Search
Jokes / Miscellaneous
Kashif Yaqoob
Kisi Ki Shakal Itni Buri Nhi Hoti.
Truth:
Kisi ki Shakal itni buri nhi hoti jitni
uske Identity card me hoti hai
.
.
.
.
.
.
.
Or itni khoobsoorat bhi nahi hoti jitni
Facebook ki profile me hoti hai
#truth #funny
Kisi ki Shakal itni buri nhi hoti jitni
uske Identity card me hoti hai
.
.
.
.
.
.
.
Or itni khoobsoorat bhi nahi hoti jitni
Facebook ki profile me hoti hai
#truth #funny
·
2 Like ·
Mar 15, 2018 at 20:03
Category: miscellaneous
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko
Kabhi Kaha Na Kisi Se Tere Fasaane Ko
Na Jaane Kaise Khabar Ho Gayee Zamaane Ko
Sunaa Hai Gair Ki Mehfil Mein Tum Na Jaaoge
kaho Toh Aaj Saja Lun Garib Khaane Ko
Duaa Bahaar Ki Maangi Toh Itane Phul Khile
Kahi Jagaah Na Mili Mere Aashiyaane Ko
Chaman Mein Jaana Toh Sayyaad Dekh Kar Jaana
Akele Chhor Kar Aayaa Hun Aashiyaane Ko
Meri Lahad Pe Patangon Ka Khoon Hota Hai
Huzur Shama Na Laaya Kare Jalaane Ko
Dabaa ke Qabra mein Sab Chal Diye Duaa Na Salaam
Zaraa Si Der Mein Kya Ho gaya Zamaane Ko
Ab Aage Is Mein Tumhaara Bhi Naam Aayega
Jo Hukm Ho To Yahii Chhod Dun Fasaane Ko
Qamar Zaraa Bhi Nahi Tumko Khauf-e-Rusvaai
Ke Chandani Pe Chale Ho Unhe Manane Ko
Qamar Jalalabadi

1 Like ·
Mar 01, 2018 at 20:03
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kisi Se Hum Nhi Milty
Juda Tum Se Huey Hain To Kisi Se Hum Nhi Milty
Koi hum Se Mily Bhi To Khushi Se Hum Nhi Milty
Agr Pathar Ho Tum, To Aao Betho Hum B Pathar Hain
Agr Ho Aadmi, To Aadmi Se Hum Nhi Milty
Hum Apni Zaat Mein Sehra Hain Sehraon Se Yaari Hy
Kisi Darya Samandar Ya Nadi Se Hum Nhi Milty
Hmein Murda Dili Tohfay Mein Tum Ne Hi To Bheji Thi
Gila Mat Kr Jo Ab Zinda Dili Se Hum Nhi Milty
Hmari Zindgi Hy wo Agr Uss Ki Khushi hy To
Chalo kuch Roz Apni Zindgi Se Hum Nhi Milty
Faqeeron Ko Faqeeron Ki Rafaqat Raas Aati hy
Sakhi Aaen To Keh Dena Sakhi Se Hum Nhi Milty

Feb 28, 2018 at 01:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kisi Ka Ishq Kisi Ka Khayal
Kisi ka ishq kisi ka khayal thai ham bhi
gaye dino mai bohot ba-kamal thai ham bhi
hamari khauj mai rehti thee'n titliya'n aksar
k apnay sheher ka husn o jamal thai ham bhi
zamee'n ki gaud mai sar rakh k so gaye aakhir
tumharay ishq mai kitnay nidhal thai ham bhi
zaroorato'n ne hamara zameer chaat liya
wagar na qaail e rizq o halal thai ham bhi
ham aks aks bikhartay rahay isi dhunn mai
k zindagi mai kabhi la-zawal thai ham bhi

