Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kisi Dard Ka Ehsas Likh Raha Hon Mai
Kisi Dard Ka Aihsas Likh Raha Hon Mai
Goya Pani Ki Piyas Likh Raha Hon Mai
Chalta Mai Raha Door Talak Tanha Magar
Qadmon Ko Hasrat-O-Yaas Likh Raha Hon Mai
Jugnu Chamkey Kaheen Andheray May Jab Kabhi
Teri Khusbu Ko Qiyaas Likh Raha Hon Mai
Kabhi Pani Pe Qadam Tehra Kartey Nahi
Unhi Qadmon Ko Asaas Likh Raha Hon Mai
Sanbhal Jata Hon Jo Aksr Gir Ke Mai Qais
Khiyal-E-Vasl Udaas Likh Raha Hon Mai
,

·
1 Like ·
Jun 03, 2016 at 08:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mohabat Kam Nahi Hoti Kisi Ko Azmanay Say
Kisi Kay Pass Anay Say Kisi Kay Door Janay Say
Mohabat Kam Nahi Hoti Kisi Ko Azmanay Say
Jinhain Hum Yad Rakhtay Hain Woh Hum Ko Bhool Jatay Hain
Nahi Hota Asar Enn Per Abb Ashkoon Ko Bahanay Say
Dil e Betab Main Surat Teri Esi Sajaee Hay
Kabhi Mitt Nahi Sakti Kisi Kay Mitanay Say
Bichartna Thaa Muqadar Main Kissi Say Kiya Gilaa Magaar
Nahi Shikwa Muqadar Say Naa Shikwa Hay Zamanay Say
Andheri Raat Hay Barish Hay Our Main Bhi Tanha Hoon
Nahi Maloom Ho Ga Kiya Faqat Dil Jalanay Say,

May 30, 2016 at 08:05
Category: sad
Advertisement
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Kisi Morr Per...
Milay kab they hum kisi mod per na ussay khaber na mujhe khaber
K khayal-o-khawab ka tha safer,na ussay khaber na mujhe khaber
Na woh saan main na guman main , na salam tha na payam tha
Kisay kis nay dekha tha chonk ker,na ussay khaber na mujhe khaber
Dar-e-dil pay naram see dastakein , kisay roktay kisay tokatay
Woh mehak thi jan main gai utar,na ussay khaber na mujhe khaber
Kabhi uss kay seenay main mera dil , bada natawaan , bada muzmahal
Meray rukh pay uss ki hai chashm-e-ter,na ussay khaber na mujhe khaber
Dil muztarab, rahin kab talak kisi bay khaber kay khayal main
Kisay dhoondatay rahin umer bhar,na ussay khaber na mujhe khaber
Kabhi kho gay sabhi rastay kabhi rastoon say palat gay
Kahan uss ka ghar,kahan mera ghar,na ussay khaber na mujhe khaber
They nazar main ajnabi rastay to yeh kaisay aa gaya yak ba'yk
Sir-e-rah chahtoon ka nager,na ussay khaber na mujhe khaber.....!!!!,

May 13, 2016 at 08:05
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ae Kaash Ke Toote Tera Pindaar Kisi Din
Ae kaash ke toote tera pindaar kisi din
ker le tu mere pyar ka iqrar kisi din
yeh jhankna chup chup kee hamesha na rahe ga
gir jaye gi yeh beech ki dewaar kisi din
sarshaar kabhi main bhi bohat tha use mil ker
pachtaye ga tu bhi ae mere yaar kisi din
sunte hain us paar bari sabz rutein hain
kyun hum bhi na ayaz chalein paar kisi din

Apr 27, 2016 at 08:04
Category: sad
Social Wall / Photos
Mahrukh Nida
Kisi Ko Hai Meri Chah To Bta 2.
·
0 Like ·
Apr 21, 2016 at 12:04
Category: photos
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Dard Kia Hota Hai Batain Gain Kisi Rooz
Dard Kia Hota Hai Batain Gay Kisi Rooz
Kamal Ki Ghazal Tum Ko Sunain Gay Kisi Rooz
Thi Un Ki Zidd K Main Jaoon Un Ko Mananay
Mujh Ko Yeh Veham Tha Woh Bolain Gay Kisi Rooz
ALLAH Qasam Main Nay Tu Soocha Bhi Nahin Tha
Woh Itna Merey Dil Ko Dukhain Gay Kisi Rooz
Har Rooz Aainay Say Yeh Hi Poochta Hoon Main
Kia Rukh Pay Tabbassum Bhi Sajain Gay Kisi Rooz
Urrnay Do In Parindoon Ko Azaad Fiza Main
Tumharay Hoon Gay Agar Lout Ayein Gay Kisi Rooz
Apnay Sitam Ka Dekh Lena Khud Hi Assar Tum
Zakhm-E-Jigar Tamaaam Dekhain Gay Kisi Rooz

Apr 18, 2016 at 03:04
Category: general
Social Wall / Photos
Aras Rahes
Kisi Ko Achi Baat Batane Ka Sawab
·
0 Like ·
Apr 14, 2016 at 20:04
Category: photos
Social Wall / Photos
Farooq Ahmed
Kisi Ko Kuch Samajh Aya To Mujhe Bhi Samjhao
·
0 Like ·
Apr 06, 2016 at 10:04
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kisi Bhi Morr K Agle Parao Par
Thehro
kisi bhi more ka aglay parao par ,
juda he hum ko hona hai
tou aao phir
yahin apnay asason ko alag alag kar lein
yeh jitnay zakhm dil par hain ,
idhar meri taraf kar dou
keh tum aksar yeh kehtay thay ,
yeh sab meri badolat hain
tou phir yeh zakhm mairay hain , mujahe day dou
zara daikho
yahan kuch khawab bhi hongay ,
jo mil kar hum nay daikhe thay ,
unhain taqseem karna hai
so yun kar lo
suhane khawab tum rakh lo ,
adhooray sab mujahe day dou
keh meri yun bhi aadat hai ,
mujahe tooti hui cheezon say ik bay naam raghbat hai so aadhe khawab tum rakh lo ,
yeh aadhe khawab mairay hain
chalo taqseem ka qissa yahin ab khatam kartay hain magar thehro ,
yahin thehro
yahan tum say mujahe ik baat kehna hai ,
mujahe ik ehad lena hai
kisi bhi more ya aglay parao par ,
nah mur kay dekhna mujh ko
keh mur kar dekhnay say ehad kamzor partay hain , iraday toot jatay hain
sabar kay jaam hathon say palon mein jhoot jatay hain
bohat nuqsaan hota hai
tum yeh nuqsaan mat karna
khayali iss kahani mein haqeeqi rang mat bharna

2 Like ·
Mar 26, 2016 at 05:03
Category: sad
Sponored Video