Search
Poetry / Sad
Qaisar Mahmood
Bedili Se Hansne Ko Khush Dili Na Samjha Jaye Gham Se Jalte Chehre Ko Raushni Na...
bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye gHam se jalte chehre ko raushni na samjha jaye...gahE gahE wahshat main ghar ki simt jata hun .....isko dasht-e-hairat se wapsi na samjha jaye..lakh khushguman duniya bahimi talluq ko..dosti kahen lekin dosti na samjha jaye..ham to bas ye kahte hain roz jine marne ko..aap chahen kuch samjhen zindagi na samjha jaye...khaq karne walon ki kya ajib khwahish thi...khaq hone walon ko khaq hi na samjha jaye.!
·
1 Like ·
May 06, 2018 at 21:05
Category: sad
Poetry / Love
Nadeem Moti
Gham Ki Taweel Qaid Se Mujh Ko Rehai De
gham ki taweel qaid se mujh ko rehai de
kuch din agar woh chaand sa chehra dikhai de
taweez aisa de koi apnay mureed ko
murshid woh mere hath mein apni kalai de
kuch din agar woh chaand sa chehra dikhai de
taweez aisa de koi apnay mureed ko
murshid woh mere hath mein apni kalai de
·
2 Like ·
Mar 21, 2018 at 15:03
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gham K Maroon K Sisakne Ka Saman Daikha Hai
gham k marun k sisaknay ka samaan dekha ha,
dard insan k pehlu main jwan dekha ha,
dard or dukh to milay mil na saka dil ko sukoon,
dil k har parday main ek gham ko nihaan dekha ha,
gulshan aabad tah e daam e sayadaan hi raha,
har jaga bulbuloon ko mehv e fighaan dekha ha,
pinhaan rehti hi nahi aatish e ulfat ki tapash,
Quais o Farhad k jalnay ka dhuwaan dekha ha,
kis qadar zulm ha insaan ka insaan k sath,
waqt ki ankh se ashkoon ko rawaan dekha ha,
kis k ajanay se ai FAZAL teray hosh uray,
yad tak bhi na raha kis ko kahan dekha ha,

Feb 22, 2018 at 09:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Qarz Gham Ka Chukana Parha Hai
Qarz gham ka chukana parha hai
ro k bhi muskurana parha hai
satch ko satch keh diya tha usii par
meray peetchay zamana parha hai
ik Khuda k na aagay jhukay to,
dar ba dar sar jhukana parha hai
tujh ko apna bananay ki khatir
sab ko apna banana parha hai
kya batayain k kin mushkilo'n mai
zindagi ko nibhana parha hai
sang dil hain jo mash'hoor NUZHAT
shair unko sunana parha hai
ro k bhi muskurana parha hai
satch ko satch keh diya tha usii par
meray peetchay zamana parha hai
ik Khuda k na aagay jhukay to,
dar ba dar sar jhukana parha hai
tujh ko apna bananay ki khatir
sab ko apna banana parha hai
kya batayain k kin mushkilo'n mai
zindagi ko nibhana parha hai
sang dil hain jo mash'hoor NUZHAT
shair unko sunana parha hai
·
1 Like ·
Feb 19, 2018 at 11:02
Category: sad
Poetry / Sad
Kinza Hussain
Shiddat E Gham
shiddat e gham ko tabssum se chhupanay walay
dil ka har raaz aankhon se ayan hota hai
dil ka har raaz aankhon se ayan hota hai
·
2 Like ·
Feb 03, 2018 at 18:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gham Thay Mera Asasa
Jis sey bandhey thay dono, wo gham nahi rahey hain,
Tum tum nahi rahey ho, hum hum nahi rahey hain,
Chaahat k geet men hai, koi kami yaqeenan,
Aakhir terey merey sur jumm nahi rahey hain,
Ro ro k terey dukh, sehra sa ho gaya hoon,
Ab aankh k kinaray bhi nam nahin rahey hain,
Lamhon k pairr par hain, kuch phool dard-e-gham k,
Jeewan men ab khushi k mausam nahi rahey hain,
Tu aur simt men hai, mein aur simt men hoon,
Ulfat k raastay ab baaham nahi rahey hhain,
Fikr-e-muaash ney tau jazbon ko rond daala,
Aashiq wagarna hum bhi kuch kam nahi rahey hain,
Raahon men ab kharra hoon, phelaaye haath khaali,
Gham thay mera asasa aur gham nahi rahey hain...!

Jan 15, 2018 at 11:01
Category: sad
Poetry / Sad
Badal Saka Na Judai K Gham Utha Kar Bhi
Badal saka na judai k gham utha kar bhi
K main dhokay main hi raha tujh say door ja kar bhi
Main sakht jaan tha es qurb say b bach nikla
Main jee raha hoon tujhe hath say ganwa kar bhi
Khuda kare tujhe doori hi raas ajaye
Tu kya kare ga bhala ab yahan par aa kar bhi
Abhi tu mere bikharne ka khail baqi hai
Main khush nahi hoon abhi apna ghar lota kar bhi
Abhi tu us ne koi bhi faisla na kiya
Wo chup hai mujhko har tarha say aazma kar bhi
Wo aur log the jin ka ajaz haal howa
Hume tu kuch na mila apna ap mita kar bhi
Khula ye bhaid k tanhaiyan hi qismat hain
Ek umar dekh liya mehfilein saja kar bhi
Ghazal kehne pay bhi sochoon ka bojh kam na howa
Sakoon na mill saka ahwal-e-dil suna kar bhi
Ruka na zulm mere rakh banne par bhi Riyaz
Hawa ki khoj tu wahi hai mujhe jala kar bhi...!

Sep 21, 2017 at 07:09
Category: sad
Poetry / Sad
Habs E Jaan Aisa Tha Phir Shiddat E Gham Ko Tarsay
Habs-e-jaan aisa tha phir shiddat-e-gham ko tarsay
Be hissi woh thi k deeda e num ko tarsay
Tujh se bichre tou koi raah na manzil koi
Aise bhatkay k tere naqsh-e-qadam ko tarsay
Zakhm aise the jin ka koi dermaan na hua
Umer bher hum tou tere dast-e-karam ko tarsay
Paas reh ker tha jinhain zakhm-e-taghaful ka gila
Tujh se bichray tou tere zulm-o-sitam ko tarsay...!

Sep 03, 2017 at 21:09
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Hansi Ilaaj E Gham
جرمنی میں کی گئی حالیہ تحقیق کے مطابق نفسیاتی و ذہنی دبائو کو ختم کرنے کیلئے ہنسنا بہت ضروری ہے۔ ماہرین نفسیات نے کہا ہے کہ ہنسنے سے جسم اور روح دونوں پر مثبت اور مفید اثرات مرتب ہوتے ہیں۔ ذہنی یا نفس...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Aug 29, 2017 at 10:08
Category: featured
Sponored Video