Search
Articles / Technology
Ijunoon
Pani Me Girnay Ke Baad Smart Phone Ko Bachane Ke Hifazati Tareeqay
پانی ہماری زندگی ہے لیکن یہ ہمارے روز مرہ استعمال کے برقی اور مواصلاتی آلات کا اتنا ہی بڑا دشمن بھی ہے، خاص طور پر اگر اسمارٹ فون پانی میں گر جائے تو پھر اس کے دوبارہ استعمال کے امکانات انتہائی کم ہو...
مزید پڑھیں
·
0 Like ·
Jun 01, 2015 at 09:06
Category: technology
Articles / Interesting
Ijunoon
Aspirin Ke Hair Angaiz Fawaid
اسپرین دنیا بھر میں مقبول ترین درد کش گولی ہے جو سستی ہونے کے باعث ہر طبقے کے استعمال میں رہتی ہے تاہم کیا آپ کو معلوم ہے کہ یہ دوا صرف درد پر ہی قابو نہیں پاتی بلکہ مختلف اقسام کے کینسر اور متعدد امر...
مزید پڑھیں
·
0 Like ·
May 26, 2015 at 07:05
Category: interesting
Advertisement
Poetry / 0
Maot Ki Aagosh Me Jab Thak Ke Su Jaati Hai Maa
MAOT KI AAGOSH ME JAB THAK KE SU JAATI HAI MAA
TAB KAHI JA KAR RAZA THODA SUKOON PAATI HAI MAA
FIKAR MEIN BACHOO KI KUCH IS TARAH GHUL JAATI HAI MAA
NUWJAWAN HUTE HUE BOODHI NAZAR AATI HAI MAA
RUH KE RISHTOO KI YE GAHRAYIAAN TO DEKHIYE
CHOT LAGTI HAI HUMARE AOUR CHILLATI HAI MAA
HADIYOON KA RAS PILA KAR APNE DIL KE CHAIN KO
KITNI HI RAATO ME KHALI PET SO JAATI HAI MAA
JANE KITNI BARF SI RAATOO ME AISA BHI HUA
BACHAH TU CHHATI PE HAI GEELE ME SO JAATI HAI MAA
JAB KHILONE KO MACHALTA HAI KOI GHURBAT KA PHOOL
AANSOON KE SAAZ PER BACHEY KO BAHLATI HAI MAA
FIKAR KE SHAMSHAN ME AAKHIR CHITAOON KI TARAH
JAISE SOOKHI LAKDIYAAN, IS TARAH JAL JAATI HAI MAA
APNE AANCHAL SE GULABI AANSUOO KO PUNCH KAR
DER TAK GURBAAT PE APNI ASHAK BARSATI HAI MAA
SAMNE BACHOO KE KHUSH RAHTI HAI HAR EK HAAL ME
RAAT KU CHHUP CHHUP KE LEKIN ASHAK BARSATI HAI MAA
KAB ZAROORAT HU MERI BACHE KO, ITNA SOCH KAR
JAGTI RAHTI HAIN AANKHEN AOR SO JAATI HAI MAA
MANGTI HI KUCH NAHI APNE LIYE ALLAH SE
APNE BACHON KE LIYE DAMAN KO PHAILATI HAI MAA
DE KE IK BIMAAR BACHE KO DUAYEEN AOUR DAWA
PAINTI PE RAKH KE SAR QADMOO PE SO JAATI HAI MAA
GAR JAWAN BAITI HO GHAR MEIN KOI RISHTA NA HO
IK NAYE IHSAAS KI SULI PE CHADH JAATI HAI MAA
HAR IBADAAT HAR MUHABAT MEIN NIHA HAI IK GARAZ
BE GARAZ BE LAOS HAR KHIDMAAT KO KAR JATI HAI MAA
ZINDAGI BHAR CHUNTI HAI KHAAR, RAH E ZEEST SE
JAATE JAATE NEMAT E FIRDAOUS DE JAATI HAI MAA
BAZOON ME KHEENCH KE AAJAYE GI JAISE KAINAAT
AISE BACHE KE LIYE BAAHON KO PHAILATI HAI MAA
ZINDAGANI KE SAFAR MEIN GARDISHOO KI DHOOP MEIN
JAB KOI SAYA NAHI MILTA TO YAAD AATI HAI MAA
PYAR KAHTE HAI KISEY AOR MAAMTA KYA CHEEZ HAI
KOI UN BACHOO SE PUCHEY JIN KI MAR JAATI HAI MAA
SAFHA E HASTI PE LIKHTI HAI USUL E ZINDAGI
IS LIYE IK MAKTAB E ISLAM KAHLATI HAI MAA
US NE DUNIYA KO DIYE MASOOM RAHBER IS LIYE
AZMATOO ME SANIYE QURAAN KAHLATI HAI MAA
GHAR SE JAB PARDES JAATA HAI KOI NOOR E NAZAR
HATH MEIN QURAAN LE KER DUR PE AAJATI HAI MAA
DE KE BACHE KO ZAMANT ME ALLAH PAAK KI
PICHEE PICHEE SAR JHUKAYE DUR TAK JATI HAI MAA
KANPTI AAWAZ SE KAHTI HAI BETA ALVIDA
SAMNE JAB TAK RAHE HATHOO KO LAHRATI HAI MAA
JAB PARISHANI ME GHAR JATE HAIN HUM PARDES ME
AANSUOO KO PONCHANEY KHWABOO MEIN AAJATI HAI MAA
DER HO JAATI HAI GHAR AANE ME AKSAR JAB HAMAIN
RET PER MACHILI HU JAISE AAISE GHABRATI HAI MAA
MARTE DUM BACHA NA AA PAYE AGAR PARDES SE
APNI DONO PUTLIYAAN CHAWKHAT PER RAKH JATI HAI MAA
BAB MAR JAANE KE PHIR BETE KI KHIDMAT KE LIYE
BHES BETI KA BADAL KAR GHAR ME AAJATI HAI MAA
HUM BALAOO ME KAHI GHIRTE HAI TO BEIKHTIYAAR
KAHIR HU BACHE KI, KAH KAR DAR PE AAJATI HAI MAA
CHAHE HUM KHUSHIYOO ME MAA KO BHOOL JAYEEN DOSTOO!
JAB MUSIBAAT SAR PE AATI HAI TU YAAD AATI HAI MAA
DOOR HO JAATI HAI SAARI UMAR KI IS DAM THAKAN
BYAAH KAR BETE KO JAB GHAR ME BAHOO LAATI HAI MAA
CHEEN LETI HAI WAHI AKSAR SUKOON E ZINDAGI
PYAAR SE DULHAN BANAKAR JIS KO GHAR LAATI HAI MAA
PHEIR LETE HAI NAAR JIS WAQAT BETE AOR BAHOO
AJNABI APNE HI GHAR ME HAI BANJATI HAI MAA
HUM NE YE BHI TO NAHI SOCHA ALAG HONE KE BAAD
JAB DIYA HI KUCH NAHI HUM NE TO KYA KHATI HAI MAA
ZABT TO DEKHOO KI ITNII BE RUKHI KE BAOWAJOOD
BUD DUAA DETI HAI HARGIZ AOR NA PACHTATI HAI MAA
ALLAH ALLAH BHOOL KAR HAR IK SITAM KO RAAT DIN
POTI POTE SE SHIKASTA DIL KO BAHLATI HAI MAA
BETA KITNA HI BURA HU, PAR PADOSAAN KE HUZOOR
ROOK KAR JAZBAAT KO BETE KE GUN GAATI HAI MAA
SHADIYAA KAR KE BACHE JA BASE PARDES ME
DIL KHATOO SE AOR TASWEERO SE BAHLATI HAI MAA
APNE SEENE PAR RAKHE HAIKAINAT E ZINDAGI
YE ZAMEEN IS WASTEY AYE DOST KAHLATI HAI MAA.
Written by MOHSIN CHISHTI

