Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meri Jaan Tum Se Itna Pyar Koun Kerta Hay
Meri jaan tum se itna pyar koun kerta hay
Marz dene lage taskeen tou chara koun kerta hay
kayi gumnaam khushian phootti hain raat bher dil mein
Na jane khwab mein aa ker ishara koun kerta hay
Kabhi socha nahin tum ne k tum ko aik muddat se
Samay ki oot mein chup ker pukara koun kerta hay
Abhi tou mil k chalte hain samander ki musafat ko
Phir us k baad dekhain gaye kinara koun kerta hay
Ghatayen koun lata hay meri ankhon k mousam mein
Phir us k baad barish ka nazara koun kerta hay

·
1 Like ·
May 23, 2017 at 11:05
Category: love
Poetry / Love
Meri Jaan Sochti Hon Main
Meri jaan sochti hon main
Agar tum mil na paye tu
Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaoun gi
Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaon gi
Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoun gi
meri jaan sochti hon main
Tumhain kaise bhulaaon gi
Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoon gi
Jo aadhi umer jeni hay
Wo main kaise bitaaon gi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi
Teri yaadain jo aaen gi
Mujhe pal pal rulay gi
Merey Anchal ko kheinchain gi
Mujhe kuch gud-gudain gi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaon gi
Jo baatain tum sey karti hon
bhala kis ko bataaon gi
Naya jab sher likhoon gi
Tu main kis ko sunaon gi
meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi
Meri jaan Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoon gi
Agar tum mil na paye tu
Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaoun gi
Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaon gi
Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoun gi
meri jaan sochti hon main
Tumhain kaise bhulaaon gi
Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoon gi
Jo aadhi umer jeni hay
Wo main kaise bitaaon gi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi
Teri yaadain jo aaen gi
Mujhe pal pal rulay gi
Merey Anchal ko kheinchain gi
Mujhe kuch gud-gudain gi
Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaon gi
Jo baatain tum sey karti hon
bhala kis ko bataaon gi
Naya jab sher likhoon gi
Tu main kis ko sunaon gi
meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi
Meri jaan Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoon gi
·
1 Like ·
Nov 08, 2016 at 15:11
Category: love
Advertisement
Social Wall / Photos
Asfand Yar
Jab Tumhe Zikr E Ilahi Sunna Acha Lagne Lage Toh Jaan Lo K.
❤Assalaam wa Alaikum wa Rahmatullaahi wa Barakatahu❤
SUBHA BAKHAIR
HAVE A NICE DAY IN SHA ALLAH
Jab Tumhe Zikr-E-Ilahi Sunna Acha Lagne Lage Toh Jaan Lo K...!
Tum Ko ALLAH Se Aur ALLAH Ko Tum Se Mohabbat Hogayi Hai...!!!❤
Aik baar parhye
JAZAKALLAH KHAIRAN
♥سَبْـَפـَــــــــــٱن اللَّـہَ
♥وَ الْحَمْـــــــــــــدُ للَّـہَ
♥وَ لاَ إِلَـــــــــهَ إِلاَ اللَّـہَ
♥وَ اللَّـہُ أَگْبَــــــــــــــرْ
♥وَ لٱ حَــوْلَ وَلٱ قــوَّةَ إِلٱ بِاللَّہَ الْعَلَـیّ العظیــم

Oct 16, 2016 at 15:10
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Qalam Par Qarz Hai Jaan Ka Ada To Ho Raha Ho Ga
Qalam Par Qarz Hai Jaan Ka Ada To Ho Raha Ho Ga
Magar Gumnaam Goshay Mai Koi To Ro Raha Ho Ga
Koi Ho Ga Kisi Sachi Azziyyat K Nashay Mai Gum
Koi Jhooti Khushi Ko Be Irada Dho Raha Ho Ga
Kisi Ko Yaad Aaye Ja Rahi Hogi Gai Patt Jharh
Koi Taaza Ruton K Beej Dil Mai Bo Raha Ho Ga
Koi Ukta Raha Ho Ga Kisi Purr Shor Mehfil Say
Koi Jadoo Bhari Tanhaiyon Mai Kho Raha Ho Ga
Kaheen Pardais Mai Be-Khuwab Aankhain Jagti Hongi
Koi Ik Yaad Orhay Apnay Ghar Mai So Raha Ho Ga
Har Ik Pal Ki Khabar Rakhnay Ki Aisi Kya Zaroorat Hai
Bhari Dunya Hai Iss Mai Kuch Na Kuch To Ho Raha Ho Ga

Oct 04, 2016 at 09:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Haqeeqat Jaan Kar Aysi Himaqat Kaun Karta Hai
Haqeeqat jaan kar aysi himaqat kaun karta hai..
Bhala be-faiz laugon se muhabbat kaun karta hai...?
Batao jis tijarat may khasara hi khasara ho...
Bina soochay khasaray ki tijarat kaun karta hai...
Humain hi ghalat-fehmi thi, kisi k wastay warna..
Zamanay k riwajon se baghawat kaun karta hai...?
Khuda ne sabar karnay ki mujhay taufiq bakhshi hai..
Aray jee bhar k tarpao, shikayat kaun karta hai?
Zamanay ki nighaon se dilon k bhaid makhfi hain..
Khaloos-e-dil se Rab janay ibadat kaun karta hai?,...

2 Like ·
Sep 19, 2016 at 08:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hum Bhi Khud Dushman E Jaan Thay Pehle
Hum Bhi Khud Dushman-E-Jaan Thay Pehle
Tum Magar Dost Kahan Thay Pehle
Ab Wahan Khaak Uraati Hai Khizaan
Phool Hi Phool Jahaan Thay Pehle
Ab Jo Deewar Bunay Baithay Hain
Soorat-E-Mooj Rawaan Thay Pehle
Kuch Sharabi Keh Hein Ab Rah Nasheen
Ronaq-E-Buzm-E-Maghaan Thay Pehle
Hum Keh Hein Aaj Ghubaar Puss-E-Roo
Munzil Hum Sufraan Thay Pehle
Ab Kise Waza-E-Mohabbat Ka Khayal
Aur Hi Loag Yahaan Thay Pehle
Ab To Khudh Per Bhi Nahin Zaam-E-Wafa
Tujh Se Hum Shikwa Kinaan Thay Pehle
Bun Gya Kafla Chaltay Chaltay
Wurna Tunha Hi Rawaan Thay Pehle
Dolat-E-Ghum Tau Mayasar Thi Faraz
Itne Muflis Bhi Kahaan Thay Pehle
Tum Magar Dost Kahan Thay Pehle
Ab Wahan Khaak Uraati Hai Khizaan
Phool Hi Phool Jahaan Thay Pehle
Ab Jo Deewar Bunay Baithay Hain
Soorat-E-Mooj Rawaan Thay Pehle
Kuch Sharabi Keh Hein Ab Rah Nasheen
Ronaq-E-Buzm-E-Maghaan Thay Pehle
Hum Keh Hein Aaj Ghubaar Puss-E-Roo
Munzil Hum Sufraan Thay Pehle
Ab Kise Waza-E-Mohabbat Ka Khayal
Aur Hi Loag Yahaan Thay Pehle
Ab To Khudh Per Bhi Nahin Zaam-E-Wafa
Tujh Se Hum Shikwa Kinaan Thay Pehle
Bun Gya Kafla Chaltay Chaltay
Wurna Tunha Hi Rawaan Thay Pehle
Dolat-E-Ghum Tau Mayasar Thi Faraz
Itne Muflis Bhi Kahaan Thay Pehle
·
1 Like ·
Sep 01, 2016 at 16:09
Category: sad
Social Wall / Photos
Ali Bukhari
Badle To Nahin Hain Woh Dil O Jaan Ke Qarinay,
Badle to nahin hain woh dil-o-jaan ke qarinay,Ankhon ki jalan, Dil ki chubhan ab bhi wohi hai..!
·
0 Like ·
May 09, 2016 at 21:05
Category: photos
Social Wall / Text
Shagufta Yasmeen
Jaan Ko Khatra
Jab tumhari jaan ko Khatra ho to sadqa de kar Jaan bachao.
Aur jab tumhare Deen ko Khatra ko to Jaan de kar Deen bachao.
(Hazrat Ali R.A)
Aur jab tumhare Deen ko Khatra ko to Jaan de kar Deen bachao.
(Hazrat Ali R.A)
·
0 Like ·
Apr 10, 2016 at 15:04
Category: text
Poetry / Political
Muzammil Shahzad
Pakistan Meri Jaan
Izat Mili Pehchan Bhe Poray Hoay Armaan Bhe
Ye Dharti Pakistan Ki Hy Hamari Jaan Bhe
Is Ki Himat Hy Jo Dykhy Maily Ankh Sy Essay
Es Ki Khatar Lain Gy Jaan Aur Kr Dain Gy Qurban Bhe

Sep 20, 2015 at 15:09
Category: political
Sponored Video