Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Saamnay Hai Jo Usay Log Bura Kehtay Hain
Saamnay Hai Jo Usay Log Bura Kehtay Hain,
Jisko Dekha Hi Nahin Usko Khuda Kehtay Hain !
Faasley Umar Kay Kuch Aur Barha Deti Hai,
Jaaney Kyon Log Usey Phir Bhi Dava Kehtay Hain !
Chand Masoom Say Paton Ka Lahoo Hai `Khamosh',
Jisko Mahboob Kay Hathon Ki Heena Kehtay Hain !

·
1 Like ·
Aug 17, 2016 at 21:08
Category: sad
Social Wall / Photos
Babar Ali
Woh Knse Nabi The Jo Koh E Toor Pr Allah Ta''ala Se Hum Kalam Hue?
·
0 Like ·
Aug 13, 2016 at 02:08
Category: photos
Advertisement
Social Wall / Photos
Ijunoon
Ek Jhoot Jo Har Aadmi Bolta Hai
·
0 Like ·
Aug 09, 2016 at 09:08
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Guftagoo Us Say Jo Kal Ho Jati
Guftagoo Us Say Jo Kal Ho Jati
Mujh Say Ak Adh Ghazal Ho Jati
Us Nay Toray Hain iraade Meray
Warna Har Baat Atal Ho Jati
Meri Khowahish Thi Keh Qismat Ki Shikan
Aap Ki Zulfon Ka Bal Ho Jati
Saans Main Teri Mehak Thi Warna
Saans Paygaam -e- Ajal Ho Jati
Chaand Chehra Tha Jo Us Ka Mohsin
Chaandni Us Ka Bdal Ho Jati
Mujh Say Ak Adh Ghazal Ho Jati
Us Nay Toray Hain iraade Meray
Warna Har Baat Atal Ho Jati
Meri Khowahish Thi Keh Qismat Ki Shikan
Aap Ki Zulfon Ka Bal Ho Jati
Saans Main Teri Mehak Thi Warna
Saans Paygaam -e- Ajal Ho Jati
Chaand Chehra Tha Jo Us Ka Mohsin
Chaandni Us Ka Bdal Ho Jati
·
2 Like ·
Aug 07, 2016 at 03:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jo Us Kii Yaad Aatii Hai
jo us kii yaad aatii hai to kyon mehsoos kartay ho ?
muhabbat ab satati hai to kyon mehsoos kartay ho ?
tum un logon say hat kar bhi to zinda reh nahi saktay
yeh duniya dil dukhati hai to kyon mehsoos kartay ho ?
barastay hain jo badal to utar jata hai bujh un ka
tumhien khwaahish rulaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?
wohii chashm e tasawar hai wohii hai dil ki haalat bhii
wo soorat hashr uthaati hai to kyon mehsoos kartay ho ?
kaha tha kis nay rakho tum sunehray khwaab aankhon mein
aseer e neend urrti hai to kyon mehsoos kartay ho ?
usii say milti julti hain adaayen sab balaaon kii
hawa pagal banati hai to kyon mehsoos kartay ho ?
jisay tum chand kehtay thay wohi hai aankh mein roshan
agar shab jagmagati hai to kyon mehsoos kartay ho

Jul 31, 2016 at 01:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kal Gurayzaan Jo Wo Tajdeed e Mulaqat Say Tha
Kal Gurayzaan Jo Wo Tajdeed -e- Mulaqat Say Tha
Ranj Us Shaks Ko Janay Meri Kis Baat Say Tha
Ab Ager Yaad Bhi Karta Hoon Tu Kaanp Uthata Hoon
Kis Qadar Rabt Mujhay Us Ki inayaat Say Tha
Khud Mujhay Hosala -e- Arz -e- Tamanna Na Howa !!
Wo Tu Aagah Wager Na Meray Jazbaat Say Tha
Tum Hi Kuch Shikwa Kunah , Gardish -e- Doraan Say Na Thay
Kuch Gila Mujh Ko Bhi Be Mori -e- Halaat Say Tha
Na Aashana Ki Tarah Aaj Jo Milta Hay Mujhay
Ak Taluq Sa Kabhi Us Ko Meri Zaat Say Tha

Jul 24, 2016 at 13:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jo Shakhs Karri Dhoop Main Chaaon Ki Tarah Tha
Wo raah badalney main hawaon ki tarah tha
Jo shakhs karri dhoop main chaaon ki tarah tha
Ek wo tarahdaar bahaaron se ziyada
Ek main ke ziyaankar khizaon ki tarah tha
Ik wasl ki janat main guzara huva lamha
IK hijr ke dozakh ki sazaon ki tarah tha
Us shakhs ki manzil thi kaheen qaaf ke aagey
Main raah main partey kisi gaaon ki tarah tha...!!!,

Jun 13, 2016 at 13:06
Category: sad
Poetry / Sad
Tum Jo Hotey To Mujhe Kitna Sahara Hota
Mein Ne Auron Ko Na Dukh Mein Pukara Hota
Jitni Shiddat Se Wabasta Tha Mein Tujh Se
Kis Tarah Mera Tere Baghair Guzara Hota
Mujh Ko Yeh Soch Hi Kafi Hai Jalaney K Liye
Mein Na Hota To Koi Aur Tumhara Hota
Aur Hum Khamoshi Se Roye Jatey
Shaam Hoti Sharab Hoti Aur Kisi Dariya Ka Kinara Hota
,

Jun 10, 2016 at 08:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ye Jo Bikhra Bikhra Sa Shaks Hai
Wo gumaan gumaan sa Qayaas sa
kbhi door sa … kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi meenha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan
kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhaly
kbhi sirf rang-e-bahar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa
kbhi dastaras k qareeb qareeb
kbhi door … paas … kahin nahi
ye jo ukhra ukhra sa shaks hai
ye jo bikhra bikhra sa shaks hai,
kbhi door sa … kbhi paas sa
kbhi chandni main chupa hua
kbhi khushbuon main basa hua
kbhi sirf uski shabahatein
kbhi sirf uski hikayatein
kbhi sirf milne k silsile
kbhi sirf us se hain faasle
kbhi door chalti hawaon main
kbhi meenha barasti ghataon main
kbhi bad-gumaan … kbhi meherbaan
kbhi dhoop hai … kbhi sayebaan
kbhi band dil ki kitaab main
kbhi lab kushan wo khwab main
kbhi yun k jaise sawal ho
kbhi yun k jaise jawab ho
kbhi dekhne k hain silsile
kbhi sochne k hain marhaly
kbhi sirf rang-e-bahar sa
kbhi sirf ek ghubaar sa
kbhi dastaras k qareeb qareeb
kbhi door … paas … kahin nahi
ye jo ukhra ukhra sa shaks hai
ye jo bikhra bikhra sa shaks hai,
·
1 Like ·
Jun 07, 2016 at 14:06
Category: sad
Sponored Video