Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Aansu Bhar Aaye Aankh Main Har Ik Hansi Ke Baad
Gham Ban Gaya Naseeb Mera Har Khushi Ke Baad

Nikla Tha Kaarwaan Mohabat Ki Rah Main
Har Morh Peh Nafrat Khari Thi Har Gali Ke Baad

Socha Tha Piyar Ka Main Sajaoun Ga Gulsitaan
Har Phool Jal Gaya Mera, Bankar Kali Ke Baad

Chahat Ki Bebasi Ka Ye Qissa Hay Muktasar
Dil Ne Sakoon Na Paya Kabhi Dil Lagi Ke Baad

Ab Raakh He Samait Ta Hoon Aashiyane Ki
Khud Hi Jala Diya Tha Jisey Aajazi Ke Baad

Suntey Hain Baad Marne Ke Milta Hai Sab Sila
Dekhain Ge Kia Milega Humain Zindagi Ke Baad

Advertisement
· 1 Like · Sep 08, 2016 at 20:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

ilm ka ek qatra
Posted by minu malik
Posted on : Aug 11, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS