Poetry / Sad

Ab Taq Wohi Khuvaab Hain Wohi Mein

Ab taq wohi khuvaab hain wohi mein
wohi mairay gulaab hain, wohi mein

yeh jisam kay jaan ki tashnagi hai
wohi taaza saraab hain wohi mein

zindah hon abhi tou maat kaisi ? ?
wohi jaan kay azaab hain, wohi mein

kehti hai zabaan khamoshion ki
wohi dard kay baab hain wohi mein

parhte huay jin ko Umar guzri
wohi chehray kitaab hain wohi mein

likhte huay jin ko jaan jaye
wohi harf nisaab hain wohi mein

wohi ranjishen apnay doston say
wohi dil kay hisaab hain wohi mein

atay hain magar nahi baraste
wohi tashna baadal hain wohi mein

aankhon mein wohi sitaara ankhain
wohi dil mein gulaab hain wohi mein

duniya kay sawal. .. aur duniya
wohi mairay jawaab hain. .. wohi mein ! !

· 1 Like · Jul 18, 2017 at 03:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Aarzuon Kay Darakhton Say

Aarzuon kay darakhton say
Jo panchi urr gaye thay kabhi
Thay wohi ronaq e jahan o dil
Jo basay thay es nagar mei kabhi

Kisee shaam ya kisee seher
Unhein koi dhoondh laye agar
Tau batana guzri rutoon ka haal
Dikhana unhein soonay nagar

zard ruton mein dilon ka haal
Betaabiyon say poochna...
Jo poochna ho koi sawaal
Khamoshiyon say poochna......

· 2 Like · Jul 17, 2017 at 14:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Ijunoon

Palkon Pe Ruki Boond Bhi Rone Ko Bohat Hai

palkon pe ruki boond bhi rone ko bohat hai
ik ashk bhi daaman ke bhigonay ko bohat hai

yeh waqea hai dil main mere teri muhabbat
hone ko bohat kam hai, na hone ko bohat hai

phir kya usi tareekh ko dohraao ge qaatil
naizay pe mera sar hee pironay ko bohat hai

kis tarah se baatin pe chaRhi mail utarain?
jo zakhm badan per hai wo dhonay ko bohat hai

ab saamna tughyani-e-darya ka hai mohsin
ik leher bhi kashti ke dubone ko buhat hai

· 2 Like · Jul 17, 2017 at 08:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tujh Pe Ger Meri Nazar Nahi Jati

tujh pe ger meri nazar nahi jati
jaan jati hey per nahi jati

dar o diwaar sun ke rotey hain
aah tum tak magar nahi jaati

jaan le wo zubaan nazroon ki
dua meri asar nahi laati

sochta hoo ke tumse keh do ga
baat lab tak magar nahi aati

jo bhi jata hey lot aata hey
tu kio phir lot ker nahi aati

bas ik rab hey mera ke jiske dar per
koi faryad rad nahi jaati

kitna pagal hey dil ye kehta hey
yaad isko ab teri nahi aati.

· 2 Like · Jul 17, 2017 at 01:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Usney Phool Bhaijey Hain

USney phool bhaijey hain
phir meri ayadat ko

aik aik pati main,
un labon ki narmi hay

un jameel hathon ki
khushgawar hidat hay

un lateef sanson ki
dilnawaz khushboo hay

dil main phool khiltey hain
rooh main chiragaan hay

zindgi moutar hay
phir bhee dil ye kehta ha

baat kuch bana leta
waqt ke khazaney se
aik pal chura leta

KAASH WO KHUD AA JATA!!!

· 1 Like · Jul 15, 2017 at 21:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Suna Hoga Bohat Tum Ne

Suna Hoga
Bohat Tum Ne,
Kahin Ankhon
Ki Rim Jhim Ka,
Kahin Palkon Ki
Shabnam Ka,
Parha Hoga
Bohat Tum Ne
Kahin Lehjay Ki
Barish Ka,
Kahin Sagar K
Ansoo Ka..
Magar Tum Ne
Kabhi Humdum..
Kahin Dekhey?
Kahin Parhey?
KISI TEHREER K AANSO ?
Mujhey Teri Judai Ne..
Yahi Meraj
Bakhshi Hai..
K Main Jo
Lafz Likhta Hon..
Woh Sarey
LAFZ ROTEY HAIN.
K Main Jo
Harf Bunta Hon,
Woh Sarey
BATAIN KARTE HAIN.
Mere Sang
es Judai Mein,
MERE
ALFAZ MARTAY HAIN….!!!!

· 1 Like · Jul 15, 2017 at 14:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Wafaon Ki Zanjeer Say Azad Kiya

Main nay tumhen!

apni MOHABBAT k seher

wafaon ki zanjeer say

azad kiya

KHUDARA...!

yeh mat pochna ke

main nay khud ko

tumhari qaid say

azad kiya ya nahi ?

yaqeen jano

main un qaidyoun main say hoon

jo khulay darwazey dekh kar bhi faraar nahi hotay...!

· 2 Like · Jul 15, 2017 at 08:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Tumhari Yaad Ka Mousam

TUMHARI YAAD KA MOUSAM

JO HER AIK DUKH SAY GEHRA HAI

NAJANAY KITNI MUDDAT SAY HAMARAY MANN MEI THEHRA HAI

MAGAR!

TUM NAY NHI JANA,MAGAR TUM NAY NHI SOCHA

TUMHARAY PYAR KA MOUSAM

JO HER MOUSAM SAY PYARA THA

MERAY IN BEKARAAN LAMHON KA WAHID SAHARA THA

MAGAR!

TUM NAY NHI SAMJHA,MAGAR TUM NAY NHI SOCHA

TUMHARAY BAAD KA MOUSAM

IK KAALI GHAAT JESA HAI

NA JEETI HO NA HAARI HO,IK AISI MAAT JESA HAI

MAGAR!

TUM NAY NHI DEKHA,MAGAR TUM NAY NHI SOCHA.....

· 1 Like · Jul 15, 2017 at 02:07
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hd E Farda Samajh Kar Bandho

kaha nahi tha ?

ke ehd-e-farda samajh kar bandho,

nibha sako ge ?

mujhe samay ki tamazaton se bacha sako ge?

bht kaha tha,

shabahatoon main behal na jana,

mujhe gira kar sambhal na jana,

badalti rut main badal na jana,

boht kaha tha,

kaha nahi tha...?

sambhal gaye na...!

wohi hua na...!

badal gaye na...!

· 1 Like · Jul 14, 2017 at 19:07
Category: sad
 
ye pakistan ki kaunsi jaga hai?
Posted by Aleezay Abbasi
Posted on : Mar 17, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS