Search
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Kuch Ishq Tha Kuch Majbori Thi
Kuch Ishq Tha Kuch Majboori Thi So Main Ne Jeevan Waar Dia,
Main Kaisa Zinda Aadmi Tha, Ik Shakhs Ne Mujh Ko Maar Dia.
Ik Sabz Shaakh Gulab Ki Thi, Ik Duniya Apny Khwab Ki Thi,
Wo Ek Bahaar Jo Aai Nahi, Us K Liye Sab Haar Dia.
Ye Saja Sajaya Ghar Sathi Meri Zaat Nahi Mera Haal Nahi,
Ay Kash Kabhi Tum Jaan Sako, Is Sukh Ne Jo Aazaar Dia.
Main Khuli Hui Ik Sachai Mujhy Jan'ny Waly Janty Hen,
Main Ne Kin Logon Se Nafrat Ki Aur Kin Logon Ne Piyar Dia.
Wo Ishq Boht Mushkil Tha Mgr Aasan Na Tha Yun Jeena Bhi,,
Is Ishq Ne Zinda Rehny Ka Mujhy Zarf Dia Pindaar Dia..
,
Main Kaisa Zinda Aadmi Tha, Ik Shakhs Ne Mujh Ko Maar Dia.
Ik Sabz Shaakh Gulab Ki Thi, Ik Duniya Apny Khwab Ki Thi,
Wo Ek Bahaar Jo Aai Nahi, Us K Liye Sab Haar Dia.
Ye Saja Sajaya Ghar Sathi Meri Zaat Nahi Mera Haal Nahi,
Ay Kash Kabhi Tum Jaan Sako, Is Sukh Ne Jo Aazaar Dia.
Main Khuli Hui Ik Sachai Mujhy Jan'ny Waly Janty Hen,
Main Ne Kin Logon Se Nafrat Ki Aur Kin Logon Ne Piyar Dia.
Wo Ishq Boht Mushkil Tha Mgr Aasan Na Tha Yun Jeena Bhi,,
Is Ishq Ne Zinda Rehny Ka Mujhy Zarf Dia Pindaar Dia..
,
·
1 Like ·
May 01, 2016 at 09:05
Category: general
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Lutf Vo Ishq Main Paye Hain
Lutf Vo Ishq Main Paye Hain Kay Ji Janta Hai
Ranj Bhi Itne Uthaye Hain Kay Ji Janta Hai
Jo Zamane Kay Sitam Hain Vo Zamana Jane
Tune Dil Itne Dukhaye Hain Kay Ji Janta Hai
Tum Nahin Jante Ab Tak Ye Tumhare Andaz
Vo Mere Dil Main Samaye Hain Kay Ji Janta Hai
Dosti Main Teri Darparda Hamare Dushman
Is Qadar Apne Paraye Hain Kay Ji Janta Hai,
Ranj Bhi Itne Uthaye Hain Kay Ji Janta Hai
Jo Zamane Kay Sitam Hain Vo Zamana Jane
Tune Dil Itne Dukhaye Hain Kay Ji Janta Hai
Tum Nahin Jante Ab Tak Ye Tumhare Andaz
Vo Mere Dil Main Samaye Hain Kay Ji Janta Hai
Dosti Main Teri Darparda Hamare Dushman
Is Qadar Apne Paraye Hain Kay Ji Janta Hai,
·
1 Like ·
Apr 15, 2016 at 17:04
Category: love
Advertisement
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Ishq Junoon Release Date
·
0 Like ·
Apr 11, 2016 at 06:04
Category: when
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Haal Mat Pooch Ishq Karny Ka
Haal Mat Pooch Ishq Karny Ka..
Umar Jeenay Ki, Shoq Marny Ka.
Wo Mohabbat Ki Ahtiyat K Din..
Haaye Mosam Wo Khud Se Darny Ka..
Ab Usy Aayiny Se Nafrat Hai..
Kal Jisy Shoq Tha Sanwarny Ka.
Khud Kushi Ko Bhi Rayigan Na Samjh..
Kaam Ye Bhi Hai Kr Guzrny Ka..
Umar Bhar K Azaab Se Mushkil..
Ek Lamha Sawal Karny Ka..
Khoon Rona Bhi Ek Hunar Thehra..
Baanjh Mosam Mein Rang Bharny Ka..
Toot'ty Dil Ko Shoq Hai MOHSIN,,
Soorat-E-Barg-E-Gul Bikharnay Ka..,
Umar Jeenay Ki, Shoq Marny Ka.
Wo Mohabbat Ki Ahtiyat K Din..
Haaye Mosam Wo Khud Se Darny Ka..
Ab Usy Aayiny Se Nafrat Hai..
Kal Jisy Shoq Tha Sanwarny Ka.
Khud Kushi Ko Bhi Rayigan Na Samjh..
Kaam Ye Bhi Hai Kr Guzrny Ka..
Umar Bhar K Azaab Se Mushkil..
Ek Lamha Sawal Karny Ka..
Khoon Rona Bhi Ek Hunar Thehra..
Baanjh Mosam Mein Rang Bharny Ka..
Toot'ty Dil Ko Shoq Hai MOHSIN,,
Soorat-E-Barg-E-Gul Bikharnay Ka..,
·
1 Like ·
Apr 08, 2016 at 01:04
Category: sad
Poetry / Poetry Sms
Muzammil Shahzad
Kehte Hain Ishq Naam K
kehtay hain ishq naam kay guzray hain ik buzurg
hum log bhi mureed usi silsilay kay hain
hum log bhi mureed usi silsilay kay hain
·
1 Like ·
Apr 06, 2016 at 16:04
Category: poetry-sms
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Charag E Ishq Jalane Ki Rat Ai Hai
Charag-e-ishq jalane ki rat ai hai
Kisi ko apna banane ki rat ai hai
Falak ka chand bhi sharma ke mounh chupayega
Naqab rukh se uthane ki rat ai hai
Nigah-e-saqi se paiham chalak rahi hai sharab
Pio kay pine pilaney ki rat ai hai
Wo aj aeye hain mahfil main chandni lekar
Kay roshani main nahane ki rat ai hai
Kisi ko apna banane ki rat ai hai
Falak ka chand bhi sharma ke mounh chupayega
Naqab rukh se uthane ki rat ai hai
Nigah-e-saqi se paiham chalak rahi hai sharab
Pio kay pine pilaney ki rat ai hai
Wo aj aeye hain mahfil main chandni lekar
Kay roshani main nahane ki rat ai hai
·
1 Like ·
Mar 15, 2016 at 17:03
Category: sad
Social Wall / Text
Abdul Sattar
Ishq Qatil Sy Bhi Maqtool Sy Hamdardi Bhi.
Ishq Qatil sy bhi , Maqtool sy Hamdardi bhi ..
ye tou bta kIs sy Mohabbat ki Jaza mangay ga ?
SaJda KhalIq ko bhi , Iblees sy yaraana bhi ..
Hashar mein kis sy Aqeedat ka sila mangay ga ?
Shab Bakher.
ye tou bta kIs sy Mohabbat ki Jaza mangay ga ?
SaJda KhalIq ko bhi , Iblees sy yaraana bhi ..
Hashar mein kis sy Aqeedat ka sila mangay ga ?
Shab Bakher.
