Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Ab To Khuvahish Hai K Yeh Zakham B Kha Kar Dekhain
Lamha Bhar Ko Hi Sahi Usko Bhula Kar Dekhain

Shehar Mein Jashan E Shab E Qadar Ki Saa-at Ayee
Aaj Hum B Terey Milney Ki Dua Kar Dekhain

Aandhiyun Se Jo Ulajhney Ki Kasak Rakhtey Hain
Ik Dia Tez Hava Mein B Jala Kar Dekhain

Kuch To Avara Havaon Ki Thakan Khatam Karain
Apney Qadmon K Nishaan Aap Mita Kar Dekhain

Zindagi Ab Tujhey Sochain Bhi To Dum Ghut-taa Hai
Hum Ne Chaha Tha, Kabi Tuj Se Vafa Kar Dekhain

Jin K Zarron Mein Khizaan Haanp K So Jati Hai
Aisi Qabron Pe Koi Phool Saja Kar Dekhain

Dekhna Ho To Mohabbat K Azza Daaron Ko
Na-Shanasayee Ki Diivaar Gira Kar Dekhain

Yun Bhi Dunya Humain Maqrooz Kiye Rakhti Hai
Dast E Qaatil Tera Ehsaan Bhi Utha Kar Dekhain

Roney Valon K To Humdard Bohat Hain Mohsin
Hanstey Hanstey Kabi Dunya Ko Rula Kar Dekhain

Advertisement
· 1 Like · Oct 19, 2016 at 03:10
Category: sad
 
Latest Posts in poetry

· 1 Like · Oct 18, 2016 at 16:10
Category: sad
 
Latest Posts in poetry

Nails Patterns
Posted by Simran Chaudhry
Posted on : Feb 13, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us

Facebook

Twitter

Google +

RSS