Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Sang-dil hai wo to kyun us ka gila main ne kiya
Jab k khud pathar ko but,but ko khuda main ne kiya

Kaise na-maanoos lafzoN ki kahaani tha wo shakhs
Uss ko kitni mushkiloN se tarjuma main ne kiya

Wo meri pehli mohabbat,wo meri pehli shikast
Phir to paiman-e-wafa sau martaba main ne kiya

Hun saza-vaar-e-saza kyun jab muqaddar mein mere
Jo bhi uss jaan-e-jahaaN ne likh diya,main ne kiya

Wo THeherta kya k guzra tak nahiN jis k liye
Ghar to ghar har raasta aaraasta main ne kiya

Mujh pe apna jurm saabit ho na ho lekin FARAZ
Loag kehte hain k uss ko bewafa main ne kiya

Advertisement
· 2 Like · Oct 13, 2016 at 18:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS