Search
Jokes / Miscellaneous
Kashif Yaqoob
Aye Dost Tu Bhi Likha Kar Shayri
Aye dost tu bhi likha kar shayri...
Meri tarah tera bhi naam ho jayega,
Jab log phekenge ande tamatar,
Tou raat ki sabzi ka intezaam ho jayega...
Meri tarah tera bhi naam ho jayega,
Jab log phekenge ande tamatar,
Tou raat ki sabzi ka intezaam ho jayega...
·
3 Like ·
Dec 25, 2017 at 11:12
Category: miscellaneous
Poetry / Sad
Dost Ban Kar Bhi Nahi Sath Nibhanay Wala
Dost ban kar bhi nahi sath nibhanay wala
Wohi andaz hay zalim ka zamanay wala
Ab usay logg samjhtay hay giraftar mera
Sakhat nadim hay mujhay damm may lanay wala
Subha e dam chore gaya nighat e gull ki sorat
Raat ko guncha-e-dill mey simat anay wala
Kia kahain kitnay marasam thay hamaray us say
Wo jo ik shaks hay moh phair kay janay wala
Teray hotay huway a jati thi sari dunia
Ajj tanha hoon to koi nahi anay wala
Muntazir kiss ki hoon tooti hoi dehliz par mein
Kon aye ga yahan , kon hay anay wala
Kia khabar thi jo meri jaan me ghulla hay itna
Hay wohi mujh ko sar-e-dar bhi lanay wala
Maine dekha hay baharoon mein chaman ko jaltay
Hay koi khuwab ki tabeer batanay wala
Tum takluf ko bhi ikhlas samjhte ho Faraz
Dost hota nahi har hath milanay wala...!

1 Like ·
Nov 16, 2017 at 22:11
Category: sad
Advertisement
Social Wall / Photos
Sadaf Butt
Apni Aur Dost Ki Pehchaan
·
0 Like ·
Jul 02, 2017 at 11:07
Category: photos
Poetry / Love
Mujhay Pyaar Krna Sikha Gya Mera Dost Kitna Zaheen Tha
Usey barishon ne chura lia, K woh badlon ka makeen tha
kabhi murr k ye bhi to daikhta k wajood mera zameen tha
Wohi aik sach tha k es k baad sari tohmatain jhoot hain
Meray dil ko poora yakeen hy wo Mohabatoon ka ameen tha
Usy shoq tha k kisi jazeeray pr us k naam ka phool ho
Mujhay pyaar krna sikha gya mera dost kitna zaheen tha
Kabhi sahiloon pr phiro gy tu tumhain seepiyan ye bataain gi
Meri aankh mein jo simat gya wo ashk sb sy haseen tha

Jun 24, 2017 at 02:06
Category: love
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Yun Dost Saare Apne Apne Raste Badal Gaye
Yun dost saare apne apne raste badal gaye
kuch peeche ruk gaye to kuch aage nikal gaye
Haalaat ki dhoop zaraa si deir ko tez kya hui
jitne wafaa kay patthar the saare pighal gaye
Waado kay taare raato se baahar na jaa sake
iradon ke din nikalne se pehle hee dhal gaye
Wafaaon ke rang shabnam kay qatroo ne dho diye
mohabbat ke phool jazboo ki 'shiddat' se jal gaye
Tanoo ke teer duniya kee kamaano pe jab chadhe
sabar ke daaman hathoo se ek dum phisal gaye
Aankhein khuli to khowaboo ko bura laga magar
kuch dair wo reh ke khafa humse wo khud hi behal gaye
Pehle pehal to ajeeb lage badle huwe chehre
phir yu huwa k waqt ke saath hum bhi sambhal gaye