·
1 Like ·
Mar 15, 2016 at 11:03
Category: text
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aye Ishq Na Chhed Aa Aa Ke Hamein,
Aye Ishq Na Chhed Aa Aa Ke HaMein,
HuM Bhule Huwon Ko Yaad Na Kar,
Pehle Hi Bahut Nashaad Hai HuM,
Tu Aur HaMein Nashaad Na Kar,
QisMat Ka SitaM Hi KaM Nahi Kuch,
Ye Taaza SitaM Ijaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Jis Dinse Mile Hai Dono Ka
Sab Chain Gaya AaraM Gaya,
Chehron Se Bahar-E-Subah Gayi,
Aankhon Se Farog-E-ShaaM Gaya,
Hathonse Khushi Ka JaaM Chhuta,
Hothonse Hansi Ka NaaM Gaya,
GaMgeen Na Bana Naashaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Raaton Ko Uth Uth Rote Hai,
Ro Ro Kar Duwayein Karte Hai,
Aankhon Mein Tasavvur Dil Mein Khalish,
Sar Dhunate Hai Aahein Bharte Hai,
Aye Ishq Ye Kaisa Rog Laga,
Jeete Hai Na ZaaliM Marte Hai,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Ye Rog Laga Hai Jab Se HaMein,
Ranjeeda Hun Main BeeMar Hai Wo,
Har Waqt Tapish Har Waqt Khalish,
Be-Khwaab Hun Main Bedaar Hai Wo,
Jeene Se Idhar Bezaar Hoon Main,
Maranbe Pe Udhar Taiyar Hai Wo,
Aur Zabt Kahe Fariyaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Bedard Zara Insaaf To Kar,
Is UMr Mein Aur MagMoon Hai Wo,
Phoolon Ki Tarah Nazuk Hai Abhi,
Taaron Ki Tarah MasooM Hai Wo,
Ye Husn SitaM Ye Ranj Gazab,
Majboor Hoon Main MazluM Hai Wo,
MazluM Pe Yun Bedaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Aye Ishq Khuda Raa Dekh Kahin,
Wo Shokh Haseen BadnaaM Na Ho,
Wo Maah-E-Laqaa BadnaaM Na Ho,
Wo Zohra-Jabeen BadnaaM Na Ho,
NaaMuus Ka Usko Paas Rahe,
Wo Parda-Nasheen BadnaaM Na Ho,
Us Parda-Nasheen Ko Yaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
UMMid Ki Jhuthi Jannat Ki,
Reh Reh Ke Na Dikha Khwab HaMein,
Aayinda Ke Farzi Ishrat Ke,
Waade Se Na Kar Betaab HaMein,
Kehata Hai ZaMana Jis Ko Khushi,
Aati Hai Nazar KaaMyab HaMein,
Chhod Aisi Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Do Din Hi Mein Ahad-E-Tifali Ke
MasooM ZaMane Bhul Gaye,
Aankhon Se Wo Khushiyaan Mit Si Gayi,
Lab Ke Wo Tarane Bhool Gaye,
Un Paak Bahishti Khwabon Ke,
Dilchasp Fasane Bhool Gaye,
Un Khwabon Se Yun Azaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Aankhon Ko Ye Kya Aazaar Hua,
Har Jazb-E-Nihaan Par Ro Dena,
Aahang-E-Tarab Pe Jhuk Jaana,
Aawaz-E-Fugaan Par Ro Dena,
Parbat Ki Sada Par Ro Dena,
Mutrib Ke Bayan Par Ro Dena,
Ehsaas Ko GaM Buniyaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Jee Chahta Hai Ek Dusre Ko
Yun Aath Peher HuM Karein,
Aankhon Mein Basaye Khwabon Ko,
Aur Dilko Khayal Abaad Karein,
Khilvat Mein Bhi Jo Jalvat Ka SaMaan,
Wahadat Ko Dui Se Shaad Karein,
Ye Aarzuyein Ijaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Wo Raaz Hai Ye GaM Aah Jise,
Paa Jaye Koi To Khair Nahi,
Aankhonse Jab Aansu Behte Hai,
Aa Jaye Koi To Khair Nahi,
ZaaliM Hai Ye Duniya Dilko
Yahan Bhaa Jaye Koi Khair Nahi,
Hai ZulM Magar Fariyaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Duniya Ka TaMasha Dekh Liya,
GaMgeen Si Hai Betaab Si Hai,
UMMid Yahan Ek WahaM Si Hai,
Taskeen Yahan Ek Khwaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ka NaaM Nahi,
Duniya Mein Khushi Nayaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar...
