Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Kaha Tha Yaad Hai Tum Ne
Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon chand,
Aur tum chandni meri,
Magar jab chand chup jaye,
Kaho phir chandni kesi ?
Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon phool,
Aur tum phool ki khushbu,
Magar jab phool murjhaye,
Kaho khushbu bhala kesi,
Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon dil,
Aur tum dharkan,
Magar dil toot jaye to,
Kaho phir dharknain kesi,
Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon aas,
Aur tum zindagi meri,
Magar jab aas tootey to,
Kaho phir zindagi kesi…??
Ke main hoon chand,
Aur tum chandni meri,
Magar jab chand chup jaye,
Kaho phir chandni kesi ?
Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon phool,
Aur tum phool ki khushbu,
Magar jab phool murjhaye,
Kaho khushbu bhala kesi,
Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon dil,
Aur tum dharkan,
Magar dil toot jaye to,
Kaho phir dharknain kesi,
Kaha tha yaad hai tum ne,
Ke main hoon aas,
Aur tum zindagi meri,
Magar jab aas tootey to,
Kaho phir zindagi kesi…??
·
1 Like ·
Jan 08, 2018 at 22:01
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Zaban Khamosh Hoti Hain Nazar Se Kaam Hota Hai
Zaban Khamosh Hoti Hain Nazar Se kaam Hota Hai
Isi Mahool Ka Shayad Mohabbat Naam Hoti Hai
Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai
Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti Hai
Jab unse kaha ki tasavur me Dil Aapko Sajde Karta hai
Vo Kahne Lage Tum Karte Raho Ye Khas Ibadat Hoti Hai
Dil Torte Hain Phir Jorte Hain, Rula Ke humen bahlate Hain
Yeh Raaz Khula Dilvalon Me Reulvane Ki Aadat Hoti Hai
Kun Jhutha Vada Karte Ho, Jab Maine Kaha To Kahne Lage
Nadan Ho tum, Vaade Se Mere Kuch Der To Rahat Hoti Hai
Andaz bahakne Lagta Hai, Baton Me shararat Hoti Hai
Ankhon Se pata Chal jata Hai Jis Dil Me Muhabbat Hoti hai...

