Search
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Jo Khushi Tumahray Qareeb Ho
jo khushi tumahray qareeb ho
woh sada tumhein naseeb ho
tujhay woh khuloos milay keh
jo teri zindagi peh muheet ho
jo khayaal dil mein aseer ho
aur dua mein bhi taseer ho
tujhay woh jahan milay
jidhar gamoon ka nah guzar ho
jidhar roshni ho khuloos ki
aur nafratoon ko khabar nah ho
woh sada tumhein naseeb ho
tujhay woh khuloos milay keh
jo teri zindagi peh muheet ho
jo khayaal dil mein aseer ho
aur dua mein bhi taseer ho
tujhay woh jahan milay
jidhar gamoon ka nah guzar ho
jidhar roshni ho khuloos ki
aur nafratoon ko khabar nah ho
·
1 Like ·
Oct 22, 2015 at 21:10
Category: occassional-events
Poetry / 0
Ashraf Shahid
Khushi Aur Gham Ka Rishta
Maine phoolon se puchaa hai
Kaanton se bhi jhagda huwa hai
Puchha maine Khushi kahan rahti hai
Ye gham kahan hota hai
Phool tab muskurayen,kaanton
Ne bhi dikhayi aankh mujhko
Main Thoda sa dar gaya tha par,
Thoda sa sukun tha
Dono ne mil kar tab kaan mera pakda,
Ek raasta dikhaaya
Hume alag kar ke dekho, na paaoge
Kuch bhi, Samajh jao ALAM
Khushi wahin rahti hain,
Jahaan gham ka nagar hota hai
Phool wahin rehte hain
jahan kaanton ka ghar hota hai
Jaao usey ab talaasho,
ab usey jaa kar dhundho
Pahadon se bhi puchha tha
Main ye sawaal yaaro
Gussa aya tha wah bhi par
wah bhi tha muskuraaya
Usne bhi mujhe tab ek raasta
dikhaaya ,Kaha tab usne
Yaar Mere sine par BAaDAL hain
Bijliyan giraatey
Par baarishon ke aagosh me bhi
so jaata hun main aksar
Baghair Baadlon ke na
kuch bhi yaar bhaaten
Samajh jaao ALAm ek baat meri maano,
Thoda sa muskurao
Kabhi bijli kabhi baarish ALAM ye
ek ajib sa asar hota hai
Khushi wahin rahti hain ,
Jahaan gham ka nagar hota hai
Girti hai Bijli wahin jahan
Baaris ka asar hota hai
Na kabhi ghabrao na aansoo bahao,
Thora muskurao
Pahaadon ne kaha hai phoolon se
bhi yaaro ye asar hota hai
Khushi wahin rahti hain ,
Jahaan gham ka dagar hota hai
Kaanton se bhi jhagda huwa hai
Puchha maine Khushi kahan rahti hai
Ye gham kahan hota hai
Phool tab muskurayen,kaanton
Ne bhi dikhayi aankh mujhko
Main Thoda sa dar gaya tha par,
Thoda sa sukun tha
Dono ne mil kar tab kaan mera pakda,
Ek raasta dikhaaya
Hume alag kar ke dekho, na paaoge
Kuch bhi, Samajh jao ALAM
Khushi wahin rahti hain,
Jahaan gham ka nagar hota hai
Phool wahin rehte hain
jahan kaanton ka ghar hota hai
Jaao usey ab talaasho,
ab usey jaa kar dhundho
Pahadon se bhi puchha tha
Main ye sawaal yaaro
Gussa aya tha wah bhi par
wah bhi tha muskuraaya
Usne bhi mujhe tab ek raasta
dikhaaya ,Kaha tab usne
Yaar Mere sine par BAaDAL hain
Bijliyan giraatey
Par baarishon ke aagosh me bhi
so jaata hun main aksar
Baghair Baadlon ke na
kuch bhi yaar bhaaten
Samajh jaao ALAm ek baat meri maano,
Thoda sa muskurao
Kabhi bijli kabhi baarish ALAM ye
ek ajib sa asar hota hai
Khushi wahin rahti hain ,
Jahaan gham ka nagar hota hai
Girti hai Bijli wahin jahan
Baaris ka asar hota hai
Na kabhi ghabrao na aansoo bahao,
Thora muskurao
Pahaadon ne kaha hai phoolon se
bhi yaaro ye asar hota hai
Khushi wahin rahti hain ,
Jahaan gham ka dagar hota hai
·
1 Like ·
Aug 17, 2015 at 13:08
Category: 0
Advertisement
Poetry / Poetry Sms
Har Dua Main Aapke Liye Khushi Maangi Hai
har dua main aapke liye khushi maangi hai ,
aapke liye sitaron se roshni maangi hai,
naa ho jis main koi bhi ghum ,
khuda se aapke liye wo zindagi maangi hai...
aapke liye sitaron se roshni maangi hai,
naa ho jis main koi bhi ghum ,
khuda se aapke liye wo zindagi maangi hai...
·
3 Like ·
May 28, 2015 at 05:05
Category: poetry-sms
Poetry / 0
Samra Ali
Ham Na Tarsain Kabhi Phir Khushi Ke Liye
Ham na tarsain kabhi phir khushi ke liye
pyaar mil jaye agar zindagi ke liye
pyaar jhoota na ho pyaar kam hi sahi
saath de to koi do qadam hi sahi
zindagi ke andhairon main jal jaye to
ik diya hai bohot zindagi ke liye
muskurate hue dukh utha lain ge ham
apni palkon main ansoo chhupa lain ge ham
aap chahain hamain pyaar dain ya na dain
ham to jeete hain bas aap hi ke liye
pyaar jis main na ho dil wo veeran hai
pyaar hi zindagi ka negehbaan hai
chahaton ki hifaazat main rehta hai jo
gham hai kiya cheez us aadmi ke liye
ham na tarsain kabhi phir khushi ke liye
pyaar mil jaye agar zindagi ke liye....

