Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ab Raat Se Dar Lagta Hai
Baat Din Ki Nahi, Ab Raat Se Darr Lagta Hai
Ghar Hai Kacha Mera, Barsaat Se Dar Lagta Hai
Tere Tohfay Ne To Bas Khoon Ke Aansoo Hi Diye
Zindagi Ab Teri Saughaat Se Dar Lagta Hai
Pyaar Ko Chor Ker Tum Aur Koi Baat Karo
Ab Mujhay Pyaar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai
Meri Khaatir Na Wo Bandnaam Kahein Ho Jaein
Iss Liye Unn Ki Mulaqaat Se Dar Lagta Hai

·
1 Like ·
Mar 18, 2016 at 21:03
Category: sad
Poetry / Love
Bus Itni Mohabbat Kaafi Hai
Bus Itni Mohabbat Kaafi Hai
Tum Hans K Milo Pholon Ki Tarha
Din Rat Katein Khawabon Ki Tarha
Aawara Hawa Lehra K Chalay
Lehra K Chalay Jub Sham Dhalay
Ek Pehar Dhalay Tum Hans K Milo
Bus Etni Mohabat Kaafi Hai
Tum Sath Raho Sanson Mein Raho
Tum Pas Raho Banhon Mein Raho
Tum Dil Mein Raho Dharrkan Ki Tarha
Bus Etni Mohabat Kaafi Hai... .
Tum Hans K Milo Pholon Ki Tarha
Din Rat Katein Khawabon Ki Tarha
Aawara Hawa Lehra K Chalay
Lehra K Chalay Jub Sham Dhalay
Ek Pehar Dhalay Tum Hans K Milo
Bus Etni Mohabat Kaafi Hai
Tum Sath Raho Sanson Mein Raho
Tum Pas Raho Banhon Mein Raho
Tum Dil Mein Raho Dharrkan Ki Tarha
Bus Etni Mohabat Kaafi Hai... .
·
1 Like ·
Mar 18, 2016 at 15:03
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai
Mudat Hui Ek Shakhs Ko Bichrey Lekin
Aaj Tak Maire Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai
Woh Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahin
Abhi To Maire Sar Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai
Kashti Zara Kinarey Ke Kareeb Hi Rakhna
Biphri Hui Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai
Ghamon Say Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhein
Ke Abhi To Maire Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai
Jaa Chuke Hain Sab Log Khamosh Pari Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai.

Mar 17, 2016 at 20:03
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Hum Aftaab Se Dhaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Hum Aftaab Se Dhaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Khud Apni Agg Mai Jaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Jo Sang Tout Na Paye Jahan Ki Kosish Se
Humaray Ghum Mai Pighaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Tabahiyoon Pay Humari Jo Kal Tak Khush Thay
Sunna Hai Hath Wo Maltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Tumhari Raah Mai Ankhain Bichaa Rahay Thay Kabhi
Jo Ajj Raah Badaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Bulandiyoon Pay Na Dhoondho Kay Johar-e-Nayaab
Zamee'n Ki Goud Mai Paltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Zamaana Jaisay Behalta Hai Meri Jaan Hum Se Bhi
Usi Terha Se Behaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain
Hum Aabb-e-Saaim Ki Manind Sari Raat Adeel
Bina Tumharay Machaltay Hain Kuch Khaber Hai Tumhain

Mar 16, 2016 at 20:03
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meray Wahm O Guman Say Bhi Ziadah Roth Jata Hai
Meray Wahm-O-Guman Say Bhi Ziadah Roth Jata Hai
Ye Dil Apni Hadoon Main Reh Kar Itna Toot Jata Hai
Main Roun To Dar-O-Dewaar Mujh Pe Hansnay Lagtay Hain
Hanson To Meray Andar Janay Kya Kya Toot Jata Hai
Main Jis Lamhay Ki Khawhish Main Safar Karta Hon Sadiyon Ka
Kahin Paon Talay Aa Kar Wo Lamha Toot Jata Hai
Meray Khawabon Ki Basti Say Janazay Uthtay Jatay Hain
Meri Aankhain Jisay Chhu Lain Wo Sapna Toot Jata Hai….

Mar 16, 2016 at 13:03
Category: love
Articles / Featured
Ijunoon
Ab Khala Mein Bhi Sans Liya Ja Sakta Hai
ماہر فلکیات نے ایک لمبے عرصے تک کی جانے والی کوششوں اور تحقیقات کے بعد بلآخر خلا میں مالیکیولر آکسیجن دریافت کر لی ہے۔ حالانکہ اس سے پہلے بھی خلا میں آکسیجن کے ایٹم تلاش کیے جا چکے ہیں لیکن یہ پہلی مر...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Mar 16, 2016 at 07:03
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Charag E Ishq Jalane Ki Rat Ai Hai
Charag-e-ishq jalane ki rat ai hai
Kisi ko apna banane ki rat ai hai
Falak ka chand bhi sharma ke mounh chupayega
Naqab rukh se uthane ki rat ai hai
Nigah-e-saqi se paiham chalak rahi hai sharab
Pio kay pine pilaney ki rat ai hai
Wo aj aeye hain mahfil main chandni lekar
Kay roshani main nahane ki rat ai hai

Mar 15, 2016 at 17:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai
Mat Tor Woh Taluk Jo Teri Zaat Se Hai,
Tu Khafa Meri Kis Baat Se Hai,
Tu Bhi Na Uljha Kar Mujhse Is Tarah,
Jo Tu Achi Tarah Wakif Mere Jazbat Se Hai,
Main Kaise Ji Lon Tumse Rooth Kar,
Meri Har Saans Wabasta Teri Yaad Se Hai,
Mera Taluk Jura Hai Kuch Is Tarah Tumse,
Jaise Insan Ka Rishta Khud Apnay Ap se Hai......!!!!

Mar 14, 2016 at 16:03
Category: love
Social Wall / Photos
Anmol Rubab
Hazrat Abu Saeed (r.a) Se Riwayat Hai.
·
3 Like ·
Mar 13, 2016 at 03:03
Category: photos
Sponored Video