Search
Articles / Health
Ijunoon
Bartania Me Aik Shaks Ko Masnooi Dil Lga Dia Gya
برطانیہ میں ایک شخص کو پہلی مرتبہ مکمل مصنوعی دل لگادیا گیا ہے، جس کے بعد وہ اسپتال کے باہر زندگی گذار سکے گا ۔ میڈیکل تاریخ کے اس پہلے ٹرانسپلانٹ آپریشن میں چھ گھنٹے صرف ہوئے۔
یہ مصنوعی دل میگنیٹک...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Mar 15, 2016 at 05:03
Category: health
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Dil Ne Kisiko Dil Se Chaha
Ek Beqarari Mein Doob Kar,
Ek Masti Mein JhooM Kar,
Mohabbat Ne Apna Izhaar Chaha
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dil Se Chaha,
Khwaab Bane Aarzu Ki Tarah,
UMMid Bani Zindagi Ki Tarah,
Har Ehsaas Ne Iqraar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha,
Aitbaar Ka Haath ThaaM Kar
Yaadon Ko HaMraah Le Kar,
Is MasooM Ne Be-Ikhtiyar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha,
Ek Khoobsurat ItMinaan Ki Tarah,
TuM Hue HaMari Dua Ki Tarah,
HuMne TuMhe Toot Kar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha...
Ek Masti Mein JhooM Kar,
Mohabbat Ne Apna Izhaar Chaha
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dil Se Chaha,
Khwaab Bane Aarzu Ki Tarah,
UMMid Bani Zindagi Ki Tarah,
Har Ehsaas Ne Iqraar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha,
Aitbaar Ka Haath ThaaM Kar
Yaadon Ko HaMraah Le Kar,
Is MasooM Ne Be-Ikhtiyar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha,
Ek Khoobsurat ItMinaan Ki Tarah,
TuM Hue HaMari Dua Ki Tarah,
HuMne TuMhe Toot Kar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha...
·
1 Like ·
Mar 06, 2016 at 17:03
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Pehlu Mein Mere Dekh Wahi Dil Hai Aaj Bhi
Pehlu mein mere dekh wahi dil hai aaj bhi
Roshan isi charagh se mahfil hai aaj bhi
Ab bhi hai kehkashan tere partu se raah-e-shoque
Pur noor sham-e-jaada-e-manzil hai aaj bhi
Ab bhi hyat-e-shaque ki kashti hai taiz ra'o
Her mauj ek ummeed ka saahil hai aaj bhi
Ab bhi hai eik kaif umeed-e-karam k saath
Ek lutf intezaar mein shamil hai aaj bhi
Ab bhi hai mujh ko ishq ki hikmat pe aitmaad
Dil ko umeed-e-hal-e- masaael hai aaj bhi
Ab bhi hai her nigah teri rooh-e-aarzoo
Tu jaan-e-shaque ban k muqabil hai aaj bhi
Woh dil k mujh ko naaz raha jis pe muddaton
E dost!tere naaz k qabil hai aaj bhi.....!!!!

2 Like ·
Mar 01, 2016 at 02:03
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ai Dil Un Ankhoon Per Na Ja
Ai Dil Un Ankhoon Per Na Ja
Jin Mein Wafoor-E-Ranj Hai
Kuch Dair Ko Tere Liye
Ansoo Agar Lehra Gaye
Yeh Chand Lamhoon Ki Chamak
Jo Tujh Ko Pagal Ker Gai!
In Jugnuon Ke Noor Se
Chamki Hai Kab Woh Zindagi
Jis Ke Muqadar Mein Rahi
Subh-E-Talb Se Teergi
Kis Sooch Mein Gum-Sum Hai Tu
Ai Be-Khabar! Nadaan Na Ban
Teri Fusarda Rooh Ko
Chahat Ke Kantoon Ki Talab
Aur Us Ke Daman Main Faqt
Humdardion Ke Phool Hein
Jin Mein Wafoor-E-Ranj Hai
Kuch Dair Ko Tere Liye
Ansoo Agar Lehra Gaye
Yeh Chand Lamhoon Ki Chamak
Jo Tujh Ko Pagal Ker Gai!
In Jugnuon Ke Noor Se
Chamki Hai Kab Woh Zindagi
Jis Ke Muqadar Mein Rahi
Subh-E-Talb Se Teergi
Kis Sooch Mein Gum-Sum Hai Tu
Ai Be-Khabar! Nadaan Na Ban
Teri Fusarda Rooh Ko
Chahat Ke Kantoon Ki Talab
Aur Us Ke Daman Main Faqt
Humdardion Ke Phool Hein
·
1 Like ·
Feb 05, 2016 at 01:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dil Shikasta
Dil Shikasta Apnay Jaisa Yahan Koi Dafan Hai
Der Tak Raat Ko Roney Ki Sada Aati Hai
Jaisay Chashmay Peh Nahati Hui Shehzad-E-Khuab
Chandni Raat Ab Ashkon Main Naha Jati Hai
Kia Yahan Dasht-E-Tamanna Main Koi Phool Khila
Ab Idher Roz Kai Baad-E-Saba Aati Hai
Kis Dastak Nay Bohat Chupkay Sey Sergoshi Ki
Chand Sey Chandni Nazdeek Hui Jati Hai
Meri Aankhon Main Uter Aaye Hain Kaley Baadal
Jao So Jao K Mausam Bara Jazbaati Hai
Khushk Patton Ko Koi Rond Raha Hai Shayed
Baal Bikhraye Huye Baad-E-Saba Aati Hai

