Search
Poetry / General
Ijunoon
Jane Walon Se Palat Kar Naheen Aya Jata
Jane walon se palat kar naheen aya jata
Raasta kis liye pholoon se sajaya jata
Gard,shab aur hawa tinoon ki yeh sazish thi
Yeh deya jal k na bujhta toh bujhaya jata
Gair se chaaoun talab karne se bahter kaheen
Apne aanghan main koi pair ugaya jata
Ham musafir they jo chalte bhi toh paoun jalte
Sar k suraj ko agar sar se giraya jata
Ab k mosam main bohot dhuop utar ai
Barf k pholoon se kia haar banaya jata

·
1 Like ·
Jan 26, 2018 at 03:01
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Log Hilaal E Shaam Sey Barh Kar
Log hilaal-e shaam sey barh kar pal main mah-e tammam howe
Hum har burj main ghat’te ghat’te subha talak ghumnaam howe
Un logo.n ki baat karo jo ishq main khush unjaam howe
Najd main Qais yahan per Insha khwaar howe, na-kaam howe
Kis ka chamakta chehra lain, kis soraj sey maangain dhoop
Ghor undhaira cha jata hay, khilwat-e dill main shaam howe
Aik sey aik junoo ka mara is basti main rehta hay
Aik humain hushiyaar they yaaro, aik humain ba-naam howe
Shouq ki aag, nafas ki garmi, ghat’te ghat’te sard ho na ho?
Chah ki raah dikha kar tum tu waqf-e dareecha-o baam howe
Un sey bhahar-o baagh ki baatain kar k jee ko dukhana kya
Jin ko aik zamana guzra kunj-e qafas main raam howe
Insha sahab pho phat’ti hay, taarey dobeby, subha hoi
Baat tumhaari maan k hum tu shab bhi be-araam howe

Jan 19, 2018 at 14:01
Category: sad
Advertisement
Jokes / Miscellaneous
Wo Ruth Kar Kehti Hy
Wo Ruth Kar Kehti Hy
Hamse,
Tumhara To Milna Hi Kam Ho Gaya
Hy.
Us Pagli Ko Kon Samjhaye,
...K
PETROL Kitna Mehenga Ho Gya Hy.
Hamse,
Tumhara To Milna Hi Kam Ho Gaya
Hy.
Us Pagli Ko Kon Samjhaye,
...K
PETROL Kitna Mehenga Ho Gya Hy.
·
5 Like ·
Jan 18, 2018 at 03:01
Category: miscellaneous
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Koi Baat Kar Koi Baat Kar
Meri jaan-e-jaan mere hamsafar koi bat kar koi bat kar,
Tere lab hilain to kattey safar koi bat kar koi bat kar,
Koi bhoj hai to utaar de koi khauf hai to nikaal de,
Mera hath hai tere hath par koi bat kar koi bat kar,
Kabhi mujh ko azn-e-sawal de jo nahin to lafz uchaal de,
Tere lafz tujh se bhi moat’bar koi bat kar koi bat kar,
Nahin yaad kitne barass gaye teri guftagu ko taras gaye,
Meri khirrkiyan mere baam-o-dar koi bat kar koi bat kar,
Kabhi sath bhi they rawaan-dawaan bhale ab naseeb hai darmyan,
Bhale tu udhar bhale mein idhar koi bat kar koi bat kar,
Tujhe chup hai kesi lagi huyi abhi umar to hai pari huyi,
Abhi muskuraa abhi gham na kar koi bat kar koi bar kar,
Koi admi hai na wakeel hai koi baam hai ke faseel hai,
Faqat aik mein faqat aik dar koi bat kar koi bar kar..

3 Like ·
Jan 09, 2018 at 17:01
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kuchi Bhi Kar Guzarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai
Kuchi Bhi Kar Guzarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Barf Ke Pighalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Os Ne Hans Kar Dekha Tou Muskura Dye Ham Bhee
Zaat Se Nikalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Hijr Ki Tamaazat Se Wasl Ke Alao Tak
Larkion Ke Jalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Baat Jaisi Be-Maainay Baat Aur Kia Hogi ?
Baat Ke Mukarnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Zaim Kitna Kartay Ho Ik Charaagh Per Apnay ?
Aur Hawa Ke Chalnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?
Jab Yaqeen Ki Baanhon Per Shak Ke Paaon Par Jaayein
Choorian Bikharnay Mein Dair Kitni Lagti Hai ?

