Search
Poetry / Sad
Mere Saath Tum Bhi Dua Karo
Mere saath tum bhi dua karo
yun kisi ke haq me bura na ho
kahin aur ho na ye haadsa
koi raaste me juda na ho
Sare shaam thehri hui zamen
jahan aasma hai jhuka hua
usi mod pe mere waaste
woh chiragh leke khada na ho
Meri chhat se raat ki sej tak
koi ansuon ki lakeer hai
zara badh ke chand se puchhna
woh isi taraf se gaya na ho
Woh farishte aap talash karen
kahaniyon ki kitaab me
jo bura kahen na bura sune
koi shakhs unse khafa na ho
Woh firaq ho ke wisaal ho
teri aag meheke gi ek din
woh gulaab ban ke khilega kya
jo chiragh ban ke jala na ho...!
yun kisi ke haq me bura na ho
kahin aur ho na ye haadsa
koi raaste me juda na ho
Sare shaam thehri hui zamen
jahan aasma hai jhuka hua
usi mod pe mere waaste
woh chiragh leke khada na ho
Meri chhat se raat ki sej tak
koi ansuon ki lakeer hai
zara badh ke chand se puchhna
woh isi taraf se gaya na ho
Woh farishte aap talash karen
kahaniyon ki kitaab me
jo bura kahen na bura sune
koi shakhs unse khafa na ho
Woh firaq ho ke wisaal ho
teri aag meheke gi ek din
woh gulaab ban ke khilega kya
jo chiragh ban ke jala na ho...!
·
1 Like ·
Nov 24, 2017 at 06:11
Category: sad
Poetry / Love
Yun Lagta Hai Usne Mujhe Kuch Yun Dua Di Hai
Yun lagta hai usne mujhe kuch yun dua di hai
Jese kanton main Khuda ne pholon ko panah di hai
Yun aawaz di thi usne bichartay waqt mujhe
Sehra main jese kisi musafir ne sada di hai
Dekh kar qismat ko yun lagta hai ab mujhe
Muqadar ne jese kahin bewaja saza di hai
Ghalat hai agr dunya main kisi ko chahna yaron
To zindagi main hum ne bohat bari khata ki hai
Loutna mumkin nahi ab yahan se kabhi
K kisi ki khatir main ne apni hasti bhula di hai...!

Nov 21, 2017 at 10:11
Category: love
Advertisement
Poetry / General
Maine Kaha Mere Lye Bhi Dua Kya Kro
Maine kaha mere lye Bhi dua kya kro
Us ne kaha es ki na fikar kya kro
Me ne kaha mere zehan pe rehta hai bojh sa
Us ne kaha chuup k kahin ro lya kro
Maine kaha teray khwab jaga dete hen
Us ne kaha raaton ko socha na kro
Me ne kaha raaton ko neend nhi aati
Us ne kaha sone ki koshish to kya kro
Me ne kaha dil me teri yaaden hen
Usne kaha k dil ko samjhaya kro
Me ne kaha teray milne ki umeed hai kya?
Usne kaha qismat pe bharosa kya kro...!

Nov 11, 2017 at 03:11
Category: general
Poetry / General
Dua Ki Soorat Mein Uss Ki Khaatir
Dua Ki soorat Mein Uss Ki Khaatir
Jo meray honton se lafz niklay
Jo meri Aankhon se ashk niklay
Unhi k badley Mein ae KHUDAYA
Jab bhi us ka naseeb likhna
UROOJ likhna
KAMAL likhna
Kabhi na harf-e-ZAWAL likhna
Khusian likhna
or us ki umr-e-draaz likhna...!
Jo meray honton se lafz niklay
Jo meri Aankhon se ashk niklay
Unhi k badley Mein ae KHUDAYA
Jab bhi us ka naseeb likhna
UROOJ likhna
KAMAL likhna
Kabhi na harf-e-ZAWAL likhna
Khusian likhna
or us ki umr-e-draaz likhna...!
·
1 Like ·
Oct 28, 2017 at 19:10
Category: general
Poetry / Love
Faaslay Simat Gaye Dua Sey Kaam Chal Gaya
Faaslay simat gaye Dua sey kaam chal gaya
Ashk phir nikal parray, phir azab tull gaya
Kisey yakeen aaye ga, kis sey jaa k yeh kahoon
Ik bujhey chiraagh sey mera haath jal gaya
Abhi to meri aankh mein, neend bhi hai khawab bhi
Sochta hun phir kabhi tu agar Badal gaya
Ik udas raah sey, Nadi k zard pairr sey
Tera poochta raha, or chaand Dhal gaya
Tujhey bhi aik shakhs k faraib raas aa gaye
kisi ki jhooti batton sey mein bhi kuch behal gaya...!