Feb 04, 2016 at 06:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Yadon Ko Apne Dil Se
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete.
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khare Hu Saza Kyon Nahi Dete.
Kahin Ghar Nahi Baste Hai Jin Ki waja Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyu Nahi Dete.
Us Ne Tumhari Khaatir Kiya Kiya Nahi Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyu Nahi Dete.
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyu Nahi Dete.
Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa isay Mujh Pe Luta Kyu Nahi Dete.
Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyu Nahi Dete.
Ek Arsa Howa Chain Se Soye Howe
Mera Chain, Meri Neend Luta Kyu Nahi Dete

Dec 24, 2015 at 11:12
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mohabbat Karne Wale Dil
Mohabbat Karne Walay Dil
Bas Unka Aik Hi Mahwar
Bas Unka Aik Hi Markaz
Bas Unki Aik Hi Manzil
Bas Unki Justaju Ka Aur Tarap Ka
Aik Hi Haasil
Unhain Bas Aik Hi Dhun Hai
KHUDA Mehboob Ko Unke
Hamesha Shaadman Rakhay
Na Uska Dil Kabhi Tootay
Na Koi Saneha Guzray
Koi Ghum Choo Nahi Paaye
Udaasi Pass Na Aaye
Mohabbat Karnay Walay Dil
Buhat Hassaas Hotay Hain
Mohabbat Karnay Walay Dil
Kabhi Sauda Nahi Kartay
Na Koi Shart Rakhte Hain
Na Unke Moawzey Ki Hiras Hoti Hai
Kisi Rad-E-Amal Se Ya Badal Se
Unko Kya Matlab
Ana Se Unka Kya Rishta
Jafa Se Kya Ilaqa
Unhe To Aik Hi Dhun Hai
KHUDA Mehboob Ko Unke
Hamesha Shaadmaa Rakhey
Bas Unka Aik Hi Mahwar
Bas Unka Aik Hi Markaz
Bas Unki Aik Hi Manzil
Bas Unki Justaju Ka Aur Tarap Ka
Aik Hi Haasil
Unhain Bas Aik Hi Dhun Hai
KHUDA Mehboob Ko Unke
Hamesha Shaadman Rakhay
Na Uska Dil Kabhi Tootay
Na Koi Saneha Guzray
Koi Ghum Choo Nahi Paaye
Udaasi Pass Na Aaye
Mohabbat Karnay Walay Dil
Buhat Hassaas Hotay Hain
Mohabbat Karnay Walay Dil
Kabhi Sauda Nahi Kartay
Na Koi Shart Rakhte Hain
Na Unke Moawzey Ki Hiras Hoti Hai
Kisi Rad-E-Amal Se Ya Badal Se
Unko Kya Matlab
Ana Se Unka Kya Rishta
Jafa Se Kya Ilaqa
Unhe To Aik Hi Dhun Hai
KHUDA Mehboob Ko Unke
Hamesha Shaadmaa Rakhey
·
1 Like ·
Dec 20, 2015 at 00:12
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dil Main Jagah
Nahe jo dil mein jaga to nazar mein rehnay do
Meri hayaat ko apnay asar mein rehnay do
Koi to khuwab meri raat ka muqaddar ho
Koi to aks meri chashm-e-tar mein rehnay do
Main apni soch ko teri gali mein chorr aaya
Tum apni yaad ko meray huner mein rehnay do
Ye manzilein to kisi aur ka muqaddar hain
Mujhy bus apnay junoon-e-safar mein rehnay do
Haqeqatein to bohat talkh ho gayi hain......
Meray wajood ko khuwabon k ghar mein rehnay do

3 Like ·
Dec 14, 2015 at 00:12
Category: sad
Poetry / Songs Lyrics
Muzammil Shahzad
Dil Ibadat
Dil Ibadat Kar Raha Hai
Dhadkane Meri Sun,
Tujhko Main Kar Loon Hasil Lagi Hai Yahi Dhun.
Zindgi Ki Shakh Se Lo Kuch Haseen Pal Le Chun
Tujhko Main Kar Lo Hasil Lagi Hai Yahi Dhun
Jo Bhi Jitne Pal Jiyun
Unhe Tere Sang Jiyun
Jo Bhi Kal Ho Ab Tera Usey Tere Sang Jiyun
Jo Bhi Saanse Main Bharoo Unhe Tere Sang Bharoo
Chahe Jo Hona Rasta Usey Tere Sang Chalon
Dil Ibadat Kar Raha Hai
Dhadkane Meri Sun
Tujhko Main Kar Lo Hasil Lagi Hai Yahi Dhun
Mujhko De Tu Mit Jaane
Ab Khudse Dil Mil Jaane
Kyu Hai Yeh Itna Fasla..
Lamhe Yeh Phir Na Aane
Inko Tou Na De Jaane
Tu Mujh Pe Khud Ko De Loota..
Tujhe Tujhse Tor Loo Kahin Khudse Jor Loo
Mere Jism O Jaan Main Aa Teri Khusboo Orh Loo
Jo Bhi Saanse Main Bharoo Unhe Tere Sang Bharoo
Chahe Jo Hona Rasta Use Tere Sang Chalon
Dil Ibadat Kar Raha Hai
Dhadkane Meri Sun
Tujhko Main Kar Loo Hasil Lagi Hai Yahi Dhun
Bahoon Main De Bas Jaane
Sine Main De Chhup Jaane
Tujh Bin Main Jaaunga Kahan????
Tujhse He Mujhe Ko Paane Yaado K Woh Nazrane
Ek Jin Pe Haq Ho Bas Mera
Teri Yaado Main Rahon
Tere Khwabo Main Jagoo
Mujhe Doondhe Jab Koi
Teri Aankho Main Milon
Jo Bhi Saanse Main Bharoo
Unhe Tere Sang Bharoo
Chahe Jo Ho Rasta Usey Tere Sang Chalon

Nov 27, 2015 at 09:11
Category: songs-lyrics
Sponored Video