Mar 20, 2017 at 06:03
Category: general
Articles / Featured
Ijunoon
Chean Mahool Dost Gari Ka Model Tayar
چین میں ماحول دوست گاڑی کا ماڈل تیار کرلیا گیا جس کیلئے سڑک کی ضرورت بھی نہیں ہوگی۔ ذرائع ابلاغ کے مطابق ایکوا نامی اس گاڑی کاڈیزائن چین کے 21 سالہ یونگ ژینگ نے تیارکیا ہے۔ اس چمکدار گاڑی پر41 طاقت ور...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Nov 03, 2016 at 12:11
Category: featured
Social Wall / Photos
Fayyaz Karimi
Dost Se Hifazat Ki Dua
·
0 Like ·
Oct 03, 2016 at 20:10
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mat Pooch Mujh Se Dost Marey
mat pooch mujh se dost marey
ku sham dhale in aankhon main
benam see ik udasee ki
ghanghoor ghatain rehtee hain
ku be khood ho ker is lamhe
dhlta hua sooraj takta hoon
aankhon main kisi ka aks liey
ku band kitabain takta hoon
mat pooch waqt hi aisa hay
mujhe dil peh zor nahi rehta hay
main lakh chupata hoon lakin
ashkoon ko rok nahi sakta
ik qarz chukane ki khatir
ye kuch lamhoon ki choree hay
bus yun hi samjh le YAAR marey
YE SHAM MERI KAMZOREE HAY
ku sham dhale in aankhon main
benam see ik udasee ki
ghanghoor ghatain rehtee hain
ku be khood ho ker is lamhe
dhlta hua sooraj takta hoon
aankhon main kisi ka aks liey
ku band kitabain takta hoon
mat pooch waqt hi aisa hay
mujhe dil peh zor nahi rehta hay
main lakh chupata hoon lakin
ashkoon ko rok nahi sakta
ik qarz chukane ki khatir
ye kuch lamhoon ki choree hay
bus yun hi samjh le YAAR marey
YE SHAM MERI KAMZOREE HAY
·
1 Like ·
Sep 17, 2016 at 22:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ik Dost Main Nay Banaya Tha
Ik Dost Main Nay Banaya Tha
Dil Main Usay Basaya Tha
Usay Acha Sathi Samjha Tha
Usay Hamdard Apna Jana Tha
Per Mujh Ko Ye Maloom Na Tha
Dil Ghair Say Us Nay Lagaya Tha
Mujhay Hamdardi Ka Dawa Tha
Wo Her Dam Mujh Say Nalan Tha
Jab Us Ki Nazar Say Milti Thi
Meri Nazar Jhuk Jati Thi
Kuch Keh Bhi Na Sakta Tha Us Ko
Zaban Si Yun Ruk Jati Thi
Janay Kia Phir Baat Hue
Wo Mujh Say Uon Naraz Hua
Sab Gussa Us Ka Bikhar Gia
Phir Bujha Bujha Sa Rehnay Laga
Usay Sathi Us Ka Chor Gya
Dil Kuch Aisay Us Ka Tor Gya
Na Mera Hua Na Us Ka Hua
Bus Yadon Ka Samaan Chor Gya...
Dil Main Usay Basaya Tha
Usay Acha Sathi Samjha Tha
Usay Hamdard Apna Jana Tha
Per Mujh Ko Ye Maloom Na Tha
Dil Ghair Say Us Nay Lagaya Tha
Mujhay Hamdardi Ka Dawa Tha
Wo Her Dam Mujh Say Nalan Tha
Jab Us Ki Nazar Say Milti Thi
Meri Nazar Jhuk Jati Thi
Kuch Keh Bhi Na Sakta Tha Us Ko
Zaban Si Yun Ruk Jati Thi
Janay Kia Phir Baat Hue
Wo Mujh Say Uon Naraz Hua
Sab Gussa Us Ka Bikhar Gia
Phir Bujha Bujha Sa Rehnay Laga
Usay Sathi Us Ka Chor Gya
Dil Kuch Aisay Us Ka Tor Gya
Na Mera Hua Na Us Ka Hua
Bus Yadon Ka Samaan Chor Gya...
·
1 Like ·
Sep 03, 2016 at 03:09
Category: sad
Sponored Video