Poetry / Sad
Mujhe ek manzil-e-khaas ka na pata chala, yeh bura hua
meri justaju, meri aarzoo, hui raigan, yeh bura hua
meri zest maut se kam nahi, mera gham bhi ab mera gham nahi
teri dastaaN meiN sama gai meri dastaaN, yeh bura hua
mujhe apne naghmoN se hai gila, mera raaz raaz na reh saka
woh jale chiraaghoN ki tarha, woh utha dhuwaan, yeh bura hua
tere intezaar meiN baith kar, mujhe zindagi to mili magar
mera sath choD ke chal diya, mera karwaN, yeh bura hua
mujhe yaad thi yeh na thi khabar, mere gham meiN hai bada asar
meri ek aah se jal gaye, kai aashiyaaN, yeh bura hua

Advertisement
·
1 Like ·
Jun 18, 2017 at 22:06
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video