HuM Bhule Huwon Ko Yaad Na Kar,
Pehle Hi Bahut Nashaad Hai HuM,
Tu Aur HaMein Nashaad Na Kar,
QisMat Ka SitaM Hi KaM Nahi Kuch,
Ye Taaza SitaM Ijaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Jis Dinse Mile Hai Dono Ka
Sab Chain Gaya AaraM Gaya,
Chehron Se Bahar-E-Subah Gayi,
Aankhon Se Farog-E-ShaaM Gaya,
Hathonse Khushi Ka JaaM Chhuta,
Hothonse Hansi Ka NaaM Gaya,
GaMgeen Na Bana Naashaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Raaton Ko Uth Uth Rote Hai,
Ro Ro Kar Duwayein Karte Hai,
Aankhon Mein Tasavvur Dil Mein Khalish,
Sar Dhunate Hai Aahein Bharte Hai,
Aye Ishq Ye Kaisa Rog Laga,
Jeete Hai Na ZaaliM Marte Hai,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Ye Rog Laga Hai Jab Se HaMein,
Ranjeeda Hun Main BeeMar Hai Wo,
Har Waqt Tapish Har Waqt Khalish,
Be-Khwaab Hun Main Bedaar Hai Wo,
Jeene Se Idhar Bezaar Hoon Main,
Maranbe Pe Udhar Taiyar Hai Wo,
Aur Zabt Kahe Fariyaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Bedard Zara Insaaf To Kar,
Is UMr Mein Aur MagMoon Hai Wo,
Phoolon Ki Tarah Nazuk Hai Abhi,
Taaron Ki Tarah MasooM Hai Wo,
Ye Husn SitaM Ye Ranj Gazab,
Majboor Hoon Main MazluM Hai Wo,
MazluM Pe Yun Bedaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Aye Ishq Khuda Raa Dekh Kahin,
Wo Shokh Haseen BadnaaM Na Ho,
Wo Maah-E-Laqaa BadnaaM Na Ho,
Wo Zohra-Jabeen BadnaaM Na Ho,
NaaMuus Ka Usko Paas Rahe,
Wo Parda-Nasheen BadnaaM Na Ho,
Us Parda-Nasheen Ko Yaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
UMMid Ki Jhuthi Jannat Ki,
Reh Reh Ke Na Dikha Khwab HaMein,
Aayinda Ke Farzi Ishrat Ke,
Waade Se Na Kar Betaab HaMein,
Kehata Hai ZaMana Jis Ko Khushi,
Aati Hai Nazar KaaMyab HaMein,
Chhod Aisi Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Do Din Hi Mein Ahad-E-Tifali Ke
MasooM ZaMane Bhul Gaye,
Aankhon Se Wo Khushiyaan Mit Si Gayi,
Lab Ke Wo Tarane Bhool Gaye,
Un Paak Bahishti Khwabon Ke,
Dilchasp Fasane Bhool Gaye,
Un Khwabon Se Yun Azaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Aankhon Ko Ye Kya Aazaar Hua,
Har Jazb-E-Nihaan Par Ro Dena,
Aahang-E-Tarab Pe Jhuk Jaana,
Aawaz-E-Fugaan Par Ro Dena,
Parbat Ki Sada Par Ro Dena,
Mutrib Ke Bayan Par Ro Dena,
Ehsaas Ko GaM Buniyaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Jee Chahta Hai Ek Dusre Ko
Yun Aath Peher HuM Karein,
Aankhon Mein Basaye Khwabon Ko,
Aur Dilko Khayal Abaad Karein,
Khilvat Mein Bhi Jo Jalvat Ka SaMaan,
Wahadat Ko Dui Se Shaad Karein,
Ye Aarzuyein Ijaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Wo Raaz Hai Ye GaM Aah Jise,
Paa Jaye Koi To Khair Nahi,
Aankhonse Jab Aansu Behte Hai,
Aa Jaye Koi To Khair Nahi,
ZaaliM Hai Ye Duniya Dilko
Yahan Bhaa Jaye Koi Khair Nahi,
Hai ZulM Magar Fariyaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar,
Duniya Ka TaMasha Dekh Liya,
GaMgeen Si Hai Betaab Si Hai,
UMMid Yahan Ek WahaM Si Hai,
Taskeen Yahan Ek Khwaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ka NaaM Nahi,
Duniya Mein Khushi Nayaab Si Hai,
Duniya Mein Khushi Ko Yaad Na Kar,
Aye Ishq HaMein Barbaad Na Kar...
·
1 Like ·
Mar 05, 2016 at 09:03
Category: sad
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Direct Ishq Release Date
·
0 Like ·
Dec 21, 2015 at 10:12
Category: when
Sponored Video