Jan 04, 2018 at 01:01
Category: love
Jokes / Miscellaneous
Kashif Yaqoob
Aye Dost Tu Bhi Likha Kar Shayri
Aye dost tu bhi likha kar shayri...
Meri tarah tera bhi naam ho jayega,
Jab log phekenge ande tamatar,
Tou raat ki sabzi ka intezaam ho jayega...

Dec 25, 2017 at 11:12
Category: miscellaneous
Poetry / General
Sarhad E Aqal Paar Kar Baithe
EK MUNAFIQ SE PYAAR KAR BAITHE.
SARHAD-E-AQAL PAAR KAR BAITHE.
APNE ASLAF EK MUNAFIQ PAR
KIS QADAR AITBAAR KAR BAITHE.
UNCHE MAHALON KO DEKHKAR MUFLIS
KHUD KO KYON ASHQBAAR KAR BAITHE.
ROSHNI KE NAQEEB SE KEH DO
ZULMATON SE NAA HAAR KAR BAITHE.
DAAMAN-E-SABR CHHUT GAYA HUMSE
KHUD KO BEIKHTIYAAR KAR BAITHE.
GHAIR KO PURBAHAAR DEKH KE HUM
AARZOO-E-BAHAAR KAR BAITHE....!
SARHAD-E-AQAL PAAR KAR BAITHE.
APNE ASLAF EK MUNAFIQ PAR
KIS QADAR AITBAAR KAR BAITHE.
UNCHE MAHALON KO DEKHKAR MUFLIS
KHUD KO KYON ASHQBAAR KAR BAITHE.
ROSHNI KE NAQEEB SE KEH DO
ZULMATON SE NAA HAAR KAR BAITHE.
DAAMAN-E-SABR CHHUT GAYA HUMSE
KHUD KO BEIKHTIYAAR KAR BAITHE.
GHAIR KO PURBAHAAR DEKH KE HUM
AARZOO-E-BAHAAR KAR BAITHE....!
·
2 Like ·
Dec 23, 2017 at 01:12
Category: general
Poetry / General
Rakhti Hai Mujay Thaam Kar
Rakhti hai mujay thaam kar, girney nahi deti…
Main toot bhi jaon tou bikharney nahi deti.
Is darr se kahin kaanta na chub jaye haath mein,
Wo phool bhi mujh ko pakarne nahi deti.
Wo is qadar hassaas hai mohabbat mein meri….
K koi bhi ghum meray seenay mein wo palnay nahi deti.
Jis raat ki tareeki se aata hai mujay khouf…
Us din ko phir raat mein wo dhalnay nahi deti...!

Dec 22, 2017 at 06:12
Category: general
Poetry / Sad
Jeena Parta Ha Kabhi Zarf Se Kamtar Ho Kar
jeena parta ha kabhi zarf se kamtar ho kar
bheek daryaon se maangi ha samandar ho kar
haan ye tasweer kabhi baat kiya karti thi
dekhti rehti hain ankhein jise pathar ho kar
umar bhar mere tassawur ne tarasha tha jise
ab wo saya kahi gum ho gaya paikar ho kar
mera es ishq men nuqsaan hua ha kitna
khud se mehroom hua tujh ko mayassar ho kar
mere ehsaas pe ghalib hi rahi ik wahshat
mushkelain kam na huin ranj ka khoogar ho kar
es se behtar ha ke ik baar utar ja dil men
kyun ulajhta ha, mere zakhm se, nashtar ho kar
mera dukh ye ha, ke sab shaad samajhte hain mujhe
is aziyat se guzra hoon, sukhanwar ho kar...!

Dec 19, 2017 at 09:12
Category: sad
Sponored Video