2 Like ·
May 10, 2015 at 12:05
Category: 0
Articles / Technology
Ijunoon
Aisi Cycle Jo Warzish Ke Sath Aap Ke Kapray Bhi Dhoye Gi
اگر آپ سے کہا جائے کہ سائیکل چلاتے ہوئے کپڑے دھوئے جاسکتے ہیں تو آپ یقیناً حیرت میں مبتلا ہوجائیں گے لیکن چینی ڈیزائنر نے اس بات کو سچ کر دکھایا ہے اور ایک ایسی سائیکل تیار کی ہے جسے چلاتے ہوئے کپڑے...
مزید پڑھیں
·
0 Like ·
Apr 28, 2015 at 06:04
Category: technology
Poetry / Love
Chhup Chhup Ke Shigafon Say
Ek baar hi jee bhar k saza Q nahi detay?
Gar harf e ghalat hoon to mita Q nahi detay?
Saya hoon to phir sath na rakhnay ka sabab kya?
Pathar hoon to rstay say hata Q nahi detay?
Raahzan ho to phir shoq se looto meri dunya,
Rehbar ho to phir ghar ka pata Q nahi detay?
Ab shiddat e armaan say mera dam ghutnay laga ha,
Tum reshmi zulfon ki hawa Q nahi detay?
Chhup Chhup ke shigafon say mujhay yoon to na jhaanko,
Tum raah ke deewar gira Q nahi detay?

1 Like ·
Apr 24, 2015 at 16:04
Category: love
Poetry / 0
Kaise Kehdoon Ke Mulaqaat Nahi Hoti Hai
Kaise kehdoon ke mulaqaat nahi hoti hai
Roz milte hain magar baat nahi hoti hai
Aap lillah na dekha karen aaina kabhi
Dil ka aa jana barri baat nahi hoti hai
Chhup ke rota hoon teri yaad mein duniya bhar se
Kab meri aankh se barsaat nahi hoti hai
Haal-e-dil poochne waale teri duniya mein kabhi
Din hota hai magar raath nahi hoti hai
Jab bhi milte hain toh kehte hain kaise ho 'Shakeel'
Is se aagay toh koi baat nahi hoti hai

Apr 21, 2015 at 10:04
Category: 0
Poetry / 0
Khuwaab Saath Rehne Ke Nit Naye Dekhata Hai
Khuwaab saath rehne ke nit naye dekhata hai
Ye jo asal mausam hai ye guzarta jaata hai
Khud ko sabz hi rakha aansoun ki baarish mein
Warna hijar ka mausam kis ko raas aata hai
To hawaon ka mausam tujh ko kiya khabar janaa
Gard-e-badgumaani se dil toot bhi jaata hai
Aik tum hi thay warna aadmi muhabbat mein
Laakh aayein deewarein raastey banata hai
Hum to khair nadaan thay muntazir rahe warna
Kaun apni beenayi is tarah ganwata hai
Kitne khuwaab aankhon mein zakham banne lagte hain
Jab hawa ke honton pe tera naam aata hai
Senkron dukaanein hain wasl ke charaghon mein
Kaun hijar mein apna ab lahoo jalata hai

Apr 21, 2015 at 04:04
Category: 0
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Kaagaz Ke Fools Release Date
·
0 Like ·
Apr 19, 2015 at 19:04
Category: when
Poetry / 0
Bin Us Ke Zindaghi
Bin us ke zindaghi dard hai tanhayi hai,
Meri ankhoon mein kiyon moot simat ayi hai.
Kehtey hain loogh ishq ko ibadat yaro,
Ibadat mein phir kiyoun ruswayi hai.
Wo na aye to dil ko lubhaney ko merey,
Shab- e -hijar mein us ki yaad chali ayi hai.
Mehfil mein reh kar bhi tanha rehna,
Yeh ada us ki muhabat ne Sikhlayi hai.
Yeh bhi us ki mohabbat ki ainayat hai yaro,
Main tamasha bana or dunia tamashayi hai.
Us se taluk hi kuch aisa raha hai dosto,
Jab bhi socha usey aankh bhar ayi hai .

Apr 17, 2015 at 21:04
Category: 0
Sponored Video