Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Tu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apnaa Hai
Tu Paas Bhi Ho To Dil Beqaraar Apnaa Hai
Ke Ham Ko Teraa Nahin Intazaar Apnaa Hai
Mile Koi Bhi Teraa Zikr Chaer Dete Hain
Ke Jaise Saaraa Jahaan Raazdaar Apnaa Hai
Wo Door Ho To Bajaa Tark-E-Dosti Kaa Khayaal
Wo Saamne Ho To Kab Ikhtiyaar Apnaa Hai
Zamaane Bhar Ke Dukhon Ko Lagaa Liyaa Dil Se
Is Aasre Pe Ke Ik Ghamgusaar Apnaa Hai
‘Faraz’ Raahat-E-Jaan Bhi Vahi Hai Kyaa Kije
Wo Jis Ke Haath Se Sinaafigaar Apnaa Hai
,

·
1 Like ·
Jun 03, 2016 at 02:06
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Faslay Aese Bhi Hongay Kabhi Soocha Na Tha
faslay aese bhi hongay kabhi soocha na tha
samnay betha tha woh per woh mera na tha
woh to khushbo ki terha phaila tha merey chaar suu
mey ussey mahssuus ker sakta tha per chuu sakta na tha
raat bher siskion se aahat kaan mey aati rahi meray
jhaankna chaahta tha gali may per jhaank sakta na tha
aaj us ne apnay dard bhi alag ker liye mujh say
may rona chahta tu tha magar may ro sakta na tha
ye sabhi weraaniya ussi ki judaiye se theen
aankh namkeen tu hoween theen magar namak ka bahana na tha ,

May 31, 2016 at 04:05
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Badli Saawan Ki Koi Jab Bhi Barasti Hogi
Badli saawan ki koi jab bhi barasti hogi.
Dil hi dil mein woh mujhe yaad to karti hogi.
Theek se so na saki hogi khayalon se mere.
Karvatein raat bhar bistar pe badalti hogi.
Koshishen jitni bhi ki hongi bhulaane ki mujhe.
Yaad utni hi meri aur ubharti hogi.
Dar pe aahat si hui hogi hawa se jab bhi.
Dhadkanen dil ki bahot tez dhadakti hogi.
Khat na aane ka sabab jaan liya hai maine.
Kahin ruswai na ho jaye, wo darti hogi.
Poochti hogi hawaon se mera haal e dil woh
Uski galiyon se hawa jab bhi guzarti hogi.
Apne seene se laga kar meri tasveer ko woh
Aahen raaton ko mere pyar mein bharti hogi.
Jhooti aane ki khabar paake woh meri "Aamir".
Kabhi sajti to kabhi aur sanwarti hogi.,

May 30, 2016 at 15:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Hum Ko Yeh Silaa Bhi Mohabbat Ka Mila Hai
Hum ko yeh silaa bhi mohabbat ka mila hai
hum jis ko chahtay hai, ussay hum se gila hai
Hum naam bhi laitay hai toh dartay hai qasam se
affsoss kay har baar mera ghar hee jala hai
Dil chahta hai hum bhi zamaanay ko mithaa dhay
dartay hai faqat Rub se kay woh apna khuda hai
Woh bhoool bhi jaaye humay toh ghum nahi hai
chaaha hai jisay dil, woh yaha kis ko mila hai
Kaliyo kee tarah hum bhi biker jaaye ge aik din
yeh baat hai sachi kay yeh qismat ka likhaa hai,

May 30, 2016 at 01:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Woh Mujh Se Jeet Bhi Sakta Tha Jane Kyon Hara
main pa saka na kabhi is khalish se chhutkara
Woh mujh se jeet bhi sakta tha jane kyon hara
baras ke khul gaye aansoo nikhar gaee hai fiza
chamak raha hai sare-sham dard ka tara
kisi ki aankh se tapkaa tha ik amaanat hai
meri hatheli pe rakkha hua yeh angaara,

May 27, 2016 at 01:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tera Hijr Tera Visaal Bhi
تیرا ہجر تیرا وصال بھی
تیرے خواب تیرے خیال
میری تشنگی نہ بجھا سکے
تیری یاد کو نہ مٹا سکے
میں یہ سوچتا ہوں کبھی کبھی
تیرے ہجر میں میری زندگی
نہ ہی رنگ ہے ،نہ ہی روپ ہے
نہ یہ چھاوں ہے، نہ ہی دھوپ ہے
نہ خوشی ہے نہ ہی ملال ہے
یہ بس اک تشنہ سوال ہے
وہ رفاقتوں کے سفر سبھی
میری گفتگو کے ہنر سبھی
تیرے ہجر کے جو نذر ہوئے
سبھی خواب گردِسفر ہوئے
وہ جو خواب تھے وہ گزر گئے
جو ملا ہے یہی نصیب ہے
تیرا ساتھ تو کہیں کھو گیا
تیرا ہجر میرے قریب ہے
تیرے ہجر کا یہ ہر اک پل
میری عمر بھر کا حصول ہے
میری بے بسی کا تو غم نہ کر
تیرا ہجر مجھ کو قبول ہے,
تیرے خواب تیرے خیال
میری تشنگی نہ بجھا سکے
تیری یاد کو نہ مٹا سکے
میں یہ سوچتا ہوں کبھی کبھی
تیرے ہجر میں میری زندگی
نہ ہی رنگ ہے ،نہ ہی روپ ہے
نہ یہ چھاوں ہے، نہ ہی دھوپ ہے
نہ خوشی ہے نہ ہی ملال ہے
یہ بس اک تشنہ سوال ہے
وہ رفاقتوں کے سفر سبھی
میری گفتگو کے ہنر سبھی
تیرے ہجر کے جو نذر ہوئے
سبھی خواب گردِسفر ہوئے
وہ جو خواب تھے وہ گزر گئے
جو ملا ہے یہی نصیب ہے
تیرا ساتھ تو کہیں کھو گیا
تیرا ہجر میرے قریب ہے
تیرے ہجر کا یہ ہر اک پل
میری عمر بھر کا حصول ہے
میری بے بسی کا تو غم نہ کر
تیرا ہجر مجھ کو قبول ہے,
·
1 Like ·
May 18, 2016 at 04:05
Category: sad
Social Wall / Photos
Zahid Mahmood
Log Pathar K Buton Ko Pooj Kar Bhi Masoom Rahe
·
0 Like ·
May 17, 2016 at 02:05
Category: photos
Social Wall / Photos
Obaid Kayani
Pathar Bhi Kalma Parh Kar Musalman Ho Gaye
·
0 Like ·
May 13, 2016 at 16:05
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai
Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw’wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai,

May 10, 2016 at 04:05
Category: sad
Sponored Video