Search
Poetry / Love
Ab Khof Nahi Mjhe Ksi Raah Guzar Se
ab khof nahi mjhe ksi raah-guzar se
mai door nikal aye hoon pathar k nagar se
wo mjh se mile ga ksi bhi morr per zaroor
ye baat mjhe maloom hai aaghaz-e-safar se
jesi bhi hoon achi ya buri apne liye hoon
mai khud ko nahi dekhti auron ki nazar se!!!

·
1 Like ·
Jul 01, 2017 at 16:07
Category: love
Poetry / Sad
Ab To Aa Ja Guzar Gaya Hun Main
Ab to Aa ja Guzar gaya hun main
Log kehtay hain mar gya hun main
Tum se Milta tha Sirf Ujra hua
Dekh kitna sanwar gaya hun main
Khaar Chuntay umar Tamaam hui
Aaj pholon se bhar gaya hun main
Tu to aa k Wada wafa kar ja
Apne wade se phir gya hun mai
Ghum-e-hayat, Qissa-e-Shikast-e-hasti
Qaid shairon mein Kar gaya hun main
Muthiyaan khaak se bharay Dunia
Lehad mein utar gaya hun main
Ab To Aa Ja Guzar Gaya Hun Main ....
Log kehtay hain mar gya hun main
Tum se Milta tha Sirf Ujra hua
Dekh kitna sanwar gaya hun main
Khaar Chuntay umar Tamaam hui
Aaj pholon se bhar gaya hun main
Tu to aa k Wada wafa kar ja
Apne wade se phir gya hun mai
Ghum-e-hayat, Qissa-e-Shikast-e-hasti
Qaid shairon mein Kar gaya hun main
Muthiyaan khaak se bharay Dunia
Lehad mein utar gaya hun main
Ab To Aa Ja Guzar Gaya Hun Main ....
·
1 Like ·
Jun 24, 2017 at 08:06
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Aakhir Waqt To Saaray Hi Guzar Jate Hain
Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain
dard lamhay tu meri jaan main utar jate hain
main wafaon ki hatheli pe likhi tehreerain
parhna chahon tu sabhi harf mukar jate hain
dil ko hairat hai ke chup chaap guzarte lamhay
kis tarah aankh ki putli main thehar jate hain
umar sehra main katay ya gham-e-tanhai main
aakhir waqt to saaray hi guzar jate hain
ab tau ye hai ke teri yaad main bheegay manzar
chaltay chaltay mere hathon se bikhar jate hain

Jun 23, 2017 at 07:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dard Ki Har Ik Hadd Se Ab Guzar Gaya Hon Main
Dard ki har ik hadd se ab guzar gaya hon main
Phir kabhi na simtoun ga youn bikhar gaya hon main
Mout bas naheen aati rooh k nikalne se
Sans mujh main baqi hai phir bhi mer gaya hon main
Zindagi main jitni bhi roshni thi uss se thi
Mustaqil andheron main ab utar gaya hon main
Baam o dar bhi us k baad ho gaye hain youn khamosh
Aur dil ulajhta hai jabb bhi ghar gaya hon main
Us ka sath jab tak tha rung rung mausam the
Bas khizaan k mausam main ab thehar gaya hon main

Apr 24, 2017 at 09:04
Category: sad
Social Wall / Text
Abdul Waheed
Zindagi Kaisay Guzar Rahi Hai?
·
1 Like ·
Apr 22, 2017 at 23:04
Category: text
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kaanton Say Guzar Jana, Sholoun Say Nikl Jaana
Kaanton say guzar jana, sholoun say nikl jaana
Phoolon ki basti mein, jaana to sambhal jaana
Din apnay charaaghon ki manind guzaartay hain
Her subha ko bujh jaana, her shaam ko jal jaana
Bachon hi si fitrat hai, hum ehl-e-mohabbat ki
Zid karna, machal jaana, phir khud hi sambhal jaana
Woh shakhs bhala mera kya saath nibhaye ga?
Mausam ki tarah jis nay, seekha hai badal jana

Mar 21, 2017 at 05:03
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hama Waqt Ranj O Malaal Kia , Jo Guzar Gaya So Guzar Gia
Hama Waqt Ranj o Malaal Kia , Jo Guzar Gaya So Guzar Gia
Usay Yaad Kar Kay Na Dil Dukha , Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Na Gila Kia Na Khafa Howay, Yon Hi Raastey Main Juda Howay
Na Tu Be Wafa Na Main Be Wafa, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Woh Ghazal Ki Ak Kitaab Tha, Woh Gulon Main Ak Gulaab Tha
Zara Dair Ka Koii Khwaab Tha, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Mujhay Pth Jharon Ki Kahaniyan, Na Suna Suna Kar Udaas Kar
Tu Khizan Ka Phool Hay Muskura Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Woh Udaas Dhoop Samait Kar, Kahin Wadiyon Main Utar Chuka
Usay Ub Na Dey Meray Dil Sada, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Yeh Safar Bhi Kitna Taweel Hay, Yahan Waqt Kitna Qaleel Hay
Kaha Lout Kar Koii Aaye Ga, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Wo Wafaein Theen Keh Jafaien Theen, Yeh Na Soch Kis Ki Khataien Theen
Wo Tera Hay Us Ko Galay Laga, Jo Guzar Gia So Guzar Gia
Tujhey Aitbar o Yaqeen Nahi, Nahin Dunya Itni Buri Nahi
Na Malaal Kar Meray Saath Aa, Jo Guzar Gia So Guzar Gia

2 Like ·
Feb 02, 2017 at 16:02
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Khala Me Bhataknay Wala Bara Sayarcha Guzar Gya
خلاء میں بھٹکنے والا بڑا سیارچہ کوئی نقصان پہنچائے بغیر زمین اور چاند کے درمیان سے گذر گیا۔ ناسا کے مطابق بڑے بحری جہاز کے برابر سیارچے یا خلائی چٹان کا حجم 1300 فٹ تھا جو 29 ہزار میل فی گھنٹے کی رفتا...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Aug 20, 2016 at 20:08
Category: featured
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Din Guzar Gaya Aitbaar Mein
Din guzar gaya aitbaar mein
Raat kat gayi intezaar mein
Woh maza kahan vasl e yaar mein
Lutf jo mila intezaar mein
Un ki ik nazar kaam ker gayi
Hosh ab kahan hoshyaar mein
Mere qabze mein kainaat hay
Main hon aap k ikhtayaar mein
Aankh tou uthi un ki taraf
Dil ulajh gaya husn e khaar mein
Tujh se kia kahain kitne ghum sahe
Hum ne bewafa tere payaar mein
Fikar e ashiyaan har khazaon ki
Aashiyan jala per bahaar mein
Kis terha yeh ghum bhol jayen hum
Woh juda hua is bahaar mein,
Raat kat gayi intezaar mein
Woh maza kahan vasl e yaar mein
Lutf jo mila intezaar mein
Un ki ik nazar kaam ker gayi
Hosh ab kahan hoshyaar mein
Mere qabze mein kainaat hay
Main hon aap k ikhtayaar mein
Aankh tou uthi un ki taraf
Dil ulajh gaya husn e khaar mein
Tujh se kia kahain kitne ghum sahe
Hum ne bewafa tere payaar mein
Fikar e ashiyaan har khazaon ki
Aashiyan jala per bahaar mein
Kis terha yeh ghum bhol jayen hum
Woh juda hua is bahaar mein,
·
1 Like ·
May 06, 2016 at 04:05
Category: general
Sponored Video