Poetry / Sad

Agar main door ho jaaun
To palkon ko jhapak daina
Agar aansu koi giray
Samajh jana k wo hoon main

Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu girain us main
Jo ruk jaye ga honton per
Samajh jana k wo hoon main

Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
K phir baadal bhi aa jaaye
Samajh jana k woh hoon main

Jo chal jaaye hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho sab say
Samajh jana k wo hoon main

Jo zayada yaad aaon main
To tum ro laina jee bher ker
Agar hichki koi aaye
Samaj jana k wo hoon main

Agar tum bhoolna chaho
Mujhay shayad bhula do tum
Magar jab saans aye gii
Samajh jana k wo hoon main.....!!

Advertisement
· 1 Like · Jun 16, 2017 at 07:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Balloon and String Easter Egg Craft.
Posted by iqra raheem
Posted on : Jul 21, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS