Search
Poetry / General
Aditya
Aisa Lagta Hai
Aisa lagta hai zindagi tum ho Ajnabee
kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee ...!!
Justaju meree aakhree tum ho...
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane k aadmee tum ho?
kaise ajnabee tum ho?
Main zameen par ghana andhera hoon
Aasmaanon ki chaandini tum ho
Ab koi aarzoo nahin baakee ...!!
Justaju meree aakhree tum ho...
Doston-se wafa ki ummeeden!
Kis zamaane k aadmee tum ho?
·
1 Like ·
May 13, 2015 at 02:05
Category: general
Poetry / Love
Adil Iftikhar
Acha Lagta Hai
Os ke bina ab chup chap rehna acha lagta hai
Khamoshi sey dard ko sehna acha lagta hai
Jis hasti ki yaad mein Aanso barstey hain
Samne os ke kuch naa kehna acha lagta hai
Mil kar os se Bichar naa jaaon darta rehta hon,
is liye bas door hi rehna acha lagta hai
janta hon ke chahat mein bas Aanso milte hain,
Kuch bhi ho ab is zehar ko peena acha lagta hai
Je chahey sab khushiyan laa kar os ko de doon,
Os ke pyaar mein sab kuch khona acha lagta hai
Os ka milna naa milna Qismat ki baat hai,
Pal Pal os ki yaad mein roona acha lagta hai

May 11, 2015 at 13:05
Category: love
Advertisement
Articles / Featured
Ijunoon
Insani Dimagh Sukar Raha Hai Report
جدید ٹیکنالوجی کے اس دورمیں جہاں انسان چاند کے بعد خلاں کو تسخیر کرکے دوسری دنیا تک رسائی کی باتیں کررہا ہے وہاں ماہرین کے اس انکشاف نے، کہ انسانی دماغ سکڑرہا ہے سائنسدانوں کو بہت کچھ سوچنے پر مجبور ک...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
May 11, 2015 at 10:05
Category: featured
Poetry / 24
Fatima Zehra
Mout Ko Aana Hi Hai
Ja rahi hai jaan jisko ek din jana hi hai
Zindgi ke baad yaron maut ko aana hi hai.
Yeh zindgi aisi jisse hai sabko jeena
Kabhi to hasna hai kabhi to hai rona.
Aana jana duniya me sabka hai laga
Na koi chota hai na koi hai bada.
Kab ho jaye fana zindgi kisko hai pata
Dukh sukh hai jeevan ka sangam sabko hai pata.
Choti si hai zindgi hona na khafa
Pyar se kato zindgi ek din hona hai juda.
Khusiya sabko de do jee lo khusiyon me
Chand sitaron jaise jee lo sab pholo kalion me.
Jeevan ka yeh hi ek sach hai jisko aana hai
Zindgi ke baad "SAGAR" Maut ko aana hi hai..

