Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meray Muqablay Mein Dil Kisi Pe Haar K Daikh
Meray Muqablay mein dil kisi pe haar k daikh
Baghair meray zaraa Zindagi guzaar k daikh
Tujhay nahin hai meri shidatoon ka andaaza
Kisi bhi simt se mujh ko kabhi pukaar k daikh
Tu aa k mera sabhi kuchh he chheen k le ja
Mohabbaton ka mera Qarz yun utaar k daikh
Boht hi pyaar se daikhay ga Aina tujhko
Kisi k wastay khud ko kabhi sanwaar k daikh
Bisaat-e-Dil pe ajab hai Shikast-e-Zaat ka Lutf
Jahan pe JEET attal ho, wo CHAAL HAAR k daik

·
1 Like ·
Feb 19, 2017 at 16:02
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kabhi Yun Jo Ho Kisi Din Agar
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sre-e-raah miley
Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon
Yeh jo gardisheain hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain
Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon
Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon
Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon
Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon
Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey hum safar tu jo na miley
Kabhi tu mujhey sre-e-raah miley
Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon
Yeh jo gardisheain hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain
Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon
Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon
Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon
Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon
Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey hum safar tu jo na miley
·
1 Like ·
Feb 19, 2017 at 09:02
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Boseeda Purane Kisi Samaan Main Rakh De
Boseeda purane kisi samaan main rakh de
Ya phir kisi toote hoye guldaan main rakh de
Chahat k chiraaghon ko to jalna hai jalenge
To in ko uthha ker bhale toofaan main rakh de
Qadmon main taray maslay hoye phool nahi hain
Chahat ki chita hai kisi shamshaan main rakh de
Saansen na chuka paai hain qayamat jo wafa ki
Ab jism ki mitti ko bhi tawwan main rakh de
Mohsin tere jazbaat yahan kon sune ga
Be rabt khayalaat ko deewan main rakh de

Jan 10, 2017 at 14:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kisi Ko Yu Toot K Chahen Ge Socha Na Tha
kisi ko yu toot k chahen ge socha na tha,
apne bhi gulshan mein faqat yaadon k gul reh jayengen socha na tha,
maana wafa ka wafa se milan hy kathin bahut,
koi humse bhi yun ruth jayega socha na tha,
jaante hain rah-e-ishq ki manzil hy door bahut,
pr beech raah mein tum saath choar jaoge socha na tha,
muhabbat mein milti ruswayi hy amooman jaante hain sbhi,
koi humko bhi yun bhool jayega socha na tha,
apna hi dil khud hi ko lgne laga hy paraya,
kisi k ishq mein yu fana ho jayenge socha na tha,
faqt dil hi toh tha paas apne apna kehne k liye
woh bhi yu kisi ka ho jayega socha na tha,
kisi ki chah mein yun sb bhula bethenge hum
koi humko humse bhi zyada aziz ho jayega socha na tha,
hamari hi bhool thi jo humne usay chaha, usay apna mana,
itni si khatta pe BADNAAMI KA TAAJ sir sajega socha na tha

Jan 09, 2017 at 20:01
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dard Kia Hota Hai Batayein Gay Kisi Roz
Dard kia hota hai batayein Gay kisi roz
Kamal ki Ghazal tum ko sunayein Gay kisi roz
Thi un ki zid k main jaun un ko manane
Mujh ko ye veham tha wo bulayein Gay kisi roz
kabi bhi maine to socha b nahi tha
Wo itna mere dil ko dukhaay Gay kisi roz
Har roz Sheshay se yehi poochta hoon main
Kia rukh pe tabassum sajayein Gay kisi roz
Urney do in parindon ko azaad fizaon mein
Tumhare hon agar to lout AAyein Gay kisi roz
Apne sitam ka dekh lena khud hi Saqi tum
Zakhum-e-jigar tamaam log dekhein Gay kisi roz

Dec 31, 2016 at 03:12
Category: sad
Social Wall / Photos
Abdul Karim Khan
Aik Baar Kisi Ne Kaha K Bachpan Aik Baar Milta Hai.
·
1 Like ·
Dec 06, 2016 at 11:12
Category: photos
Social Wall / Photos
Haseeb Naqbi
hon sakta he ke aap ki wajah se kisi mareez ko tandrosti miljai.
·
0 Like ·
Nov 30, 2016 at 06:11
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai
Sub Jhutay Rishtey Naate Hai
Sub Dil Rakhney Ki Batein Hai
Sub Asal Roop Chupatey Hai
Mohabbat Ke Khali Log Yaha
Lafzo Ke Teer Chalate Hai
Ek Baar Nigahon Mai Agar
Phir Sari Zindagi Rulate Hai
Woh Jis Ne Diya Hai Asshk Humey
Ab Woh Hi Hum Ko Bhool Jatey Hai
Sub Jhutay Rishtey Naate Hai
Sub Dil Rakhney Ki Batein Hai
Sub Asal Roop Chupatey Hai
Mohabbat Ke Khali Log Yaha
Lafzo Ke Teer Chalate Hai
Ek Baar Nigahon Mai Agar
Phir Sari Zindagi Rulate Hai
Woh Jis Ne Diya Hai Asshk Humey
Ab Woh Hi Hum Ko Bhool Jatey Hai
·
1 Like ·
Sep 26, 2016 at 13:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kisi Ki Hum Dua Hone Lage Hain
Kisi Ki Hum Dua Hone Lage Hain
Buhat Ashufta Paa Hone Lage Hain
Khuda K Naam Lewaaon Ko Dekho
Zameen Peh Khud Khuda Hone Lage Hain
Wo Mujh Se Is Tarah Milta Hai Jaise
Umer Bher Ko Juda Hone Lage Hain
Ho Mere Sheher Ka Allah Nigehban
Muhafiz Raah-zan Hone Lage Hain
Ajab Hai KASH Shehre Dil Ka Alam
K Hum Khud Se Khafa Hone Lage Hain,
Buhat Ashufta Paa Hone Lage Hain
Khuda K Naam Lewaaon Ko Dekho
Zameen Peh Khud Khuda Hone Lage Hain
Wo Mujh Se Is Tarah Milta Hai Jaise
Umer Bher Ko Juda Hone Lage Hain
Ho Mere Sheher Ka Allah Nigehban
Muhafiz Raah-zan Hone Lage Hain
Ajab Hai KASH Shehre Dil Ka Alam
K Hum Khud Se Khafa Hone Lage Hain,
·
2 Like ·
Sep 16, 2016 at 20:09
Category: sad
Sponored Video