Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gham E Hijr E Yaar Kab Tak Rahoon Be Qaraar Kab Tak?
Gham-E-Hijr-E-Yaar Kab Tak Rahoon Be-Qaraar Kab Tak?
Mere Dil Bata Yeh Mujh Ko Karoon Us Ko Pyar Kab Tak?
Ye Hujoom-E-Naa-Muraadi Gham-E-Be-Shumaar Kab Tak?
Teri Baat Kaa Bharosa Tera Intizaar Kab Tak?
Shab-E-Hijr Ki Udaasi Kaheen Mujh Ko Le Na Doobe!
Meri Dharkanon Peh Ho Gaa Teraa Ikhtiyaar Kab Tak?
Nah Hi Aaj Kaa Bharosa, Nah Hi Kal Ki Hain Umeedein
Teri Reh-Guzar Takoon Main, Shab-E-Wasl-E-Yaar Kab Tak?
Jahaan Dekhiye Andheraa! Jahaan Sochiye Udaasi!
Raah-E-Zindagee Mein Yaa Rab! Rahe Gaa Ghubaar Kab Tak?
Main Nikal Paraa Thaa Tanhaa, Liye Saare Ranj Dil Par
Magar Phir Khayaal Aayaa Ke Sahoon Ye Baar Kab Tak?
Meri Aankhein Tak Rahin Hain Teri Waapsi Ki Raahein
Tu Hi Ab Bataa De Mujh Ko Karun Intizaar Kab Tak?!
Mujhe Yoon Tou De Gayaa Hai Woh Dilaasa Jaate Jaate
Magar Ab Yeh Sochta Hoon Karoon Etibaar Kab Tak?

·
1 Like ·
Oct 07, 2016 at 12:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gham E Zindagi Teri Raah Mein
Gham-E-Zindagi Teri Raah Mein
Shab-E-Aarzo Teri Chaah Mein
Jo Ujar Gaya Woh Basa Nahin
Jo Bichar Gaya Woh Mila Nahin
Jo Dil-O-Nazar Ka Suroor Tha
Mere Paas Reh Ke Bhi Door Tha
Wohi Ek Gulaab Umeed Ka
Meri Shaakh-Jaan Peh Khila Nahin
Shab-E-Aarzo Teri Chaah Mein
Jo Ujar Gaya Woh Basa Nahin
Jo Bichar Gaya Woh Mila Nahin
Jo Dil-O-Nazar Ka Suroor Tha
Mere Paas Reh Ke Bhi Door Tha
Wohi Ek Gulaab Umeed Ka
Meri Shaakh-Jaan Peh Khila Nahin
·
1 Like ·
Sep 15, 2016 at 19:09
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Fuzool Hai Un Sey Yeh Tamanna Key Merey Gham Ki Dawa Karein Gay
Fuzool hai un sey yeh tamanna key merey gham ki dawa karein gay
Tabahi-e-dil pey jo tulay hon woh dil ki ta’ameer kiya karein gay
Qadeem aik rasm-e-dosti hai magr hai ab bhi wohi ta’alluq
Sitam sahe hain, sitam sahein gey, wafa key badley jafa karein gay
Na zindagi ko sukoon mila hai, na zindagi ney sukoon diya hai
Kabhi jo pohanchay us aastaan tak tu zindagi ka gila karein gay
Shareek-e-bazm-e-hayaat tum they tu aarzu’oon mein roshni thee
Tumhari qurbat sey duur reh kar sukoon mila tu kiya karein gay
Kisi ko maaloom tak na hoga key hum ko thi aap sey muhabbat
Kisi ko mahsoos tak na hoga kuch is tarah hum wafa karein gay
Mata-e-qalb o nazar luta kar uthaye mehroomiyun ke sadme
Gham-e-zamana teri hikaayat baray mazay sey kaha karein gay
Khushi ki halki si aik kiran bhi dil o nazar mein nahi hai zakir
Udaasiyun per hi aasra hai kiya bhi shikwa tu kiya karein gay

2 Like ·
Jul 30, 2016 at 16:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mere Gham Kaa Hisaab Mat Keejo
mere GHam kaa Hisaab mat keejo
vaqt apnaa KHaraab mat keejo
shikvah e iztiraab mat keejo
us ke ruKH ko gulaab mat keejo
maiN ne tujh ko chunaa hai, KHair hu`ee
tu miraa intiKHaab mat keejo
do hee din kaa faqat tamaashaa hai
kuchh GHuroor, ai shabaab! mat keejo
zindagee kis se fatH hotee hai?
i'tibaar e saraab mat keejo
jo miree chashm e tar meiN rehte haiN
un peh yaa rab! 'azaab mat keejo
mujh se tanhaa`ee meiN nimaT leejo
bazm meiN aab aab mat keejo
sharmsaaree see sharmsaaree hai
Hashr meiN tu Hisaab mat keejo
maiN bahot aas le ke aayaa huN
aaj ke din Hijaab mat keejo
kahiyo :Aamir: se "shaGHl she'roN kaa
ai taKHallus_ma`aab! mat keejo",
vaqt apnaa KHaraab mat keejo
shikvah e iztiraab mat keejo
us ke ruKH ko gulaab mat keejo
maiN ne tujh ko chunaa hai, KHair hu`ee
tu miraa intiKHaab mat keejo
do hee din kaa faqat tamaashaa hai
kuchh GHuroor, ai shabaab! mat keejo
zindagee kis se fatH hotee hai?
i'tibaar e saraab mat keejo
jo miree chashm e tar meiN rehte haiN
un peh yaa rab! 'azaab mat keejo
mujh se tanhaa`ee meiN nimaT leejo
bazm meiN aab aab mat keejo
sharmsaaree see sharmsaaree hai
Hashr meiN tu Hisaab mat keejo
maiN bahot aas le ke aayaa huN
aaj ke din Hijaab mat keejo
kahiyo :Aamir: se "shaGHl she'roN kaa
ai taKHallus_ma`aab! mat keejo",
·
1 Like ·
Jun 12, 2016 at 11:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Yeh Dil Bicherne Ka Gham Bhula'aye Tou Neend Aye
Yeh dil bicherne ka gham bhula'aye tou neend aye
Zehan se tera khayal jaye tou neend aye
Mere seene mein yaadon ki roshni hay
Humare ander bhi raat cha'aye tou neend aye
Na jane kyoun ho rahi hay tanhaiyon se wehshat
Ju aaj shab chand doob jaye tou neend aye
Main akhri saans ko sambhalay hoye khara hon
Koi usay aaj shab bula'aye tou neend aye
Humain humare udaas baalon mein
Woh phair ker ungliyan sula'aye tou neend aye,

May 13, 2016 at 02:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gham E Zindagi Tera Shukriya
Gham-E-Zindagi Tera Shukriya – Teray Faiz He Sey Ye Haal Hai
Wahi Subh O Shaam Ki Uljhanein Wahi Raat Din Ka Wabal Hai
Na Chaman Mein Boo-E-Saman Rahi Naa He Rung Lala O Gul Raha
Tu Khafa Khafa Sa Hai Waqayee Ke Ye Sirf Mera Khayal Hai
Mein Ghumon Sey Houn Jo Yun Mutmaeen Tu Bura Na Maniye Tu Mein Kahon
Teray Husn Ka Nahi Faiz Kuch Meri Aashqee Ka Kamal Hai
Hai Ye Aagh Kaisee Laghee Hovi Meray Dil Ko Aaj Hova Hai Kiya
Jo Hai Ghum Tu Hai Ghum-E-Aarzo Aghar Hai Tu Fikr-E Visaal Hai
Koi Kaash Mujh Ko Bata Sakey Reh O Rasm Ishq Ki Uljhanein
Wo Kahey Tu Baat Patay Ki Hai Mein Kahon Tu Khaam Khayal Hai
Ye Bata Ke Kiya Hai Tujhay Hova Paye Ishq Sarwar Ghumzdaa
Na Wo Mastiyan Na Wo Shokhiyan Na Wo Haal Hai Na Wo chaal Hai......

Apr 26, 2016 at 08:04
Category: sad
Poetry / General
Ijunoon
Ya Rabb Gham E Hijran Mein Itna To Kia Hota
Ya Rabb gham-e-hijran mein itna to kia hota
Jo haath jigr per hai wo dast-e-dua hota
Ek ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
Ya gham na dia hota ya dil na dia hota
Nakaam-e-tamanna dil is soch mein rehta hai
Youn hota to kya hota, youn hota to kya hota
Umeed to bandh jati taskeen to ho jati
Waada na wafa krte waada to kia hota
Gheiron se kaha tum ne, gheiron se suna tum ne
Kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota,

Apr 01, 2016 at 23:04
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jo Gham Ki Pehli Bahar Mein Banay Aashna
وہ جو غم کی پہلی بہار میں بنے آشنا
انہیں کوئی غم کا سندیس بھیج کے دیکھیے
انہیں پوچھیے
کہ نگاہِ وصل شناس میں کوئی اور ہے
جو ستارہ وار بلا رہا ہے کسی طرف
کہ یہ اپنی ذات سے کشمکش کی دلیل ہے
کوئی کیا کہے
کہ نئے جہان کی آرزو کے طلسم سے ہے
زبان گنگ
کوئی سنے بھی تو کیا سنے
کہ بلا کا شور امڈ رہا ہے فصیلِ شہرِ خیال سے
یہ جو حدِ شہرِ خیال ہے
یہ جُنوں کے گِرد خرد کی ایک فصیل ہے
یہ دلیل ہے
کہ وہ اپنی ذات کے عشق میں رہے سرگراں
انہیں کوئی نام?ِ عشق بھیج کے دیکھئے
کہ اِدھر بھی ایک ستارہ ہے
جو نئے جہاں کی سبیل ہے
انہیں ڈھونڈیے
وہ جوغم کی پہلی بہار میں، بنے آشنا

Mar 12, 2016 at 05:03
Category: sad
Articles / Health
Ijunoon
Khushi Ya Gham May Jeans Eahm Kirdar Ada Krte Hain
کسی نے سچ کہا ہے کہ خوشیاں اور غم مقدر سے ملتے ہیں اور اس بات کو جدید طبی تحقیق نے ثابت کر دیا ہے کہ جب ہم خوش ہوتے ہیں تو اس میں کسی دوسرے کا یا ہمارا کمال نہیں ہوتا بلکہ ا س کی وجہ ایک خاص جین ہے او...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Nov 07, 2015 at 04:11
Category: health
Sponored Video