kat jaen meri soch k par, tum ko es sy kya
Oron ka hath thamo, unhen rasta dikhao
Mein bhool jaoon apna hi ghar, tum ko es sy kya
Lay jaein Mujhay Mal-e-Ganeemat k sath
Tum nay to daal di hai sipar, tum ko es sy kya
Tum nay to thak k dasht mein khaimay laga liyee
tanha kattay kisi ka safar,tum ko es sy kya...!

Oct 19, 2017 at 09:10
Category: 24
Poetry / Occassional Events
Aaj Apni Muhabat Ko Naya Morr Diya Us Ne
Aaj apni Muhabat ko naya morr diya us ne,
Mere liye baalon ko khula chorr diya us ne!
Pehle hansta tha main muh khol k,
Ab to Aage wala hi dant torr diya us ne!
Us ne sargoshi ka kaha main betaab ho gaya,
Kaan paas kiya to maror diya us ne!
Sardiyan aaeen to laya maaltay mehboob k liye,
Malta kha k chilka ankhon main nichor diya us ne!
Bewafai ki had b dikha di ik din us zalim ne,
Milne ghar gaya to pechay kutta chor diya usny...!

Oct 17, 2017 at 12:10
Category: occassional-events
Poetry / Love
Main Uske Chehre Ko Dil Se Utaar Deti Hoon
Main uske chehre ko dil se utaar deti hoon,
Main kabhi kabhi to khud ko bhi maar deti hoon,
Ye mera haq hai ke main usko thora dukh bhi doon,
Main chahat bhi to us ko beshumar deti hoon.
Khafaa woh reh nahin sakta lamha bhar bhi,
Mein bohat pehle hi us ko pukaar leti hoon.
Mujhe siwa uske koi bhi kaam nahin soajhta,
Woh jo bhi karta hai, mein sab hisaab leti hoon.
Woh sabhi naaz uthaata hai mein jo bhi kehti hoon,
Woh jo bhi kehta hai, Mein chupke se maan leti hoon...!

Oct 16, 2017 at 15:10
Category: love
Poetry / Sad
Jis Ko Lene Taajiron Ka Dasta Nikla
Jis ko lene taajiron ka dasta nikla
Bikne aaya to tawaqo se bhi sasta nikla
Apne seene mein chupaye huye teri yadein
Ham pe har shakhs aawazein kasta nikla
Ham ne har baat bohat soch samajh kar ki hai
Bas ik lafz-e-mohabbat tha jo barjasta nikla
Wo jis ne paaon tale kitne dil masal daale
Kal wohi shakhs mohabbat ko tarasta nikla
Teri muskaan se mansoob rahi rahat meri
Mera har gham tere gham se paiwasta nikla...!

2 Like ·
Oct 15, 2017 at 04:10
Category: sad
Sponored Video