Feb 17, 2018 at 09:02
Category: sad
Poetry / General
Hira Chaudhry
Rishty Kisi Se Kuch Yun Nibha Lo
Rishty kisi se kuch yun nibha lo
Kay usky dil kay saaray gham chura lo
itna asar chhor do kisi par apna
kay har koi kahay hamen bhi apna bana lo
Kay usky dil kay saaray gham chura lo
itna asar chhor do kisi par apna
kay har koi kahay hamen bhi apna bana lo
·
2 Like ·
Feb 07, 2018 at 21:02
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Meri Muhabat Main Kisi Ko Shareek Kiya
MeRi MuHaBaT MaIn KiSi Ko ShaReeK KiYa To EhSaaS HoWa
Ke KhuDa ShiRaK KRne WaLoN Ko MaaF KyUn NaHi KRta
Ke KhuDa ShiRaK KRne WaLoN Ko MaaF KyUn NaHi KRta
·
1 Like ·
Feb 04, 2018 at 13:02
Category: general
Poetry / General
Ijunoon
Ab Kisi Haal Par Nahe Aati
ab kisi haal par nahe aati
qoum hartaal par nahi aati
dukh sahy mein chala he jata hon
baat sasural par nahi aati
kiyon hai aati mithaas par makhi
lobh raal par nahi aateen
haan woh khwaja sira nahi lekin
resh bhi gaal par nahi aati
dukhtar molvi say shadi ki
murgh say daal par nahi aati
ab murree he bhi yaroo
q meri khal par nahi aati
choor ko bandh lay chalo thaanay
plus hai cal par nahi aati
jab harap kar chuki woh maal maraa
ab kise maal par nahi aati
qoum tou so gayi k bedaari
yom iqbal par nahi aati
is ki tan tan suni nahi jo gayi
baat gharyaal par nahi aati
qoum hartaal par nahi aati
dukh sahy mein chala he jata hon
baat sasural par nahi aati
kiyon hai aati mithaas par makhi
lobh raal par nahi aateen
haan woh khwaja sira nahi lekin
resh bhi gaal par nahi aati
dukhtar molvi say shadi ki
murgh say daal par nahi aati
ab murree he bhi yaroo
q meri khal par nahi aati
choor ko bandh lay chalo thaanay
plus hai cal par nahi aati
jab harap kar chuki woh maal maraa
ab kise maal par nahi aati
qoum tou so gayi k bedaari
yom iqbal par nahi aati
is ki tan tan suni nahi jo gayi
baat gharyaal par nahi aati
·
1 Like ·
Jan 27, 2018 at 10:01
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kyun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaon Apne
kiyon kisi aur ko dukh dard sunaoun apnay
apni aankhon say bhi mein zakhm chhupaao apnay
mein tou qaim hon tere gham ki badolat warna
yun bikhar jaoon k khud hath nah aon apnay
sher logon kay bohat yaad hain ouron kay liye
tou milay tou mein tujhay sher sunaoun apnay
sochta hon k bujha duun mein yeh kamray ka diya
apnay sayay ko bhi kiyon sath jagaon apnay
is ki talwar ne woh chaal chali hai aisi
paon katete hain agar hath bachaoo apnay

0 Like ·
Jan 22, 2018 at 18:01
Category: sad
Poetry / Sad
Ye Kya Ke Zindagi Kisi Aur Ke Naam Ker Di Tum Ne
Ye Kya Ke Zindagi Kisi Aur Ke Naam Ker Di Tum Ne
Subah Honay Jaa Rahi Thi, Aur Shaam Ker Di Tum Ne
Lambi Zindagi Ki Duaaein Deney Ka Kya Faaida Hua
Jab Juda Ho K Khud, Ye Nabz Band Kar Di Tum Ne
Muskaan Per Tumhari,Her Khushi Ko Jiss Ne Waar Diya
Aaj Ussi Shakhs Ki Aansoo-on Say, Aankh Bhar Di Tum Ne
Pakar Ker Jiss Haath Ko, Tum Zindagi Guzaarna Chaahti Thi
Aaj Ussi Ki Muthi Mein Jalti Hui, Raakh Bhar Di Tum Ne
Jissey Jeetnay Ke Liye, Tum Ansoo Bahaaya Kerti Thi
Na Jaantey Huey Wohi Jeeti Baazi, Aaj Haar Di Tum Ne
Badley Wafa Ke Bewafai Milti Hai, Ye Suna Tha Akash
Per es Kadar Koi Badal Jata Hai, Had Ker Di Tum Ne...!

Dec 06, 2017 at 09:12
Category: sad
Sponored Video