Search
Poetry / 0
Hafeez Ur Rehman
Dil Mein Ik Tasveer Chupi Thi
dil mein ik tasveer chupi thee, aa basi hai ankhoon mein
shaid hum nay aaj ghazal see baat likhi hai ankhoon mein
jaisay aik asaami larki mandar kay darvaazay par
shaam diyoon ke thaal sajaye jhaank rahi hai ankhoon mein
iss romaal ko kaam mein laoon apni palkain saaf karoo
mayla mayla chand nahi hai dhool jami hai ankhoon mein
parhta ja yeh manzar nama zard azeem paharoon kaa
dhoop khili palkoon kay opar, baraf jami hai ankhon mein
mein nay aik novell likha hai anay wali subah kay naam
kitni ratoon jaaga hon, neend bhari hai ankhoon mein

·
4 Like ·
May 12, 2021 at 14:05
Category: 0
Poetry / Love
Nadeem Jamal
Ik Shakhs Jo Mera Yar Hota Tha
ik shakhs jo mera yar hota tha
apny sy ziada us peh aitibar hota tha
phir yon howa k muj sy roth geya wo shaid
warna na muj sy uska takrar hota tha
donoo main thi rafaqatian aur ulfatain b thi
usko b shaid muj sy bohat payar hota tha
ik din yon howa k rabtaiy b na rahay
jiskay didar ka ham ko intizar hota tha
samaj saka na muj ko NAZ bus dukh hai yahi
warna to us peh jan-o-dil nisar hota tha

1 Like ·
Dec 06, 2018 at 15:12
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Ijunoon
Bhir Mein Ik Ajanabii Kaa Samnaa Acha Lagaa
bhir mein ik ajanabii kaa samnaa acha lagaa
sab se chhup kar vo kisii kaa dekhanaa achchhaa lagaa
surmaii aaNkhon ke niiche phuul se khilne lage
kehtey kehtey kuch kisii kaa sochanaa acha lagaa
baat to kuch bhii nahi thi lekin us kaa ek dam
haath ko honTon pe rakh kar rokanaa acha lagaa
chaay mein chiinii milaanaa us ka bhaayaa bahut
zer-e lab vo muskuraataa shukriyaa acha lagaa
dil mein kitane ehad baaNdhe thay bhulaane ke use
vo milaa to sab iraade tornaa acha lagaa
beiraadaa lams kii vo sansanii pyaarii lagii
kam tavajjo aaNkh kaa vo dekhanaa acha lagaa
us jaan e-mann ko 'Amjad' main buraa kaise kahuN
jab bhii aayaa saamane vo bevafaa acha lagaa

2 Like ·
Nov 27, 2018 at 23:11
Category: love
Poetry / Love
Ijunoon
Aah Ko Chaahiye Ik Umr Asar Hone Tak
aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak
ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak
partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak
yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil
garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak

Nov 26, 2018 at 23:11
Category: love
Poetry / Love
Rafeeq
Bichhra Hai Jo Ik Bar To Milty Nahi Dekha
Bichhra hai jo ik bar to milty nahi dekha
Is zakham ko hum ny kabhi silty nahi dekha
Ik bar jisy chaat gayi dhoop ki khwahish
phir shakh peh us phool ko khiltay nahi dekha
Yak lakht gira hai to jaren tak nikal ayin
Jis paer ko aandhi mein bhi hiltay nahi dekha
Kanton me ghiry phool ko choome gaye lakin
Titlee k paron ko kabhi chiltay nahi dekha
Kis tarha meri rouh huri kar gya akhir
Woh zeher jisay jism me khiltay nahi dekha

Nov 21, 2018 at 17:11
Category: love
Jokes / Miscellaneous
Sehar Saeed
Ik Bili Badi Tezi Say Bhag Rahi Thi
ik bili badi tezi say bhag rahi thi ik admi os say poshta hai k kia hoa woo kehti haik sher ma ik kotay k katal hoa hai or police walay mugh par shak kar rahay hai.
·
0 Like ·
Nov 09, 2018 at 17:11
Category: miscellaneous
Poetry / General
Safia Saeed
Harf E Tasalli... Tou Ik Tukf Hai
·
4 Like ·
Oct 31, 2018 at 04:10
Category: general
Poetry / Sad
Mohammad Afzal
Tars Jao Ge Hamara Labon Se Sun Ne Ko Ik Ik Lafz
tars jao ge hamara labon se sun ne ko ik ik lafz
pyaar ki baat to kya ham shikhayat bhi na karenge

5 Like ·
Oct 27, 2018 at 10:10
Category: sad
Jokes / Miscellaneous
Abdulla Amin
Ik Dafa Ik Jaj Ne.......................
JAJ:
WAKEEL SAHAB AAP AGER MULZIM KO KOI TAJVEEZ (ADVICE) DENA CHAHTEY HEIN TO IS KONEY PE JA KER IN KO KEH SAKTEY HEIN
WAKEEL:
OK MY LORD
(WAKEEL MULZIM KO KONEY PE LE JA KER IS KO KUCH KEHTA HE JAB WAPIS AATA HE TO IS KE SAATH MULZIM NEHI HOTA JAJ HERAAN HO KER POOCHTA HE KE)
JAJ:
MULZIM KAHAAN HE
WAKEEL:
MY LORD ME NE IS KO KHA KE TUM YAHAAN SEY BHAG JAO MEREY PAAS IS SEY ZIADAH ACHI TAJVEEZ NEHI THE

3 Like ·
Sep 06, 2018 at 10:09
Category: miscellaneous
Jokes / Miscellaneous
Waqas Moti
Ik Shaks Apney......................
ik shaks ne apney dost se kha. ""kion bhai tum ne ganey ki practice kion chor di"".
dost:""apney galey ki wajah se"" dost ne aah bher ker kha.
doosra dost:""kion bhai tumharey galey ko kia hua"" is shaks ne heret se poocha.
dost ne afsurdah ho ker javab dia:
""kuch nehi bas hamsaioon (naibhours) ne dubaney ki dhamki di he"".

Sep 02, 2018 at 12:09
Category: miscellaneous
Sponored Video