2 Like ·
Aug 12, 2017 at 07:08
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ab Koi Hurf E Dua Kaam Nahin Aaye Ga
Ab koi hurf e dua kaam nahin aaye ga
Ab woh mehtab sar-e-baam nahin aaye ga
Ab dhalay ga na kabhi hijr ka jalta sooraj
Ab kabhi wasal ka hangaam nahin aaye ga
Jaa key us koochay mai yunhi palat aain gay
Waqt-e-rukhsat koi dou gaam nahin aaye ga
Dil key darwazay per dastak nahin day ga koi
Koi naama koi pegham nahin aaye ga
Magar aey baad-e-saba us say yeh jaa ker kehna
Is kahani mai koi naam nahin aaye ga

Feb 14, 2017 at 13:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujhy Yaad Koi Dua Nahi Mere Hamsafar Abhi Soch Le
mUjhy Yaad kOi DUa Nahi Mere hamSafar Abhi SOch Le
tU Meri Jabeen Pe Likha Nahi Mere hamSafar Abhi SOch Le
Abhi RaaSta Bhi hAi DhOol Mein Abhi Faida Bhi hAi BhOol Mein
Abhi mUjh Ko tUjh Se Gilla Nahi Mere hamSafar Abhi SOch Le
Main Janam Janam Se Naraaz hUn Main Janam Janam Se Udaas hUn
Main Kabhi Bhi Khul K Hansa Nahi Mere hamSafar Abhi SOch Le
tU hAi Khuwaab Khuwaab PukaRta Meri Aankh Mein Nahi Ashk Bhi
Main K mudatton Se Jiya Nahi Mere hamSafar Abhi Soch Le
tUjhy KhUsboon Ki hAi Aarzoo tUjhy ROshni Ki hAi jUStjU
Main Hawa Nahi Main Diya Nahi Mere hamSafar Abhi Soch Le
tUjhy Aanson Ka Pata Nahi tUjhy Ratjagon Ka GUmaan Nahi
tUjhy Es Se Aagay Patta Nahi Mere hamSafar Abhi SOch Le
Kahien Chhot Sakta hAi Darmiyaan Na Zamein Millay Gi Na AaSman
tUjhy RaaStey Ka Pta Nahi Mere hamSafar Abhi SOch Le
mUjhy DhOondta Hi Phiray Ga tU Na Jiye Ga ROz Maray Ga tU
Main Kabhi Bhi Ghar Pe Milla Nahi Mere hamSafar Abhi Soch Le
Kaho ! lOutna hAi Kabhi Yan Mere dArd SUn Mere MehaRbaan
Mere Pass WaQt Zara Nahi Mere hamSafar Abhi SOch Le

Feb 13, 2017 at 03:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dua Ka Toota Hua Harf Sard Aah Main Hai
Dua Ka Toota Hua Harf Sard Aah Main Hai
Teri Judaai Ka Manzar Abhi Nigaah Main Hai
Tere Badalnay K Ba Wajood Tujh Ko Chaaha Ha
Ye Aitraaf Bhi Shamil Mere Gunaah Main Hai
Azaab De Ga To Phir Mujh Ko Khuwaab Bhi De ga
Main Mutmaen Hun Mera Dil Teri Panaah Main Hai
Jisse Bahar K Mehmaan Khaali Choar Aay
Wo Ek Makaan Abhi Tak Makeen Ki Chaah Main Hai
Ye Hi Wo Din They Jab Ek Doosray Ko Paaya Tha
Humari Saal girah Theek Ab K Maah Main Hay
Main Bach Bhi Jaoon To Tanhaai Maar Dalay Gi
Mere Qabeelay Ka Har Fard , Qatal Gaah Main Hai

Jan 25, 2017 at 16:01
Category: sad
Sponored Video