6 Like ·
Apr 16, 2015 at 13:04
Category: 0
Poetry / 0
Samreen Anjum
Kabhi Khushi Se Khushi Ki Taraf Nahi Dekha
Kabhi khushi se khushi ki taraf nahi dekha
Wo mera hai par usne meri taraf nahi dekha
Zindagi se mila to hoon magar kuch is tarah
Mene uski usne meri taraf nahi dekha
Usko dekha tha ik baar badi sanjeedgi se
Us se behtar koi doosra nahi dekha
Wo mera ishq hai yaa ibaadat hai meri
Us se jyaada to khuda ki taraf nahi dekha

2 Like ·
Mar 17, 2015 at 11:03
Category: 0
Sms / Funny
Amjad Z
Har Khushi Teri Taraf Mod Doon,
Har khushi teri taraf mod doon,
Tere liye chand taare tak tod doon,
khushiyo ke darwaje tere liye khol doon,
Itna kaafi hai ya do chaar jhoot aur bol du
Tere liye chand taare tak tod doon,
khushiyo ke darwaje tere liye khol doon,
Itna kaafi hai ya do chaar jhoot aur bol du
·
1 Like ·
Dec 24, 2014 at 22:12
Category: funny

Dec 24, 2014 at 16:12
Category: funny
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Khushi Bhi Ek Udaasi Hai
·
1 Like ·
Dec 07, 2014 at 13:12
Category: love
Poetry / Love
Noman Nomi
Khushi Kay Liye
Jaane Kyun Main Aaj Bhi Dua Karta Hoon Uski Khushi Ke Leye
Aye Kaash Woh Lauta De Mera Woh Sab Beeta Din Meri Khushi Ke Leye
Kya Soch Kar Usnee Badal Li Apni Raahein
Koi Jaa kar Bataye Usa Koi Merta Nahi Kisi Ke Leye
Tha Aor Bhi Rasta Saath Nibhanay Ke Leye
Kyun Usnee Chuuna Rasta Sirf Judai Ke Leye
Woh Hota Hai Dheere Dheere Mujh se Dour, Qareeb Main Jitna Aana Chahou
Usne Ek Raah Khuli Na Rakhi Apni Waapsi Ke Leye
Maana K Meri Qismat ne Kiya Mujhe Dour Tum se
Kya Tumhare Haathon Ki Lakeeron Mein Likha Tha Mujh se Juda Hone Ke leye
Ab Bhi Hain Mere Dil Mein Jazbaat Na Jaane Kis Tarah
Acha Hi Keya Tha Main ne Apni Mohabbat Ke Leye...

Oct 11, 2014 at 09:10
Category: love
Sponored Video