2 Like ·
Jan 08, 2018 at 10:01
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Jaane Us Shaks Ko Kesa Yeh Hunar Aata Hai
Jaane us shaks ko kesa yeh hunar aata hai
Raat hote hi aankhon mein utar jata hai
Mein Us kay khayal se nikaloon to kahan jaon
Wo meri soch kay har raste pe nazar aata hai...!
Raat hote hi aankhon mein utar jata hai
Mein Us kay khayal se nikaloon to kahan jaon
Wo meri soch kay har raste pe nazar aata hai...!
·
1 Like ·
Jan 07, 2018 at 16:01
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Bhaley Dino Ki Baat Hai
bhaley dino ki baat hai
bhali si aik shakl thii
na yeh ke husn-e-tam ho
na dekhney main aam ho
na yeh ko woh chaley to
kehkashaan sey rehguzar lagey
magar woh sath ho to phir
bhala bhala safar lagey
koi bhi rut ho uski chab
fiza ka rang roop thii
woh garmyon ki chaon thi
woh sardiyon ki dhoop thi
na umr bhar juda rahey
na sath subah shaam ho
na wada-e-wafa pe zor
na yeh ke izn-e-aam ho
na itni khush libasiyaan
ke sadgi gila karey
na itni betakallufi
ke aayeena haya karey
na ikhtilaat main woh ram
ke bemaza ho khuwahishain
na is qadar supurdugi
ke zich karain nawazishain
na aashiqui junuun ki
ke zindagii azaab ho
na is qadar kathor pan
ke dosti kharab ho
kabhii to baat bhii khafii
kabhii sukuut bhii sukhan
kabhii to kasht-e-zaafran
kabhii udasiyon ka ban
suna hai ek umr hai
muamilaat-e-dil ki bhii
wisaal-e-janfiza to kiya
firaq-e-jangusal ki bhii
so ek roz kiya hua
wafa pe behes chir gayee
main ishq ko amar kahoon
woh meri zid sey chir gayee
main ishq ka aseer tha
woh ishq ko qafas kahey
ke umr bhar ke sath ko
woh bad-tar az hawas kahey
shajar, hajar nahiin ke hum
humesha pa-ba-gil rahein
na dhaur hain ke rassiyaan
galey main mustaqil rahein
mohabbaton ki wusatain
humarey dast-o-paa main hain
ke eik dar sey nisbatain
sagaan-e-bawafa main hain
main koii painting nahiin
ke ek frame main rahoon
wohii jo man ka meet ho
usi ke prem main rahoon
tumhari jo bhii soch ho
main us mizaaj kii nahiin
mujhey wafa sey bair hai
yeh baat aaj ki nahiin
na us ko mujh pe zuam tha
na mujh ko us pe naaz hii
jab ehad hii koii na ho
to kiya gham-e-shikastagii
so apna apna raasta
hansii khushii badal diya
woh apnii rah chal parii
main apnii rah chal diya
bhalii si ek shakl thii
bhalii si uski dostii
ab us kii yaad raat din
nahii magar kabhii kabhii
bhali si aik shakl thii
na yeh ke husn-e-tam ho
na dekhney main aam ho
na yeh ko woh chaley to
kehkashaan sey rehguzar lagey
magar woh sath ho to phir
bhala bhala safar lagey
koi bhi rut ho uski chab
fiza ka rang roop thii
woh garmyon ki chaon thi
woh sardiyon ki dhoop thi
na umr bhar juda rahey
na sath subah shaam ho
na wada-e-wafa pe zor
na yeh ke izn-e-aam ho
na itni khush libasiyaan
ke sadgi gila karey
na itni betakallufi
ke aayeena haya karey
na ikhtilaat main woh ram
ke bemaza ho khuwahishain
na is qadar supurdugi
ke zich karain nawazishain
na aashiqui junuun ki
ke zindagii azaab ho
na is qadar kathor pan
ke dosti kharab ho
kabhii to baat bhii khafii
kabhii sukuut bhii sukhan
kabhii to kasht-e-zaafran
kabhii udasiyon ka ban
suna hai ek umr hai
muamilaat-e-dil ki bhii
wisaal-e-janfiza to kiya
firaq-e-jangusal ki bhii
so ek roz kiya hua
wafa pe behes chir gayee
main ishq ko amar kahoon
woh meri zid sey chir gayee
main ishq ka aseer tha
woh ishq ko qafas kahey
ke umr bhar ke sath ko
woh bad-tar az hawas kahey
shajar, hajar nahiin ke hum
humesha pa-ba-gil rahein
na dhaur hain ke rassiyaan
galey main mustaqil rahein
mohabbaton ki wusatain
humarey dast-o-paa main hain
ke eik dar sey nisbatain
sagaan-e-bawafa main hain
main koii painting nahiin
ke ek frame main rahoon
wohii jo man ka meet ho
usi ke prem main rahoon
tumhari jo bhii soch ho
main us mizaaj kii nahiin
mujhey wafa sey bair hai
yeh baat aaj ki nahiin
na us ko mujh pe zuam tha
na mujh ko us pe naaz hii
jab ehad hii koii na ho
to kiya gham-e-shikastagii
so apna apna raasta
hansii khushii badal diya
woh apnii rah chal parii
main apnii rah chal diya
bhalii si ek shakl thii
bhalii si uski dostii
ab us kii yaad raat din
nahii magar kabhii kabhii
·
1 Like ·
Jan 07, 2018 at 10:01
Category: love
Jokes / Miscellaneous
Abdul Rehman Rehman
Umeed Pe Duniya Qaim Hai
Ek Gadha: Yaar mera malik muje bohat maarta hai
Doosra Gadha: To tu bhaag q nahee jata?
Pehla Gadha: Bhaag to jata... par yahan future bara bright hai... malik ko khoobsoorat beti jab koi shararat karti hai to to malik kehta hai, " Teri Shadi Gadhe Se Kardooga " ....

Jan 07, 2018 at 00:01
Category: miscellaneous
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mujhe Acha Sa Lagta Hai
Tum he ko dekhte rehna
Tum he ko chahte rehna
Tum he ko sochte rehna
Tum he ko sunte rehna
buhat gehre khyalon mai
jawabon mai
sawalon mai
muhabbat k hawalon mai
Tumhara naam aa jana mujhe acha sa lagta hai
Tumhare sang sang chalna
wafa ki aag mai jalna
Tumhe naraz kar dena
kabi khud b roth jana
Tumhari be rukhi pe b tumhari arzoo karna
kabhi apne dil ki dhahkan se tumhari guftugo karna
Mujhe acha sa lagta hai.

Jan 06, 2018 at 03:01
Category: love
Social Wall / Videos
Bollywood Music Videos
Kick: Hai Yehi Zindagi
·
0 Like ·
Jan 06, 2018 at 00:01
Category: videos
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ajab Pagal Si Larki Hai
Ajab pagal si larki hai,
Mujhe her khat main lekhti hai,
Mujhe tum yaad karty ho?
Tumhain main yaad ati houn?
Meri baaten satati hain,?
Meri neenden jagati hain,?
Meri aankhen rulati hain,?
December ki sunhairi dhoop main,
Ab bhi tehaltay ho..?
Kisi khamosh raaste se koi awaz ati hai,?
Thetherti sard Raaton main ab bhi tum chath per jate ho.?
Falak k sab sitaron ko meri sab baaten sunate ho.?
Kitabon se tumhare ishq main koi kami ai?
Ya meri yaad ki shedat se aankhon main nami ai?
Ajab pagal si larki hai,mujhe her khat main lekhti hai.
Jawaban us ko lekhta houn....
Meri masrofeat dekho.
Subha se sham office main charagh-e-umar jalta hai,
Phir us k bhad duniya ki kayi majboriyan,
Paon main bariyan daal rekhti hain,
Mujhe be fakir chahat se bhare sapne nahi dikhte,
Thelne jaagne ki mohlat hi nahi milti,
Sitaron se mily arsa howa naraz houn shayed,
kitabon se shghaf mera abi wasy hi qaim hai,
Fark itna pera hai ab inhain arsay main perhta houn,
Tumhain kis ne kaha pagli, Tumhain main yaad karta houn,.!
Main khud ko bhoolane ki musalsal justjoo main houn,
Tumhain na yaad aney ki musalsal justjoo main houn,
Mager ye justjoo meri bahot nakaam rehti hai,
Mere din raat main ab bhi tumhari sham rehti hai,
Mere lafzon ki her maala tumhary naam rehti hai,
Tumhain kis ny kaha pagli,Tumhain main yaad karta houn.!
Purani baat jo log aksar gun-gunate hain,
Unhain hum yaad karte hain jinhain hum bhool jate hain,
Ajab pagal si larki hai,
Meri masrofeat dekho,
Tumhain dil se bhulayon to,
Tumhari yaad aye na
Tumhain dil se bhulane ki mujhe fursat nahi milti,
Aur is masroof jeeven main,
Tumharay khat ka aik jumla,
'Tumhain main yaad ati houn'
Meri chahat ki shidat main kami hone nahi deyta,
Bohat raatein jagata hai mujhe sonne nahi deyta,
So agli bar khat main ye jumla nahi lekhna,
Ajab pagal si larki hai,
Mujhe phir bhi lekhti hai,
Mujhe tum yaad karte ho?
Tumhain main yaad ati houn

Jan 05, 2018 at 14:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Baat Din Ki Nahi Mujhe Raat Se Dar Lagta Hai
Baat Din Ki Nahi Mujhe Raat Se Dar Lagta Hai
Ghar Kacha Hai Mera, Mujhe Barsat Se Darr Lagta Hai,
Tere Tohfy Ne Diye Mujhe Khoon K Aansu
Zindgi Ab Teri Har Sogaat Se Dar Lagta Hai,
Chhoro Piyar Ki Batain Koi Or Baat Karo
Ab To Piyar Ki Har Baat Se Dar Lagta Hai,
Meri Khatir Tu Kahin Badnaam Na Ho Jaye
Es Liye Teri Har Mulaqat Se Dar Lagta Hai,
Apno Mein Reh Kar Kuch Aisy Zakham Khaye
Humein Ay Dost Apni Zaat Se Dar Lagta Hai !

Jan 04, 2018 at 20:01
Category: sad
Sponored Video