2 Like ·
May 10, 2015 at 18:05
Category: 24
Poetry / 0
Maot Ki Aagosh Me Jab Thak Ke Su Jaati Hai Maa
MAOT KI AAGOSH ME JAB THAK KE SU JAATI HAI MAA
TAB KAHI JA KAR RAZA THODA SUKOON PAATI HAI MAA
FIKAR MEIN BACHOO KI KUCH IS TARAH GHUL JAATI HAI MAA
NUWJAWAN HUTE HUE BOODHI NAZAR AATI HAI MAA
RUH KE RISHTOO KI YE GAHRAYIAAN TO DEKHIYE
CHOT LAGTI HAI HUMARE AOUR CHILLATI HAI MAA
HADIYOON KA RAS PILA KAR APNE DIL KE CHAIN KO
KITNI HI RAATO ME KHALI PET SO JAATI HAI MAA
JANE KITNI BARF SI RAATOO ME AISA BHI HUA
BACHAH TU CHHATI PE HAI GEELE ME SO JAATI HAI MAA
JAB KHILONE KO MACHALTA HAI KOI GHURBAT KA PHOOL
AANSOON KE SAAZ PER BACHEY KO BAHLATI HAI MAA
FIKAR KE SHAMSHAN ME AAKHIR CHITAOON KI TARAH
JAISE SOOKHI LAKDIYAAN, IS TARAH JAL JAATI HAI MAA
APNE AANCHAL SE GULABI AANSUOO KO PUNCH KAR
DER TAK GURBAAT PE APNI ASHAK BARSATI HAI MAA
SAMNE BACHOO KE KHUSH RAHTI HAI HAR EK HAAL ME
RAAT KU CHHUP CHHUP KE LEKIN ASHAK BARSATI HAI MAA
KAB ZAROORAT HU MERI BACHE KO, ITNA SOCH KAR
JAGTI RAHTI HAIN AANKHEN AOR SO JAATI HAI MAA
MANGTI HI KUCH NAHI APNE LIYE ALLAH SE
APNE BACHON KE LIYE DAMAN KO PHAILATI HAI MAA
DE KE IK BIMAAR BACHE KO DUAYEEN AOUR DAWA
PAINTI PE RAKH KE SAR QADMOO PE SO JAATI HAI MAA
GAR JAWAN BAITI HO GHAR MEIN KOI RISHTA NA HO
IK NAYE IHSAAS KI SULI PE CHADH JAATI HAI MAA
HAR IBADAAT HAR MUHABAT MEIN NIHA HAI IK GARAZ
BE GARAZ BE LAOS HAR KHIDMAAT KO KAR JATI HAI MAA
ZINDAGI BHAR CHUNTI HAI KHAAR, RAH E ZEEST SE
JAATE JAATE NEMAT E FIRDAOUS DE JAATI HAI MAA
BAZOON ME KHEENCH KE AAJAYE GI JAISE KAINAAT
AISE BACHE KE LIYE BAAHON KO PHAILATI HAI MAA
ZINDAGANI KE SAFAR MEIN GARDISHOO KI DHOOP MEIN
JAB KOI SAYA NAHI MILTA TO YAAD AATI HAI MAA
PYAR KAHTE HAI KISEY AOR MAAMTA KYA CHEEZ HAI
KOI UN BACHOO SE PUCHEY JIN KI MAR JAATI HAI MAA
SAFHA E HASTI PE LIKHTI HAI USUL E ZINDAGI
IS LIYE IK MAKTAB E ISLAM KAHLATI HAI MAA
US NE DUNIYA KO DIYE MASOOM RAHBER IS LIYE
AZMATOO ME SANIYE QURAAN KAHLATI HAI MAA
GHAR SE JAB PARDES JAATA HAI KOI NOOR E NAZAR
HATH MEIN QURAAN LE KER DUR PE AAJATI HAI MAA
DE KE BACHE KO ZAMANT ME ALLAH PAAK KI
PICHEE PICHEE SAR JHUKAYE DUR TAK JATI HAI MAA
KANPTI AAWAZ SE KAHTI HAI BETA ALVIDA
SAMNE JAB TAK RAHE HATHOO KO LAHRATI HAI MAA
JAB PARISHANI ME GHAR JATE HAIN HUM PARDES ME
AANSUOO KO PONCHANEY KHWABOO MEIN AAJATI HAI MAA
DER HO JAATI HAI GHAR AANE ME AKSAR JAB HAMAIN
RET PER MACHILI HU JAISE AAISE GHABRATI HAI MAA
MARTE DUM BACHA NA AA PAYE AGAR PARDES SE
APNI DONO PUTLIYAAN CHAWKHAT PER RAKH JATI HAI MAA
BAB MAR JAANE KE PHIR BETE KI KHIDMAT KE LIYE
BHES BETI KA BADAL KAR GHAR ME AAJATI HAI MAA
HUM BALAOO ME KAHI GHIRTE HAI TO BEIKHTIYAAR
KAHIR HU BACHE KI, KAH KAR DAR PE AAJATI HAI MAA
CHAHE HUM KHUSHIYOO ME MAA KO BHOOL JAYEEN DOSTOO!
JAB MUSIBAAT SAR PE AATI HAI TU YAAD AATI HAI MAA
DOOR HO JAATI HAI SAARI UMAR KI IS DAM THAKAN
BYAAH KAR BETE KO JAB GHAR ME BAHOO LAATI HAI MAA
CHEEN LETI HAI WAHI AKSAR SUKOON E ZINDAGI
PYAAR SE DULHAN BANAKAR JIS KO GHAR LAATI HAI MAA
PHEIR LETE HAI NAAR JIS WAQAT BETE AOR BAHOO
AJNABI APNE HI GHAR ME HAI BANJATI HAI MAA
HUM NE YE BHI TO NAHI SOCHA ALAG HONE KE BAAD
JAB DIYA HI KUCH NAHI HUM NE TO KYA KHATI HAI MAA
ZABT TO DEKHOO KI ITNII BE RUKHI KE BAOWAJOOD
BUD DUAA DETI HAI HARGIZ AOR NA PACHTATI HAI MAA
ALLAH ALLAH BHOOL KAR HAR IK SITAM KO RAAT DIN
POTI POTE SE SHIKASTA DIL KO BAHLATI HAI MAA
BETA KITNA HI BURA HU, PAR PADOSAAN KE HUZOOR
ROOK KAR JAZBAAT KO BETE KE GUN GAATI HAI MAA
SHADIYAA KAR KE BACHE JA BASE PARDES ME
DIL KHATOO SE AOR TASWEERO SE BAHLATI HAI MAA
APNE SEENE PAR RAKHE HAIKAINAT E ZINDAGI
YE ZAMEEN IS WASTEY AYE DOST KAHLATI HAI MAA.
Written by MOHSIN CHISHTI

May 10, 2015 at 12:05
Category: 0
Poetry / 23
BARI AJEEB HAI DUNIA EHLE DARD KEE
Jin k hamsafar bichar jaya krtey hain
wo chain se kab soya krtey hain
sunate nahi kisi ko Dukh apna
bas akeley main chhup kr roya krtey hain
bari khoob aDaa hai ye Ehle wafa ki
ankho mein nami aur honton se muskuraya krtey hain
bhale hi hazaro shikwe hon mehbob se
wo bs haal poch le tou sb bhol jaya krtey hain
bari Ajeeb hai Dunia Ehle Dard ki
tanhai mein aksar Mehflon ko sajaya krtey hain

May 09, 2015 at 05:05
Category: 23
Articles / Featured
Ijunoon
Amrood Ka Istemaal Jild Ko Khobsurat Banata Hai
سر دیو ں کی آمد کے سا تھ ہی لذیذ پھل امر ود بھی مار کیٹوں میں آچکا ہے ۔ خواتین کے لیے خوشخبری ہے کہ امرود کا استعما ل جلد کو خوبصو رت بنانے میں نہایت فا ئدہ مند ثا بت ہوسکتاہے۔ طبی ماہرین کے مطا بق ام...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
May 08, 2015 at 19:05
Category: featured
Poetry / 0
Usne Mujhey Hansna Sikhaya Kaise Jeena Hai Ye Samjhaya,
usne mujhey hansna sikhaya kaise jeena hai ye samjhaya,
tere sath guzara wo har pal yaad aata hai,
humne jab kiya unse apni mohabbat ka izhar,
to wo sochne lage k kaise karein humse pyar,
wo humari baat ko mazak samajh hans kar reh gaye,
or hum bus unke dost ban kar reh gaye,
ki koshish unko apna banane ki,
kitni hai mohhabat unko batane ki,
har koshish ki yakin dilane ki,
par wo na samjhe takleef is deewane ki,
isliye humne duniya chhor di unke liye,
kyunke hume aadat nahi unhe satane ki,
aaj unhe yakin aaya humara jab hum unke sath nahi hain
kyun mohabbat par yakin uske chale jaane k baad aata hai,...

May 07, 2015 at 23:05
Category: 0
Articles / Health
Ijunoon
Rozana Chehal Qadmi Aant K Cancer Se Mehfooz Rakhti Hai
روازنہ آدھا گھنٹہ چہل قدمی آنت کے کینسر کے خطرے کو کم کر دیتی ہے۔ برطانوی اخبار ٹیلی گراف کے مطابق جسمانی ورزش سے عارضہ قلب، ذیابیطس اور دوسرے کینسر کے خطرے کو کم کیا جا سکتا ہے۔ تحقیق دانوں نے تحقیق ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
May 06, 2015 at 16:05
Category: health
Sponored Video