Poetry / Sad

safar mein raah ke aashob se na darr jaana
miley jo aag ka darya to paar kar jaana

ye ik ishaara hai aafaat e nagahani ka
kissi jagah se parindoN ka kooch kar jaana

ye inteqam hai dasht e bala se baadal ka
samandaroN pe baraste huay guzar jaana

tumhaara qurb bhi doori ka istaara hai
ke jaise chand ka tallab mein uttar jaana

hum apne ishq ki ab aur kya shahadat deiN
hameN hamaare raqeebon ne motabar jana

mere yaqeen ko bara bad-gumaan kar k gaya
duaa e neem shabi tera be-asar jaana

hamaare dam se hi aawargi e shab thi hameiN
ajeeb lagta hai ab shaam hi se ghar jaana

zamaana beet gaya tark e ishq ko "Tishna"
magar gaya na hamaara idhar udhar jaana !

Advertisement
· 1 Like · Jun 18, 2017 at 16:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Cute Baby in Beautiful Dress
Posted by wafa chaudhry
Posted on : Apr 17, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS